their first victory

330 47 73
                                    

Continue

Ani had taken his medicine and slept...now he wakes up in the evening....

Ani : shaam ho gai .... mujhe uthaya nahi kisi ne.....badi shaanti h Ghar me ...yeh Bondita ne bhi nahi uthaya...

Bihari is passing outside Ani's room...

Ani : bihari!

Bih ; ji Malik

Ani : mujhe kisi ne uthaya nahi shaam ho gai...

Bih ; woh Malin ne mana kiya tha ki aaap ki tabiyat theek nahi h.... sone diya jaaye koi pareshan na kare ....

Ani : kaha h sab

Bih : dev babu apne room me h ....ham abhi bazar se aaye h ...or bondita Malik....pata nahi kaha h

Ani ; pata nahi matlab....ghar me nahi h kya

Bih : ham ko toh nahi dikhi... bohot der se ...

Ani : kaha gai hogi.... Ghar me nahi h toh ....thik h tum jaao

Bihaari leaves

Ani gets up from his bed....and starts searching for Bondita in the house.....

Ani : yeh ladki bhi na ek jagah nahi Beth sakti h .....pata nahi kaha gai h ....dev ko pata hoga shyd usko bata ke gai ho .....

Ani comes to Dev

Ani ; dev sun woh

Dev : tu jis ko dhood raha h ... mujhe bhi nahi pata woh kaha h ...

Ani : tujhe kese pata Mai kya puchne wala ho

Dev ; teri shakal dekh kar .....kese Bechain ho raha h dekh khud ko ...

Ani : mai koi bechain nahi ho raha bas ...isko kuch ho gaya toh woh mahila shshaktikaran wale mujhe hi bolge na ...bas isliye

Dev : oh acha yeh baat h .....toh tujhe uski nahi Teri fikar h

Ani : or nahi toh kya

Dev : ( himself) : chal jhoota ...

Ani : mai zara bhara ghoom kar aata ho thoda

Dev : ghoom kar ya apni patni ko dhood kar

Ani : dev ......ghoome hi Jaa Raha ho bore ho gaya ho ghar me ... samjha

Dev ; hmm samjha

Ani leaves from there...and comes out into the hall....

Ani ; pata nahi kaha gai h ....fir se us Siddharth ke pass toh nahi chali gayi....nahi uske paas Jana hota toh subha hi chali jaati.....par uska bharosa nahi h ....pata nahi h akele chali gai ho uske pass ladne jhasi ki Rani bab kar ....bata ke toh ja sakti thi na ...

" Mujhe dhood rahe h kya "
Bondita is standing at the gate....Ani comes to her....

Ani : kaha gai thi tum

Bon : milne

Ani : kis se

Bon ; h koi aap se matlab

Bondita comes to her room and Ani follows her.....

Ani : mujhe bhi koi janne ka shuk nahi h .....par ghar me kisi ko bata ke chali jaati ....sab kitni fikar kar rahe they

Bon : sab ....or aap ......aap ko nahi ho rahi thi fikar

Ani; mujhe kiyu hogi..... Mai nahi kar raha tha fikar tumhari

Bon : acha ...fikar nahi thi ...fir bhi mujhe dhoodne jaa rahe they .....

Ani : mai ghoomne jaa raha tha ...na ki dhoodne ....

Anidita - the burning hearts ( COMPLETED) ✅Where stories live. Discover now