Introduction

11 0 0
                                    

"Hahhahahahhaa Roha look who's saying, na rone ki BAAT kr kon Raha hai jiske apne aansu rukte nahi" Azlan bola

"Khala dekhein na Azlan Bhai ko" Roha forun Rozina begum ke pehlu main jaa kr khari hogai

"Nahi karo Azlan" Azhan ne Azlan se kaha

Phir sb aik doosre ko alwidai kalmat kehte hue apni apni gaari ki janib brh gaye.

*****************

"Mummy Dua Kahan hai?" Daim ne maa'n se behen ke baare main poocha

"Usko Roha zbrdsti apne Sath le gai rukne ke Liye, aajaegi do teen din mai" Aina sahiba ne bataya

"Chalo shukr teen chaar din ka sukoon hoga Ghar main" Murtaza Ali ki shararti awaaz goonji lekin baba ki mojoodgi ko vo Bhool Chuka tha ab jab yaad Aaya to andaza hua ke Teer kaman se Nikal chuka

"Kiya Keh Rahe ho barkhudar " Ibrahim Ali sahab ki awaaz pr us ne aakhein bnd kr ke kholi aur khisyana ho kr dekhne Laga. Sab hans diye.

Daim Ali drive kr raha tha. Murtaza Ali passenger seat pr baitha tha JB ke Aina Sahiba aur Ibrahim Ali sahab peeche baithe the aur shadi ki taqreeb ke baare main halke phulke andaaz main baat krte hue Ghar tak pohonche  jabke Rozina begum wali gaari main bhi bachchon ki nok jhok jaari thi.

*****************

Muhammad Dawood Parekh sahab ke 4 bache they 2 bete aur 2 betian. Sab se bare Muhammad Hamdan Parekh unse chote Muhammad Hamza Parekh unse choti Rozina Parekh aur akhir main Noor ul Ain Parekh.

Dono beton ki shaadi bhi munasib waqt pr munasib rishton ke sath hogain thi.

Rozina Parekh Muhammad Dawood Parekh sahab ke cousin ke bete Moosa se biyahi gayen.

Moosa Kazmi sahab aik ache humsafar sabit huye aur dono ne aik misali azdawaji zindagi guzari.

Inke 4  bache they. Sab se bara Muhammad Azhan jo ke aik roubdar aur sanjidah shaksiat ka aik khoobroo jawan tha.

Phir aate hain hamare buht hi chulbulay, ghar ki ronaq Muhammad Azlan.

In dono bhaiyon ke mizaj main zameen aasman ka farq hone ke bawajud kafi gehri dosti bhi thi. Azlan to bejhijhak ho kar apne bare bhai ko sab kuch btadeta tha; jab ke Azhan ka mamla doosra tha. Bara hone ki waja se wo hr baat Azlan se nahi kr pata tha.

LAIKIN Allah ne usey bhi aik aisay shaks se nawaza tha jo ke uski duniya thi'n. Ghar main ghusne ke sath hi us shaks ko dekhna Azhan ke liye zaroori tha. Kabhi jo wo nazar na ayen to mamma kahan hain ki awaz poore Kazmi house main goonjti. Bazahir to wo boht sanjeeda Shaksiat ka malik tha magar apni ammi ko dekh kr bilkul chota bacha ban jata.

Rozina beghum ke sath bhi kuch aisa hi mamla tha unhe bhi apna bara beta sab se ziada azeez tha waja uska masoom dil aur ehsasaat they jo wo sirf maa'n ke samne bayan krta tha. Laikin unhone apne bachon main koi farq nahi kia tha.

Mubammad Azlan ke baad ati hain Shafaq Kazmi jo ke apne bare mamu Muhammad Hamdan Parekh ke bete Muzammil Parekh se biyahi gai.  Inka aik pyara sa beta Zawiyar Parekh hai.

Phir sab se choti aur ladli; baqol Muhammad Azlan ke baba ki chamchi the great Roha Qazmi. Ghar main sab se choti hone ki waja se wo boht naazuk mizaj thi. Muhammad Azhan ki jaan apni behen Roha main basti thi aur baba ki to mat hi poochen. Janab ko Moosa sahab ne shair ki si bahaduri di thi. Wo hr cheez ka muqabla krna janti thi siwaye hawai jahaz (airplane) ke.

Muhammad Azhan Karachi ke mashhoor private hospital "City Hospital" main bahaisiat doctor apni khidmaat anjaam de rha tha.

Muhammad Azlan BBA se haaliya farigh ho kar MBA krne ke baare main soch rha tha.

Shafaq ka rishta taaleem ke doran hogya tha isliye wo agey na parh saki'n.

Roha is waqt inter main thi aur parhai ke sath sath ghr ke kamo'n main bhi khaasi dilchaspi rakhti thi'n.

Ab aate hain Muhammad Dawood Parekh ki sab se choti beti Aina beghum ki; jin ki shaadi Muhammad Dawood Parekh ke dost ke bete Ibrahim Ali se hui thi jo ke Moosa Sahab ki trhan aik ache humsafar sabit huye.

Ibrahim Ali aur Aina beghum ke 3 bache they.
Sab se bara Daim Ali 25 saal ka khobroo jawan mard. Sanjidgi uske mizaj ka khasa thi. MBA kr ke walid ke sath business main hath btata tha. Maa'n ka khasa ladla beta.

Us se chota Murtuza Ali jo ke abhi zair e taleem tha. Ibrahim Kiyani ke ghar ki ronaq.

Sab se choti Dua Fatima jo ke apne walid ki ankhon ka tara, walida ka bazu, Daim Ali ka fakhar aur Murtuza Ali ki crime partner. Shararti to thi magar had darja nazuk dil ki malik. Choti choti baaton par udas aur choti choti baaton par khush ho jane wali.

Dua madam ki khasiat ye hai ke wo apni har feeling ka izhar ro kar krti thi. Khush ho to khushi ke aansu aur udas ho to ghum ke aansu.

Dua Fatima hamare Dr. Muhammad Azhan sahab ki bachpan ki pasand hain. Woh pasand jiska izhar apni walidah ke samne bhi nahi kia tha.

Rozina beghum aur Aina beghum main boht banti thi jis ki waja se bachon main bhi achi dosti thi.

Muhammad Azhan, Muhammad Azlan, Daim Ali, Murtuza Ali aur Muzammil Parekh aapas main bilkul doston ki tarhan they. Azhan aur Daim ka mizaj aik jaisa kam bolne wala aur sanjeedah tha jab ke wo teeno'n aik jaise they. Khair gair sanjeedah to wo bhi nahi they bus hansi mazaq ziada krte they.

Dua aur Roha ki jori bhi khandan bhar main mashhoor thi. Dono main sirf 4 maah ka farq tha. Roha bari aur Dua choti thi jab ke taleem sath hi hasil kar rahi thi'n.

دشمنِ جان سے جان تک!Where stories live. Discover now