Muhammad Azhan ke dil main kiya hai?

2 0 0
                                    

Vo dono is waqt kitchen main sar ghusaye tabar tor mehnat kr rahi'n thi'n.

Menu bhi khud hi decide Kiya gaya tha kion ke jb wo Rozina begum ke pas gaye to unhon ne ye jawab de kar taal kr diya ke "bhae Khana pakane se ziada kiya pakana hai ye sochna mushkil hai aur ab jb ke mere shohar ne mujhe mukammal aaram krne ko kaha tha to ye sb se mushkil kaam to mai nahi krne wali, tum logon ko jo krna hai khud karo".

Bil aakhir teh ye hua k Roha Biryani, Dua Fatima chicken Handi aur sweetdish dono mil kr banainge..
Poore din ki an'thak mehnat ke baad raat ko khane ki tayari ki gai.

Mard hazrat jb ghar mai dakhil hue to khane ki dil faraib khushboo ne sab ke dil moh Liya.

Dining par aate hue Azlan ki rag e zarafat pharki to us ne kaha "Baba wo kon si dua hoti hai jisko parhne ke baad khana khaya jaye to agar zeher ho tab bhi asar nahi karta?"

Jis par sab hi hansne lage samait Dua aur Roha.

halanke khane ki Khushboo intihai dil faraib thi ye kehna na mumkin tha k ye khana zaiqe daar nahi hoga, is baat ka iqrar Azlan bhi dil mai kr chuka tha magar samne bil akhir do behnain baithi thi aur behnon ko tang krna bhaiyon ka farz hota hai.

Dua foran boli "Dekhna Azlan Bhai aap na ungliyan chaat'te reh jaainge"

"Mera beta phir to ye aapki bhool hai kion ke main khana spoon se khata hun" jawab hazir tha.

"Achaaa to Azlan bhai aap salan roti bhi spoon se khate hain?" masoomiyat ke saare record torte hue sawal  agaya.

Sb se ziada khatarnaak qehqaha is baar Azhan ka tha.

Sb log bari rugbat se kha Rahe the aur Dua ka kaha hua Sach hi hua tha kion ke Azlan maamool ke mutaqib boht Kam salan roti khata tha ziada tar vo chawal Wala item prefer krta tha magar is waqt vo achi khasi roti khaa Raha tha.

Biryani ka session jab chala to Azlan ne pehle luqma daalne ke Baad hi khansna shuru krdiya aur Roha ke chahre ka rung urr gaya.

Forun bhai ko paani diyaa.

Shumai qismat ke biryani ka sb se pehle niwala Azlan sahab ne Liya thaa.

Biryani bhi dat kar Khai gai.

"Azhan Bhai vo glass pass kr dain"  Pani ka glass Dua Fatima ki pohonch se kaafi door Azhan ke pas rakha hua tha...

Glass ps Kiya gaya lekin idhar Azlan miyan ki rag e zarafat phir se baidaar hogai...., bajae bhaijan kehne ke us ne Azhan ko Kuch is trha mukhatib kiyaa

"Azhan Bhai zara biryani ki dish pass krdainge please" Azhan ne chup chap pass krdi aur uth khara hua.

"Kiya hua khaya nahi aapne Azhan" Rozina beghum ne kaha

"Nahi mummy mera hogaya, maine khaya hai sab" wo uthne Laga.

"Bhaijan custard bhi to lo naa yaar itni mehnat se banaya hai" Roha ne kaha.

دشمنِ جان سے جان تک!Where stories live. Discover now