manik brust out

2.1K 214 25
                                    


#Mr_mrs_malhotra part 33

Manan moment ab aage.

Phir manik nandani dono ready hokar niche aate hai aur Brakfast tabel par blushing face ke sath aalia ko betha dekh dhurav ko dekhte hai jo bas aalia ko dekhne bhi busy tha cabir navya main.
Manik _ in dono ka kuchh nahi hoga aage bhi sab ke samne aisa kaise kar sakte hai dono sharm nahi aati maa papa dadu sab bethe hai sab se main mukti bethi hai yahan par oske dimag main kitna galt asar padega in sab bato ka khayal hi nahi hai aur in dono ko dekho pora ghar pareshan hai in dono ke liye aur in dono ko romance karne se furast nahi hai tum aur main jo souch rahe hai sahi lagta hai mughe ye dono shadi karna chahte the issliye ye sab drama kiya tha dono ne.
Nandani _just comedown Mr malhotra har waqt volcano kyu bane rehte hai aap ki moqa mile aur burst out ho jaye take it easy ok sab pata chal jayega mond thik kare aur chale chair par jakar bethe.
Manik nandani ko dekhta hai aur.
Manik _ oh shit sindor nahi lagaya aaj maine mang main jao laga kar aao jakar dadi ne dekha to class le lengi tumhari aur mairi abhi.
Nandani _ aap ko yad rakhna tha na gussa hi yad rehta hai aapko ye yad nahi rehta.
Manik _ ab argument mat karo aur jao pehle phir rone beth jaogi dadi ne kuchh kaha to aur mughe achha nahi lagega tumhara Rona.
Nandani chonk kar manik ko dekhti hai aur manik apni baat keh kar ek dum chup ho jata hai aur.
Nandani _ Sach bol rahe hai aap aapko mairi aankho main aanson pasand nahi hai.
Manik _ nahi tumhara rota hua face pasand nahi hai ajeeb si lagti ho roti ho tab smile hide karke bolta hai aur nandani gusse main waha se chali jati hai aur manik aakar Brakfast tabel par beth jata hai aur thodi der main nandani bhi aa jati hai par face par smile nahi hoti hai oske mon phola hua hota hai oska.
Manik pov aww gusse main kitni cute lagti hai red red cheek ke sath pov end.

Mr malhotra _ so dhurav koi call aaya tumhare aur aalia ke phone par.
Dhurav _ no dad nahi aaya abhi tak.
Mr malhotra _ hmm maire dost se bast ki hai maine iss mamle par osne kaha call aaye to mughe batana phir dekhte hai kya karna hai.
Manik _ I think dad ab koi call nahi aayega ye sunte hi aalia ko khansi aa jati hai aur dhurav juse mon se bahar nikal deta hai aur.
Manik _ just calm down both of you kya hua han aalia dhurav kuchh galt kaha maine.
Nandani pov gayi bhens pani main ye to gaya hath se bole ga jo soucha hai aalia dhurav tum gaye dono ye volcano to phatega aaj pov end

Dhurav _main samgha nahi bhai aap kya bol rahe hai.
Manik _ samgh to tumhare achhe achhe gaye bhai maire bas sab ko samghana jarori hai abhi.
Mr malhotra _ manik kya bole jaa rahi ho saf saf kaho paheli kyu bana rahe ho yar.
Manik _ to suni ye dad ye vedio in dono ne khud banaya tha aur khud hi apne apne phone par bhej a tha.
Mr malhotra _ what kya bakwas kar rahe ho manik ye dono aisa kyu karenge bhala.
Manik _ mughe nahi pata jo maine aur nandani ne notice kiya woh ye hi hai ki ye dono hum se kuchh hide kar rahe hai nandani ka khayal hai ki aalia pregnant hai issliye in dono ne ye sab kiya hai but mughe aisa nahi lagta ab aap hi pochhe Sach kya hai.
Sab nandani ko dekhne lagte hai aur phir aalia aur dhurav ko.
Nyu _ aalia beta Sach kya hai beta batao Hume agar manik nandani Sach bol rahe hai to tumne ye sab kyu kiya tha itna bada dhoka kyu kiya hum sab ke sath.
Aalia _ rone lagti hai aur nandani bhabhi right I am pregnant of two months .
Sab ek sath chair se oth jate hai shoked hokar sirf manik nandani aaram se bethe hote hai.
Dadi _kya kaha aalia tum two month pregnant ho.
Dhurav _ Ji dadi woh humne two month pehle hi mandir main shadi kar li thi.
Mr malhotra _ what kya kaha shadi kar li thi  par kyu.
Dhurav _ aalia ke papa aalia ki shadi apne dost ke bete se karwana chahte the aur aalia mugh se pyar karti hai issliye osne suside karne ki koshish ki aur kaha agar maine Osse shadi nahi ki woh pani main khud kar jaan de degi aur maine osi din aalia se shadi kar li aur aalia ke papa ke dost ka beta kisi aur se shadi kar betha aur ye baat yahin khatam hogayi par hum dono ne husband wife ki tarha life start kardi thi aur aalia pregnant hogayi to hum Dar gaye ke kya kare aur.
Manik _ aur ye plane banaya tum dono ne kyu sab bewakuf hai iss ghar main ye hi soucha tumne ke tumhari kaha ni par yakeen kar lenge par sorry bro ye jo tumhari jasos bhabhi hai na osne ek pal main pata laga liya tha mairi tarha ki tum dono ka plane hai ye aur dekho wahi nikal na.
Mr malhotra _ shame on you aalia dhurav kal se sab kitne pareshan hai jante ho tum mairi parwarish ko tumne badnam kar diya shadi kar li very good baby bhi plane kar liya dono ne wah bhai wah khud hi zindagi ka itna bada fesla kar liya tha to aage bhi sab kuchh khud hi kar lete Na mairi ya iss ghar ki kya jaror at thi dono ko aalia beti maa bap ka proud hoti hai tumne ek baar bhi onke bare main nahi soucha aapne bare main soucha maira beta to bewakuf hai kya tum bhi itni hi bewakuf ho agar ye tumhe chhod deta to kya karti kya hota baby ka bolo.
Aalia rone lagti hai aur Mr malhotra dhurav ko gusse main dekh kar waha se Chale jate hai aur manik papa ko gusse main jata dekh pareshan hota hai aur onke pichhe jata hai aur nyu dadi aalia ko chup karwa ne lagti hai aur nandani dhurav ke pass jati hai aur.
Nandani _ jaao dhurav papa se mafi mango jakar ke abhi ki abhi gussa hai abhi par shayd maf karde tumhe aur aalia ko sath lekar jao.
Dhurav _ aap sath chale bhabhi plese.
Nandani _ main kyu

Dhurav _ woh manik bhai  aap ke samne chup rahe nge janta hon main akela gayi to woh phir start ho jayenge aur papa maf nahi karenge Hume plese bhabhi chaliye na Hamare sath.
Nandani _ ok chalti hon maa se pochh lo pehle.

Mr and Mrs malhotra. (Complite),Where stories live. Discover now