Part 14

154 11 1
                                    

Lekin iske liye tumhe meri madad karni hogi. Iske lehje  mein sirf sacchai thi. Jis par masooma dil o jaan se imaan le aayi.

Mujhe tum par pura yaqeen hain sarim aur mein tumhari puri madad karungi acha suno meri baat khabar ye hain. Vakram dada india se monday ko dubai aarahe hain devil ne use yahan bulaya hain.

Koi rasheed ke case ke silsile me wo log ko codeword mein baat karte hain is liye mujhe ziyada samjh nahi aati.

Masooma ne ulajhte huwe kahan kyunke wo rasheed ke case ke baare me kuch nahi janti thi.

Kiya mtlb hain tumhara devil wapis aagaya hain dubai.......? Sarim pareshan huwa tha.

Haan devil sari aj hi wapis aaye hain.

Dekho masooma siki nazar se bach kar rehna wo tumhe dekh kar hi sab jaan le ga. Wo bohot chalaak hain cheel ki nazar rakhta hain.

Tumhe hoshiyar rehna hoga. Ab tum jai in logoun ke paas mein phone rakh raha hun. Isne samne arwa ko aate dekh kar kaha.

Dekh rahi hun mein apko aaj kal office ka kaam ghr pe utha late hain hum dono ki to parwah hi nahi hain aapko. Wo ruthe huwe andaaz mein boli to sarim muskuraya.

To kiya katun jaan e man tumhe dekhe bina mera guzara nahi. Is liye to office se jaldi aajata hun take ziyada se ziyada waqt tum dono nahi balke teeno ke sath guzaar sa ku.

Isne mohabbat se arwa ke bhaare huwe wajood dekha.

Jahan se do mahino ke baad is ka dusra baccha is duniya mein aane wala tha.

🩶

Maine sab kuch handle karliye hain lekin mujhe ye ladki masooma bohot chalak lagtu hain mujhe lag raha hain ye bich mein koi gadh badh kar rahi hain hum se chup kar. Qizar ne ise kaam ki tafseel batate huwe masooma ke baare mein bataya.

Jabke iski baat sunne ke baad sharif ka chehra gusse se surq hone laga tha.

Kyun bhai masooma pe shak kyun hain mujh par nahi hain. Kal ye dekh dena ke mein bhi gaddari kar raha hun devil ke sath. Sharif to bhadak ki utha tha.

Sharif aaram se wo baat kar raha hain na. Yaaram ko is ka is tarah se beech mein bolna bilkul pasand na aaya tha.

Ye masooma par jhuta ilzaam laga raha hain jis din se wo yahan aayi hain. Ise hi bakwas kiye jaraha hain.

Aqir masla kiya hain ise is se mujhe samjh nahi aaya. Har baat mein kahin na kahin is ne masooma ka zikr karna zaruri hota hain.

Shrif gusse se qizar ki taraf dekhte huwe bola.

Dekho Sharif bekaar mein mere behez mat karo wo bhi us ladki ke liye. Qizar ko bhi acha qasa gussa aagaya.

Bas bohot hogaya kiy pagaloun ki tarah ek dusre se ladh rahe ho tum log aaram se baith jao.

Yaaram ke gusse se kehne par dono baith gaye.

Aaj ke baad kisi teesre ki wajah se maine tum dono ko ladhte huwe dekha.

To yaad rakhna me bhul jaunga ke tum dono mere liye kiya ho.

Aur wo laila kahan hain.....? Chodh to nahi gayi hume. Devil ne kaha.

Kyun tum use miss kar rahe hoo qizar se shararat se kaha tha .

Nahi agr chodh kar chali gayi hain to dusri hacker dhundne mein waqt lage ga qasi energy waste hogi.

Aur upper se party bhi to karni hogi bala talne ki khushi mein. Yaaram bilkul serious andaaz mein tha jabke iski baat mukammal hone ke baad qizar aur Sharif ka qaiqaha besaqta tha.

Rooh e yaaram  Where stories live. Discover now