Qissay

235 15 28
                                    

Aaj kal dil ko puranay naghmay bhaatay hain,

Sang chalo to sath mil kar gungunatay hain,


Jo guzri dono per judayi kay mausam me,

Aao wo qissay khul kar ek doojay ko batatay hain,


Meray qissay to kuch yoon shuru hotay hain,

Kay raat bhar moti meri aankhon me jagmagatay hain,


Jo waqt guzra teray sang, teri ankho ka wo pur kashish rang,

Meri jaan o jigar sab yaad kr kay, sukoon na pal bhar ka paatay hain,


Who khato me apni khuwahishon ka izhaar krna,

Tere peghamo me likhay lafz ab tak mujhay jagaatay hain,


Who teray waaday jo tu nibha na saka,

Aag dozakh ki maanind dil me lagaty hain,


Khair meri chor, tu apni suna,

Kya tujhay bhi meray gham tarpaatay hain,


Jo deta tha mujhay har bar jab bhi milta tha,

Who kaghazi phool kya yaad tujhay meri dilatay hain,


Aadat thi humay chaltay chaltay, bina jaanay, ek doojay k koochay me jaanay ki,

Jab ghair danista tor per, kud ko us gali me paatay hain, to pal bhar ko dagmagatay hain,


Aap ko bhi shayad aadat ho gayi hai hamary bin jeenay ki,

Issi liye milnay k bahanay jaan bojh kr ganwatay hain,


Kabhi chehron per noor tha khushiyon ki farawani k bais,

Ab samna ho jaye to muskurahatain masnui dikhlaatay hain,


Haasil kuch nahi hai teri raah taknay me phir bhi takkay jatay hain,

Shayad issi liye aashiq deewanay kehlatay hain,


Kaash kay mitt jaaye dil o rooh se tujh se jurri har ek cheez,

Mujhay teri baatain, teri yaadain, teray taswuraat rulaatay hain,


Aiman ab tera bhi shumar hota hain un logo me,

Jo qissay apni mohabbat k baar bar sunatay hain!!!

tanhaiyon ka safarWhere stories live. Discover now