Dil jure, Dil toote

0 0 0
                                    

Bil akhir taman investigation aur maamlaat bandi ke baad aaj Aina beghum aur Ibrahim Ali Sahab apni poori tasalli ke Baad rishte ke Liye hami Bhar chuke the aur ab baqaida Tor pr apne rishte daaron ke hamraah "han" ka jawab dene is waqt uske susral gaye hue the..

Aur idhar Murtaza Ali musalsal Dua Fatima ko "paraya dhan" Keh Keh kr tung kr Raha tha..

Wo kab se bardasht kr Rahi thi aur apne aansu chupa Rahi thi..

(Dar asal Murtaza Ali ye hi chahta tha ke vo ro de aur apna dil Halka krle, kion ke Ghar main jab se uske rishte ki baat chal Rahi thi wo sab se chupti phir Rahi thi aur Murtaza ye bhi Janta tha k vo chup chup kr ro Rahi hai)

Ab vo use tung krke uske sabar me paimaane ko akhir hudood tk le aaya tha. Ain mimkin tha Kuch dair main vo Murtaza ke sar ke Baal Noch daale..

"Bhayya yaar nahi tung karo Kiya masla hai" Ankhein jhapak'te hue aansu Ander utaare aur isi waqt Murtaza ne use pakar kar seene se lagya..

Bhai ka mazboot Sahara paate hi vo bikharne lagi thi aur phoot phoot kr ro di..

Usko itni hichkiyon se rota dekh kr Murtaza ki aankhein bhi bheeg gai thi magar ye aansu agar uske saamne niklate to vo aur roti lihaza vo muskurata usko compose krne Laga..

"Yaar kiyaa ro to aise Rahi ho jese Kal rukhsat kr Rahe hon".

"Na to aap logon ka Kiya bharosa 10 din main rishta pakka kr diya ab bologe 6 mahine main rukhsat bhi hojao".. udaasi se kaha

"Han to larkiyon ko rukhsat to hona hota hai naa, aaj nahi to Kal sahi. Ye achi baat nahi k hum log Aapke farz se munasib waqt pr azaad hojaaei'n"..

"Bhayya mein kese rakungi Aapke baba ke bhaijan ke bagair, mummy ko dekhe baghair Meri subah nahi hoti, Aapke Sath masti kare baghair Mera din nahi guzarta, main Roz bhaijan ko aapki shikayatein kese lagaungi, bhayya mujhe nahi jaana naa mujhe hamesha aap logon ke ps rehna hai"

Murtaza ne uske sar pr halki si chapat Laga kr kaha..
"Pagal aise nahi kehte....."

Abhi uska jumla mukammil nahi hua tha ke kamre se Nikal kr Daim Ali Pani peene ke iraade se kitchen main jaa rha tha dono ko dekh kr lounge main hi aagya aur Dua ke barabar main sofe pr baith gaya..

Ab mazar Yun tha k 3 tesno behen Bhai lounge ke couch pr baithe the, Dua beech main aur dono Bhai side mai..

"Kiya horaha hai bhaee..?" Daim ne poocha..

"Vohi iski hobby Jo hai, Ro Rahi hai madam ke apne Ghar nahi Jana" ye batate hue Murtaza ka apna lehja kaafi bhari tha.

"Arrey Mera bachcha, Ghar to sab bachchiyon ko Jana hota hai naa" ab ki baar Daim ne se gale lagaya..

"Lekin mujhe aap logon ke paas hi rehna hai naa" vo bhaeegi awaz mai boli..

"Dastoor hai na duniya ka, isko change to nahi kar sakte naa hum. Sab bachchiyon ko Paal pos kar bara Kiya jata hai phir vo aik din rukhsat hojaati Hain naa"..
Full emotional mahol hogaya tha.

Dua Fatima main dono bhaiyon ki jaan thi, ikloti hone ki waja se use kaafi laadiyon se Pala gaya tha yehi waja thi ke uski rukhsati ka soch kr dono bhaiyon ki aankhein bhi ashk baar thi'n..

"Lekin jab tak main Yahan Hun is bhayya ke Bache ko bolo mujhe tung na kare nahi to main ab iske sar ke saare Baal Noch lungi phir ye Meri aur aapki shadi main ganja naachega"..

دشمنِ جان سے جان تک!Where stories live. Discover now