Part 12

179 12 0
                                    

Wo hotel ke room me wapis aaya.

To dekha kamre mein ghup andhera hai. Us waqt raat ke 10 baj rahe the yaaram ne hath badha kar saari lights on kardi.

Wo jaag rahi thi lekin karwat dusri taraf li huwi thi.

Wo jaag rahi thi lekin karwat dusri taraf li huwi thi

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Bed ke beech takkiyoun ki deewar thi.

Isne ek nazar takkiyoun ki us deewar ko dekha aur fir ahista chalta huwa is ke bilkul qareeb aaya.

Ek ek karke sab takkiyoun ko zameen par aise phenka jaise wo jeeta jagta koi wajud ho.

Rooh ye to janti thi ke wo takkiyoun ko zameen par gira kar apni aur rooh ke darmiyaan se ye deewar hata raha hain.

Lekin wo ye nahi janti thi ke ye kaam wo kitne gusse se kar raha hain.

Fir kuch dair baad ise apne bazu par yaaram ke hontho ka lams mehsus huwa.

Rooh ne abhi tak yaaram ka wahi kurta pehen rakha tha.

Yaaram ne ahista se is ka kurte ka bazu upper kiya.

Jahan par neel ke nishaan the.

Bohot dard horaha hain.

Wo ahista ahista iska bazu sehlate huwe puch raha tha.

Mein ap se naraz hun rooh khaasi unchi awaaz mein boli jaise ke wo bohot dur baitha ho.

To mera baccha mujh se naraaz hain.

Iske andaaz par muskurate huwe yaaram mazeed iske qareeb huwa.

Rooh ne iski taraf dekh kar zor zor se gardan haan mein hilayi.

Maafi ki gunjaish(chances) nahi hain....? Andaaz mein duniya bhar ki nadamat (apologies) thi.

? Andaaz mein duniya bhar ki nadamat (apologies) thi

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Aap ainda mujh par is tarah se gussa nahi hunge na......? Please mujh par chillaya mat karein. Mujhe bohot dar lagta hain.

Aap ke alava koi nahi hain mera. Yaaram mein galat hun  to mujhe bataya karein.

Aapke samne kisi dusre ke baare me baar nahi karungi. Lekin please mujh par aise gussa mat huwa karein.

Ammi aur aapi bhi aise hi chillayi rehti thi mujh par.

Rooh e yaaram  Where stories live. Discover now