part 4
"mr and mrs malhotra "
nandani navya ka chachaji ke ghar mumbai shift hona ab age .
nandani ki pori family mumbai apne chacha ke yahan par ahift ho jaati hai jahan onke chacha ji aur nitara onhe dekh kar khush hote hai par onki chachi dikhawe ke liye khushi ka izhar karti hai jise sab fill kar lete hai par sab chachaji aur nitara ko mohabbat ko dekh kar chachi ke bihaveor ko najarandaj kar jaate hai .
harish apni koshish se nandani ke papa ki noukri kaintejam kar deta hai aur life thodi bahut set ho jaati hai ek din .
navya - maa hum mandir jaakar aate hai .
maa - tumhe pata hai mandir kaha hai beta
navya -han maa yahi se kuchh dori par ek bahut bada mandir hai wahi jaakar aati hon aap chalegimaa - nahi nandani ko leja
navya - woh nahi jaa rahi hai nitara ke sath khel rahi hai main hi chali jaati hon .
maa - thik hai beta dekh kar jaana ok jaldi aana
navya - ji maa .
navya poja ki thali lekar nikal jaati hai .
mandir main
cabir aur oski dadi main.devi ke darahan ke liye aye hote hai .
cabir - dadi aap bethe main aap ki poja ki thali banwa lar laata hon niche se .
dadi -thik hai beta jaao lekar aao
cabir jaldi jaldi niche oter raha hota hai aur navya dupata sambhalti hui stair par chhad rahi hoti hai aur dupatta niche otarte cabir ke face ko cover kar jaata hai .
cabir - oh my god madam aap ka dupatta dekhe kaha ja raha hai apne face se dupata hata kar samne khadi navya ke hath main pakdata hai
aur navya samne cabir ko khada dekh bina palke blink kiye dekhe jaate hai .
navya pov hai devi mayya ye to cabir malhotra hai news paper wala ye maire samne khada hai jita jagta hua pov end
cabir ek tak khadi osko dekhti navya ke samne chutki bajata hai
cabir - madam.madam kaha kho gayi aap .
navya - ji aap main .
cabir - excusmi kya kaha aap ne
navya hosh main aati hai
navya - sorry very sory aap ko pareshni hui dupatta tarike se sar par lekar cabir ko dekhti hai so much of love ke sath
cabir ko kuchh anokha sa ehsas hota hai navya ki aankho main dekh kar ek spark sa .
navya - woh main chalti ho poja ke liye der ho rahi hai aap bhi chale na .
cabir - han main.poja ki dhali lekar aata hon mairi dadi oper bethi hai .
navya sun kar chup chap chali jaati hai aur cabir back par lambi si choti ko dekhta hua niche oter jaata hi
cabir pov ye ladki mughe first time mili hai par dekhne ka andaj iska aisa hai jaise mughe janti pehchanti hai oski aankhe mughe kuchh keh rahi thi jab dekh rahi thi strange na pov end .
navya oper jaati hai to samne hi ose cabir ki dadi bethi najar aati hai .jo apne pair pakde bethi hoti hai
navya onke pass jati hai
navya - woh aap ke pair main taklif hai ji .
dadi - han woh mairi pair ki nus ek dosre par chhad gayi hai to pair sidha nahi ho raha hai .
navya - are mughe aata hai sahi karna main.thik kar don
dadi - jiti raho bhgvan bhala kare tumhara kar do beta bahut dard ho raha hai
navya thali ek tarf rakh kar niche beth kar dadi ke pair ko apni god main rakh kar dhere dhere masage deti hai oper se niche aur leg ko halke halke move karte hue sidha karti hai .
dadi - are wah sahi ho gaya itni jaldi sada khush raho beti .
navya kapde saf karti oth jsati hai .
navya - are nahi isme itna shukriya na kahe dadi ji main.dadi ji bolo aap ko
dadi - han han bolo beta kyu nahi kitni badi pareshani dor kar di minto main tumne ghar par to koi kar hi nahi paata hai itni jaldi pora pora din.lag jsata hai tumne ek minute main kar diya
cabir dor khàdah ye sab dekh kar heran ho raha hota hai .
cabir pov ajeeb ladki hai niche beth gayi kapdo ki parwah nahi ki ke kharab ho jaayenge aur anjan logo ki madad karne lag gayi impresive girl pov end
dadi cabir ko dekh leti hai
dadi - are ab tak thali bana raha tha kya chal ab ander poja karte hai tum bhi chalo hamare sath beti kya name hai tumhara
navya - ji navya .
dadi - achha name hai chalo maire sath hi hum sath hi poja kar te hai
navya dadi ka hath pakad kar ander lekar jaati hai cabir poja ki dhali lekar jaata hai navya khud ki thali bhol jaati hai .
ander pandit ji jab poja ke liye saman mangte hai to .
navya - are thali to bahar hi reh gayi dadi
dadi - koi bat nahi hamare sath poja kar lo aaj chalo
phir navya cabir ke sath khadi hokar poja karti hai dadi cabir ke ek tarf khadi hoti hai .
poja hone ke bad dono ek sath parsad ke liye hath aage karte hai .
pandit ji dono ko ek sath parsad dekar blesing main jo kehte hai ose sun kar dono shoked reh jaate hai dadi ka face glow kar jaata hai
pandit - bhgvan tum.dono ki jodi sada banaye rakhe sada suhagn raho mata ji aap ke pote ki bahu badi sanskar wali hai
dadi - hanste hue are nahi pandit ji ye maire pote ki bahu nahi hai mairi jan.pehchan wali hai aap dua kare jaldi se mughe mairi bahu mil jaye ek nahi do do .
pandit ji navya ke sharminda face ko dekh kar guilty fill karte hai .
pandit ji
maf karna beti anjane main bol diya tum.dono sath khade bahut achhe lag rahe the jaise ram sita ki jodi to mon se nikal gaya .
cabir blush karti navya ko ek tak dekhta rehta hai aur
navya - koi baat nahi pandit ji galti insan se hi hoti hai .
aur dadi ka asirwad lekar nikal jaati hai
dadi - kon thi ye ladki achanak mili aur dekho kitni apni apni lagne lagi .maira pair ka dard bhi sahi kar diya minto main .
cabir jati hui navya ko dekh kar
cabir - ji dadi ajeeb hi ladki. thi bahut alg alg si thi .
dadi - dekh chuka to chale hum bhi .
cabir - ji ji dadi chale na .
aur kuch sochta hua sa dadi ko lekar gadi main beth jata hai par najre ab bhi rod par kuchh sarch kar rahi hoti hai .oski so ye mile cavya ab bari manan meat ki jo next part main milenge dhamake ke sath tab tak enjoy it sorry late ho gayi update busy jo hon aaj kal .
YOU ARE READING
Mr and Mrs malhotra. (Complite),
Short StoryA manan and kavya love story I hope you like it