Part 2

238 7 2
                                    

Wo subah 7 baje ke uthi huwi thi roz ke nisbat aaj kaam itna ziyada tha ke ise asar padhne ka waqt bhi na mila subah se saans lene ki bhi fursat na thi aaj ghr mein 9 qusam ke khane banaye gaye the aque raniya api ka rishta jo aaraha tha. Wo andar tayyar ho rahi thi apni dono behnoun taniya aur mariya ke sath

Iske hath me lazzat

Wo suabh se hi kitchen mein ghussi thi sab kam kar chuki thi ise 3 baje se pehle hi ghr se nikalna tha kyunke ammi ka hukm tha ke jab tak ye rishte wale yahan se chale na jaye tab tak apni shakal kisi ko na dikhaye i ka ghr itna chota sa tha ke koi bhi chup kar na baith sakta

Pure ghr mein sirf do hi kamre the ek mein jahan in ki betiyan raniya taniya aur mariya rehti thi dusra kamra jahan ammi rha karti thi aur teesra kitchen ye itna chota sa ghr tha ke bahar khade shaqs ko pura pura kamra nazr aata.

Is liye ammi ka hukm tha ke jaise hi kha na ban jaye aur sara kaam khtm hojaye wo jaldi se yahan se uth kar fatima bi ke ghr chali jaye..

Kyunke wo nahi chahti thi ke sauteli beti ek baar fir se is ki betiyon ka kaam qrb karde. Wo subah se ghan chalkar bani huwi thi. Aur aaj ittefaq tha ke ammi ne subah se ise ek bhi thappad ns mara tha.

Ise sirf fatima bibi ke ghr jane ki ijazat thi jahan do pehar mein bacchon ko quran paddhati thi jis ki fatima bibi is ki ammi ko tanqoo (salary) deti thi.

Iske alawa mohalle ke bacchon ke waledain bhi ise kuch na kuch dete rehte agr ise rooh ke wajood se koi faida na hota to tazeem (step mother) is kab ka ghr se nikal chuki hotihoti.

Aqir in ke shohar ke dhoke se to ye aulad thi.

Inke shohar ne do shadiyaan ki thi pehli shaadi tazeem se jin mein se inki teen beteiyan thi beta na hone ki surat mein inhin ne dusri shaadi kar li lekin tazeem se chup kar.

Jab tazeem ko ye baat pata chali to bohot dair ho chuki thi beta toh unhein dusri biwi se bhi na huwa bas ek an chaha wajood rooh duniya mein aagayi..

Wo masum si ladki har kisi se piyar karne wali lekin yahan ise koi pyar nahi karta tha siwaye fatima bibi ke.

Wo masum ladki apna bachpan kho chuki thi wo 19 saal ki hochuki thi government school mein is ne metric (10 pass) karliya lekin is ke aagey apna taleemi silsila jari na rakh saki wo padhna chahti thi kuch banna chahti thi lekin kuch bhi na kar payi.

Iske hisa mein muhabbatein na thi agr kuch tha toh teen behnoun ya ammi ke thappad wo din mein darjanoun ke hisaab se is ke moun par apne naqash banate.

Wo ahsaas e kamtari (feeling less importance) ka shikaar ladki apne aap se bhi muhabbat nahi karti thi ise fatima bibi ke ghr mein jane ki ijazat bhi sirf is liye thi kyunke wo is ki ammi mahine ke paanch hazar rupay deti thi

Fatima bibi janti thi le is ke sath is ghr mein kiya kiya hota hain rooh bachpan se in ke pass aati thi ke unhein wo piyari si ladki bohot azeez (beloved) thi

Is ki maa ka naam noor tha. Aur is ke baap ko is se muhabbat na thi. Is ki maa ne is ka naam rooh e noor rakha tha yani (matlab)ke wo apni maa ki rooh thi is se is ki bachpan ki yaadein cheen li gayi. Wo sirf chand dino ki thi jan is ki maa ise duniya ki thokaroun me chord kar humesha ke liye chali gayi ke baap ko is se koi matlb na tha wo toh bas ise utha ke iski sauteli maa ke pass le aaya tha.

Sauteli aulad se bhi bhala koi muhabbat karta hain. Is ke baap ne kabhi ise piyaar se nah dekha aur 7 saal ki umar mein hi wo yateem hogayi.

Is ki sauteli maa ko jo zara sa apne shohar ka dar tha ke is ke samne rooh ko kuch na kehti wo khtm ho gaya 7 saal ki umar mein hi is se is ka bachpan cheen liya gaya tazeem ne saaf lafzoun mein kaha free ki rotibnahi milegi kaam karna hoga.

Rooh e yaaram  Where stories live. Discover now