Part 10

162 10 0
                                    

Wo baithi sounch rahi thi ke iceland jane keliye wo kounse qisam ke kapde pack kare ke darwaze ki ghanti baji.

Arey ye koun aagaya yaaram ka toh abhi wapisi ka tym nahi huwa zarur sharif bhai hunge.

Wo sounchte huwe darwaze ki taraf aayi.

Darwaza khola toh samne wo insaan khada tha ise pehchanna is keliye mushkil na tha ye to wahi inspector tha jo ise is din yaaram ke office chodh ke aaya tha.

Assalamualikum kaisi hain aap kiya mein andar aa sakta hun isne muskura kar pucha.

Walaikimassalaam i am sorry mere shohar ghr par nahi hain aap andar nahi aa sakte. Rooh ko yaaram ki baatain yaad aayi yaaram ne ise bataya tha ke ye aadmi ise phansana chahta hain.

It's ok thik hain mein andar nahi aaraha. Wo dheetoun ke tarah muskuraya tha.

Mein toh bas aap se ye puchne aaya tha kiya aap janti hain ke apka shohar kiya kaam karta hain sarim fauran apne mtlb ki baat pe aaya tha

Ji haan wo ek company chalate hain rooh ne fauran jawab diya.

Kis qisam ki company......? Sarim ne fir pucha

Wo koi dawaiyoun ki company chalate hain.

Kis qisan ki dawaiyaan.......?

Jaan bachaane wali dawaiyaan..... Rooh ne jawab diya.

Bohot galat malumaat di gayi hain apko apke shohar jaan bachaane wali dawaiyaan nahi balke jaan lene wale islahe (guns) ki khareed o faroqt (buying and selling) karte hain yahan tak ke kai logo ki jaan bhi le chuke hain.

I am sorry rooh lekin tumhara shohar ek qatil hain.

Dubai ka ek bohot bada don hain. Don ka mtlb samjhti hoi tum hunahoun ki duniya ka badshah.

Ek qatil. Jis ki nazroun mein kisi ki jaan ki koi ahmiyat nahi.

Chataaq.

Khabardaar jo apne mere shohar ke khilaaf ek lafz bhi kaha meherbani farma ke yahan se chale jaye. Ya fir mein guards ko bula kar apko dhakke marwa kar yahan se bahar nikalwaun.

Rooh khud bhi nhi jandti thi ke is mein itni himmat kaha se aayi

Rooh tum bohot badi galati kar rahi ho tumhara shohar itna acha nahi hain jitna wo ban raha hain wo tumhe dhoke mein rakh raha hain.

Bohot pachtaogi rooh meri madad karo.

Aise insaan ki aam duniya mein koi jagah nahi hain is ki jagah jail ke andar hain.

Wo insaan darindha hain devil ka mtlb samjhti ho shaitan wo ek shaitan hain rooh aur insaanon ki duniyamein shaitanoun keliye koi jagah nahi hain.

Bas kare khuda keliye chale jayenge yahan se rooh taqreeban chillaye huwe boli aur is ke munh par darwaza band Kardiya.

Sarim kaafi dair tak darwaza khat khata raha Lekin rooh ne darwaza nhi khola.

Thodi dair ke baad wo chala gaya to rooh ne yaaram ko phone karke sab kuch bataya.

Wo phone par bhi musalsal ro rahi thi.

Wo to shukar hain yaaram ap ne ye saari baatein pehle hi mujhe bata di warna na jane ye gira huwa aadmi mujhe ap ke khilaaf kiya kiya batata. Aap ko pata hain wo kiya keh raha th wo kehta hain ap qatil hain aap ne khoon kiye hain logoun ke.

Lekin maine bhi ise bata diya ke aap aise nahi hain aur na hi ap aisa kabhi karsakte hain. Wo rote huwe bol rahi thi.

Aur is ka har aansu yaaram ke dil par gir raha tha........

Rooh e yaaram  Where stories live. Discover now