Part 16

130 12 4
                                    


Before you start reading please vote as you know.. It encourage me so much

Vote
Comment
And follow

_______________________________

Rooh ko hosh aaya to yaaram iske qareeb baitha tha rooh ko wo bhi kra bhikra mehsoos huwa.

Yaaram wo inspector keh raha tha. Rooh uth kar baithne lagi jab yaaram ne use apne seene mein beaj (laga) liya.

Bakwas karta hain wo sab jhoot hain. Tumhe mujh par yaqeen hain na. Rooh tum meri baat suno yaqeen karo sab mujhe phansana chahte hain.

Main nahi janta maine unka kiya bigada hain.

Bas wo log mere piche pade hain.

Mujhe nahi pata ke wo mujh se kiya chahta hain lekin tum mera yaqeen karo.

Mujhe laila ne bataya inspector sarim tum se mila hain.

Wo mere khilaaf jhute saboot bana kar mujhe phansana chahta hain. Wo bohot chalaak aadmi hain wo tumhe mujh se dur kar de ga. Wo tumhare sahara le kar mere khilaaf sazishey kar raha hain.

Lekin tumhe mujh par yaqeen karna hoga.

Yaqeen hain na mujh par tumhe wo jhoot bol raha hain. Tumhe yaqeen hain na apne yaaram par wo is ka chehra thame is se puch raha tha.

Yaaram wo keh raha tha ke ap ne apne baba ko.

Bakwas kar raha tha wo jhoot bol raha tha jhoot hain sab yaaram ne iski baat kaat te huwe kaha.

Tum bas mera yaqeen karo. Sab jhoot bolte hain har koi tumhe mujh se dur karna chahta hain.

Wo ek baar fir se apne seene se laga gaya tha.

Tum mujh par yaqeen karogi na rooh. Tumhara yaaram aisa nahi hain. Tumahre yaaram ne kabhi koi galat kaam nahi kiya. Tumhe mujh par yaqeen hain na rooh ko aise hi bitha use apne seene se lgaye puch raha tha.

Wo inspector ap se jalta hain. Apki kamiyaabiyoun se jalta hain. Jalne wale log aisa hi karte hain jo khud kuch nahi karaakte wo dusroun par aise ilzaaam lagte hain mujhe pata hain aao ne kuch nahi kiya.

Bhala apne baap ko koi maar sakta hain. Wo is ke seene mein munh chupaye bole ja rahi thi.

Jabke rooh ki is baat ne yaaram ko bohot sounchne par majbur kardiya tha.

Pata hain wo aur kiya kiya bakwas kar raha hain ke aapne apni maa ko phansaya apne baba ko qatal karke. Koi apne maa baap ke sath aisa aisa kar sakta hain kiya. Jhoota kahin ka.

Rooh bole ja rahi thi . Aur wo use apne seene se lagaye sune ja raha tha.

Mere yaaram aisa kar hi nahi sakte. Mujhe aap par pura yaqeen hain. Aap itne ache hain . Aap bhala kisi ki jaan le sakte hain kiya.

Wo ghattiyaa aadmi aap ki darindga bula raha tha. Mtlb samjhta hain darinde ka. Mujhe zindagi mein kisi se nafrat mehsus nahi huwi ye aadmi bhot bura hain.

Thodi dair iske seene mein aise hi sar diye anchanka use shonu ka khayal aaya tha.

Yaaram shonu kahan hain. Wo iske seene se munh nikal kar boli.

Bahar qizar aur sharif ke paas hain. Yaaram ne bataya.

Kiya qizar aur sharif bhai aaye hain aapne pehle kyun nahi bataya. Hayeee aaj toh maine kuch banaya bhi nahi uske khane keliye.

Aab mere bhai kiya mere ghr se bhuke jainge. Wo tezi se uthne lagi yaaram ne uska irada jaan kar use khench kar bed par bithaya.

Mein bahar se kuch order kardinga tum rest karo.

Rooh e yaaram  Where stories live. Discover now