sab saaf ho gaya

59 7 12
                                    

This ghazal is dedicated to #dreamer_soul21 for her constant support... jazakallah!!!

-----------

Jaa tujhay yeh khoon e jigar maaf ho gaya
Jo dhuwan sa chahaya tha sab saaf ho gaya

Phir na kehna yeh kya ker diya mene
Ab tu tarpay ga esa insaaf ho gaya

Ab tu aur me ek nahi rahe
Tere mere beech ajnabeeyat ka ghilaf ho gaya

Kabhi to rah me mulaqaat ho gi chaltay chaltay
Tab mujh se na poochna aakhir kya ikhtilaaf ho gaya

Tere chand kalimaat ne sabit kr diya ghalat thi me
Teri past soch ka do lafzo me inkishaaf ho gaya

Yeh ishq muhabbat ki batein hoti kahan hain sach
Jahan milta hai yeh sab wo koh kaaf ho gaya

Tujhe sharam na ai aashiq ko badnaam krtay
Yak dam hi tu maghribi asoolo k khilaaf ho gaya

Jisse dekho chala hai apna ullu seedha krnay
Chup kr kray koi bhi kaam, kese wo ishraaf ho gaya

Kya faida hua mujhay apnay ansoo, dharkanein, duaien kharch krne ka
Lagta hai teri muhabbat me humse zyada hi israaf ho gaya     

Jaa ab tere gird lagi hai muhabbat me giray ansu'on ki aag
Ab jahan milain ge wo maqaam airaaf ho gaya

Nahi chahiye mujhe teri safaiyan, teri minnatein
Tere lafzo me teri pathar dili ka aitraaf ho gaya

Yeh zindagi ki pareshaniyan kabhi to khatam hongi, nikle ga nayya sawera
Kohra chhat gaya, mere gird rango ko itraaf ho gaya

Shukar ker Aiman waqt per sambhal gai
Tujh per tere rab ka iltaaf ho gaya.

♡♥♡♥♡♥♡♥♡♥♡♥♡

Assalamoalikum everyone!

How are you all doing? I hope you are having some great time of your life...

I am soooooo soooo soooo happy... Tanhaiyon Ka Safar reached #2 in poetry. Like literally #2. I almost fainted with happiness. 

Thank you sooooo much all of you.  It wouldn't have been possible without you all. I cannot thank you all enough. And I can not thank Allah Almighty enough... he has blessed me more than I deserve.

Please keep on supporting this book as always. Read, vote, comment and share this book with your friends.

Take care y'all♡♡♡

Aiman.

tanhaiyon ka safarDär berättelser lever. Upptäck nu