Dua fatima ka rishta

4 1 0
                                    

Azhan wapas aachuka tha aur is waqt sab dining par mojood they jab achanak Rozina beghum kuch yaad aane par Moosa sahab se mukhatib hui'n

"Are han sune'n wo main aap ko btana hi bhool gayi; Aina ka phone aya tha keh rahi thi ke Ibrahim bhai aap ko phone kar rhe hain magar aap ka number band ja raha hai"

"Mere phone main shayad koi masla hogaya hai aik do aur logo ne bhi yehi kaha hai ke mera phone band hai"

"Acha ye btao Dua wale mamle ka kia bana phir?" Moosa sahab ne poocha.

"Han bache lage hain chhan been main, samajh to araha hai laikin abhi final nahi hua"

Muhammad Azhan ulajh gaya. "Kis baat ki chhan been, kia hua hai?" Uljhi hui nazron se maa'n ko poocha.

"Are bhaee Allah na kare ke kuch ho. Dua Fatima ka rishta aya hai Ibrahim bhai ke dost ke koi rishte daar hain kaafi acha gharana hai. Shayad baat ban jaye"

Azhan par to mano ghar ki chhat gir gayi. Sar chakra kar reh gaya.

"Hain! Ye kab hua? Aur mujhe kisi ne btana bhi gawara nahi kia" Azhan ko apni awaz khaayi se aati sunai di.

"Beta aap ghoomne gaye huwe they na. Aur ye baat to do din pehle ki hai. Hum ne socha aap ajao phir aap ko btadenge" jawab Moosa sahab ki tarf se aya.

"Are yar aap logo ne itna serious mahol create karlia; choren sab bhaijan aap meetha to khalo maine khaas apke aane ki khushi main banaya hai" Roha sweet dish Azhan ki tarf barhate huwe kehne lagi.

"Nahi gurya bus maine khalia" ye kehte huwe uth khara hua. Andar aik toofan liye Muhammad Azhan ulajh gaya.

Aur idhar sab ghar walon ko Azlan ki baat par yaqeen agaya. Jo ab sab ko aisi nazron se dekh raha tha jaise keh raha ho

"Dekha hogayi na tasdeeq! Theek kaha tha na maine"

************

Ya Allah ye kia hogaya? Ab kia karun? Kia Ibrahim uncle han bol denge? Nahi nahi wo to abhi boht choti hai..... To kia hua agar choti hai; khala abhi sirf mangni bhi to kar sakti hain na.

Azhan ke dimagh main dhairon sawal uth'te. Khud hi jawab bhi ata aur khud hi un jawabat ki nafi bhi karta.

Saari raat sochte sochte guzar gayi ke kia kare. Fajr main Rab ke agey jhuk Kar apne liye khair o afiyat ka sawal kia. Phir uth par bed par daraz hua. Sochon ka silsila jaha se munqata hua tha wahi se bahal hua. Laikin phir sochte sochte neend ki aagosh main chala gaya.

دشمنِ جان سے جان تک!Where stories live. Discover now