Agar hota

152 15 15
                                    

Kaash tumhe bhulana aasan hota,

Na tum se bicharna nuqsan hota,


Hum bhi datt jatay, jaan laga detay, dil ko pathar kr letay,

Kaash teri judayi na itna barra imtihan hota,


Ik baar to kehta, k bas ruk ja, mujhay teri zaroorat hai,

Is duniya ko thokar mar detay agar teray ishq ka gumaan hota,


Jaanay na deta, is dil ko tutnay na deta,

Agar tujhay meri mohabbat ka zara sa bhi maan hota,


Is duniya ki tamam fiqrain gham aur sazishain bhula deti,

Agar teri baho me mujhay aamaan hota,


Meri mohabbat ki intiha ko parakh kr to dekhta,

Teri rah me pehla nazrana meri jaan hota,


Ik faqat teray jawab ka intizar tha,

Tera masbat jawab meri shaan hota,


Is zamanay se larr jati teri khatir,

Agar tujhe meri mohabbat ka zarra bhar armaan hota,


Meri tamam khuwahishon ko hasrat bana kr chala gaya,

Agar apni yaadein bhi sath le jata to tera ehsaan hota,


Kaash tum se mohabbat k yeh anjam na hota,

Na is dil par barpa yeh ghamo ka toofan hota,


Zehan to samjh gaya tera jaan lewa khel,

Is dil ko bhi samjha letay agar yeh nadaan hota,


Abhi to sirf mai roti hoon Aiman,

Poori duniya zaar o qatar roti agar mera dard bayaan hota...

tanhaiyon ka safarWhere stories live. Discover now