Jon Elia ki collection

2 0 0
                                    

Azlan is waqt kamre baitha laptop main kaam kr Raha tha. Cold drink ka Khali can side table pr rakha hua tha. Jo ke Dr Muhammad Azhan ka blood pressure high krne ke Liye kaafi tha.

Thori dair Baad kaam khatam karke utha, washroom ki trf barh gaya. 10 minute baad bahar nikla, jay-e-namaz utha kar bichai, aur Asar ki namaz adaa krne ke Liye Rab ke huzoor khara hogaya.

Aakhri rakat ke aakhri sajde main JB vo tha, usi waqt kamre main Azhan dakhil hua (aaj Sunday tha to khilaf e maamool aaj Azhan Ghar pr mojood tha).

Azlan ko namaz parhta dekh kr uske intizaar ki garz se bed pr baith gaya.

Aaj vo Azlan ko manane ki thaan Chuka tha.
Dar asal Muhammad Azlan unke Ghar ki ronaq tha. Vo khud agar kabhi Kisi baat pr udaas hota to Kazmi house main saara saara din khamoshi ka raaj rehta.
Doosron ke chehron pr khushiyaan bikhairta tha vo.

Jab koi pareshan hota tha to Azlan ke paas 10 minute baith jaane pr Kuch dair k liye hi sahi apni pareshani Bhool jaata tha.

Aaj Muhammad Azhan ka vohi Bhai Muhammad Azlan us se naraaz tha aur pichle 3 din se use mukhatib bhi na kiyaa tha.

Ab maamla ye tha k Azhan ke kaan Muhammad Azlan ke mu'n se "bhaijan" sunne ko taras gaye the.

Khair Azlan ne sajde se sar uthaya. Tashahhud main baith kr pehle nabi Paak ﷺ pr durood bhaija, unke Allah ke aakhri nabi hone ki gawahi di, durood e Ibrahim parhne ke Baad Dua prhi phir pehle daae'n janib aur phir baae'n janib Salam phaira.
Dua ke Liye hath uthae aur 3 4 minutes tk dua ki aur uth khara huaa.

Azhan ko bed pr baitha dekh kr sanjeedgi se usko dekha aur kamre se Bahar nikalne lagaa itne main Azhan ne usse awaaz di.

"Azlan"

"jee" sanjeedgi se jawab aaya.

"Yaar shehzaday TU ne kion mujhko pareshan kiyaa hua hai, Kiya masla hai"  jhujhla kar poocha gaya.

"Ab Maine Kiya kar diya" aur is "ab" pr Azhan tarap uthaa thaa.

"Azlan Dekho main maazrat krta Hun, us din mein bht pareshan tha aur phir Aapka Mazak; main jhujhla gaya tha isi Liye buss mere smjh nahi aaya ke Kiya karun aur galti se aap pr gussa utar diya" us ne tafseeli wazahat di.

"Nahi bhaijan asal main masla pata hai Kiya hai, main na ziada dair Kisi se naraz nahi reh skta aur sab ko hansata rehta Hun har waqt sab ka mood bahal krta Hun is Liye mujhe koi serious nahi leta"

Itne piyaar se shikwa kiyaa tha k Azhan ko besakhta us par toot kr piyaar Aya (Keh vo bilkul theek Raha tha, Azlan ke hote hue pareshani ka asar za'il hone lagta tha)

Azhan ne besakhta uski gardan main bazu daal kr piyaar se uske Baal bikhaire.

"Acha naa Chalo ab mood theek karo apna, "bhaijan" ki pukaar sunne ko mere kaan muntazir Hain" Azhan ne usse chaira.

"Baat sunein doctor Sahab main abhi bhi naraz Hun samajh Aayi naa, akhir ko aapki waja se 3 din mujhe serious rehna para hai. Kasam se mun hi terha hogaya aapki tarha" ahista ahista vo apni tone mai wapis aarhaa tha. Azhan usko dekh kr asoodgi se muskura diya..

"Acha to phir ye bhi Bata do ke kese narazgi door hogi"

"Bhaee zahir hai main to zinda hi khane peene ke Liye Hun to buss aik nayi jaga Maine explore ki hai, wahan ki speciality khila dena.. buss ziada Kuch nahi" narazgi khatam hone ka nuskha hazir tha.

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Apr 06 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

دشمنِ جان سے جان تک!Where stories live. Discover now