💜💜
YN apna sar Taksh ki chest par rakh kar aaram se so rahi thi. Uski garam saanse Taksh ko apne gale par feel ho rahi thi. Vo bhi YN ko pyaar se apne gale se lagaaye hue tha. Aaj vo bhi itne dino baad bade sukoon se so raha tha.
Tabhi kisi ne unke room ka door knock kiya.
YN ne awaz sun kar kasmasaate hue apna face Taksh ke chest me chupa liya.
Door knock ki fir se is baar thodi tej awaz aayi.
Fir bhi dono uthne ka naam nahi le rahe the.Bahar, Anjali ji ne khade ho kar sochte hue kaha : Pata nahi YNiee ko kya hua hai. Subah ke 8 baj rahe hai aur ab tak niche nahi aayi. Abhi darwaza bhi nahi khol rahi. Pata nahi ye uthi bhi hai ya nahi. Soyi to nahi hai ab tak..
Anjali ji ne dobara door knock kiya.
Taksh ki neend khul gayi awaz ki vajah se.
Usne apni aankhe kholi to dekha ki vo YN ko apni baaho me le kar so raha hai. Uske dono haath YN ki kamar par the.Taksh ne YN ko apne aap se dur karna chaha to YN aur kas kar Taksh se chipak gayi.
Door knock ki lagatar awaz aa rahi thi.
Taksh ne dheere se YN ke kandhe ko pakad kar apne aap se dur kiya aur fir thik se use bed par leta kar door kholne gaya.
Apni aankho ko masalte hue Taksh ne door open kiya to samne apni daadi ko paaya.
Anjali ji ne Taksh ko dekhte hue kaha : Kitna time lagta hai tumhe door kholne me..
Taksh : Vo.. daadi..
Anjali ji : samne se hato. YNiee kaha hai. Abhi tak niche kyu nahi aayi..
Itna bolte hue vo room ke andar ghus aayi. Anjali ji room ke andar aayi to dekha, YN abhi tak so rahi thi.
Anjali ji : ye ab tak so rahi hai. Taksh. Tu na meri bachhi ko apne jaisa bana dega. Kabhi itni der tak nahi soti aur abhi dekho uthi hi nahi hai.
Taksh : Daadi. Maine thodi na roka hai ise uthne se. Raat ko let soyegi to kaise subah uthegi.
Anjali ji, YN ke paas jaa kar use uthane lagti hai.
Tabhi YN ne neend me badbadaate hue kaha : Main aap ko sone nahi dungi. Pehle aap mujhe manaaiye.
Anjali ji Taksh ko dekhne lagi.
Taksh ne YN ki baat sun haklaate hue kaha : Daadi... Vo.. pagal hai ye.. pata nahi kya kya bolti rehti hai.
Anjali ji ne dobara se YN ka naam le use uthaane ki koshish karte hue kaha : YNiee.. bachha.. uth ja.. dekh subah ho gayi hai.
YN ne karvat badalte hue kaha : Sone dijiye na.
Fir tabhi achanak usne apni aankhe kholi aur palat kar dekha to apne paas daadi ko betha hua paaya.
Usne jaldi se bethte hue kaha : Daadi...
Anjali ji ne muskurate hue kaha : Uth gayi. Aaj kitna time laga diya uthne me. Ab jaldi se taiyaar ho kar niche aa jaao.
Anjali ji jaane lagi tabhi vo ruki aur unhone palat kar Taksh ki taraf haath dikhaate hue pucha : Acha YNiee.. ye tumhe pareshan to nahi karta na..?
YN abhi bhi neend se puri tarah jaagi nahi thi.
Anjali ji ki awaz se vo jaag gayi aur kaha : Daadi kuch kaha aapne?Anjali ji : Ha. Maine pucha, kya Taksh tumhe pareshan karta hai?
YN jaldi se bed se uth kar Anjali ji ke paas aayi aur kaha : Ha daadi. Ye bahot bure hai. Mujh par humesha gussa karte rehte hai.
Itna bolkar YN Anjali ji ke gale lag gayi.

YOU ARE READING
Tales of Hearts ❤️
FanfictionAnjali Khurana ji wants YN to marry her grandson Taksh. YN man hi man Taksh ko pasand karti thi. Taksh Khurana as (Kim Teahyung). YN Anjali ji se wada karti hai, ki vo kabhi Taksh ka saath nahi chhodegi. Aise me kya hoga jab Taksh Khurana ko is sha...