samjhota

90 10 6
                                    

Kuch badnaseebo ki zindagiyon me esa bhi hota hai,

Ik shaks jis ko samajhtay thay sab kuch, wo kuch nahi hota hai,


Jis per bharosa kiya aankh band ker kay,

Wo hi sheeri andaz se tujh ko torta hai,


Mojon se ho ker khofzada, jo thama tera hath, chali jo tere sath,

Lagaya us ne ye kesa ghaat, kashtibaan jahaz dobota hai,


Aakhir jo nahi hota naseeb me,

Wo hi kyun dil ki gehraiyon ko choota hai,


Kabhi jo her uzar se rooi ki maanind marham tha,

Ab wo hi darinda banay meri rooh kharonchta hai,


Kabhi suni hain jino, pariyon ki daastanein?

Jaan jis me hai qaid tu wo hi tota hai, :D


Banda jo tha mera dost o ghamgussar,

Ab libadah wo meray qatil ka orhta hai,


Kehta tha rahoon ga her dum teri rah me roshni ban ker.

Ab mujhay mushkilon me dhakel, apna moo mujh se morta hai,


Kya rakhun abhi bhi dil me umeed, aanay doon roshni ki kiran?

Aiman attal hai yeh tera faisla kay khud se kiya ek samjhota hai?

tanhaiyon ka safarWhere stories live. Discover now