Gol Roti?

8 0 0
                                    

"Or bhae Dua Kiya Kiya bana leti ho aap?"  Moosa Sahab ne poocha.

"Vese to uncle sab bana leti Hun, bus gol rotiyan nahi banti mujhse, duniya ke saare mulkon ke naqshe ban jaate Hain" Dua ne jhut se apne hathon ki maharat se Moosa sahab ko agaah Kiya.

"Achaa achaa Chalo aajayegi gol roti bhi banana" Moosa Sahab ne hausla afzai ki.

"Vese mamma aur Roha bana leti Hain gol rotiyan is Liye masla nahi" Azlan besakhta bol utha.

Azhan ne chonk kr Nazar Uthai, dono ki nazrein mili'n Azlan muskura kr nazrein phair gaya.

"Hein kiyaa matlab..?" Dua ne poocha.

"Arrey larki Kuch nahi" Azlan ne jaan churwai

"Ajeeb Hain!" Dua ne Azlan ko ghoorte hue kaha.

"Acha chalo ab meri dono betian zara meri baat sunlen" Moosa sahab ne Roha aur Dua ko mukhatib kia.
Dono ne bayak waqt unki janib dekha.

Moosa sahab ne apni baat aagey barhai "kal mujhe apni betion ke hath ka paka khana khana hai, aap dono ko kafi kuch pakana agaya hai. Ab bus kal to meri beghum ke aaram ka din hona chahye..."  Moosa sahab apni khuwaish btane ke baad Rozina sahiba ko dekh mazahiya andaz mai goya huye.

Rozina sahiba shohor ke is jumle par pehlu badal kar reh gayi'n.

"Mamma ka araam? Huh wo to Azlan sahab ki mojoodgi main zara mushkil hi hai Baba aap aisi umeedain na rakhen" Muhammad Azhan jo kab se khamosh tamashai bana hua tha bilakhir bol para.

"Kia matlab hai is baat ka? Doctor sahab aap directly Dua ke mu'n par us se ye keh sakte hain ke aap ko uski cooking skills par bharosa nahi hai!" Azlan ne bare bhai ke jumle par aankhen ghoomai'n.

"Mera wo matlab nahi tha, main ye keh raha hun ke aap ki mojoodgi main meri walida ko aram nahi mil sakta" Azhan ne ghabra kar jawab dia ke kahi Dua is baat par rona na shuru kar de.

"Bhaijan phir aap safai kion de rhe hain?" Roha ne bare bhai se daga karte huye chote ka sath dia.

"Gurya mera wo matlab nahi tha. Aur Dua in dono ki baat na sunna in dono ki to adat hai fazool bolne ki, main to kal aap ke hath ka hi bana khana khaonga" Ye keh kar usne apne kamre ki janib qadam barha diye.

Moosa Sahab aur unki ehlia bachon ki nokjhok dekh kar inki khushi ke liye dua go huye.

"Mamma main neeche jaa raha Hun thori dair main aa jaunga mere pas keys Hain aap sojana be fikr hokar" Azlan ne walida se kaha.

دشمنِ جان سے جان تک!Where stories live. Discover now