nandani ka ghar aana dadi ka fida hona

2.1K 167 12
                                    

Mr and Mrs malhotra "

nandani ka ofice join karna ab aage.

nandani sara kaam aaram se hendel kar leti hai aur kahin na kahin manik oski kabliyat ko manne lagta hai par kehta nahi hai par ab bhi dono kisi na kisi baat par tu tu main main jaro hua karti thi jisme dono hi har nahi mante the. Aur Mr raj malhotea dono ke argument enjoy karke dekha karte the aur.

Mr malhotra pov maire lad pyar ne isko had se jyada bigad diya tha iss ladki ne isko sky se earth par lakar khada kar diya hai jus din isne women ke liye galt souch rakhi aur bola mughe osi din iske ek slap marna tha par iski souch kuchh waqt pehle hi change hui hai osse pehle to ye aisa nahi souchta tha mughe pata karna tha ki ye aisi souch kaise rakhne laga hai womens ke liye but ab nandani maira ye kaam karegi maire ladle ko zameen par ye hi lekar aayegi achhi tarha se bend baja rahi hai manik ki aur manik kuchh bol nahi paa raha hai maira pyara beta plans gaya hai ab to bas pyar bhi kar bethe to maire manik ki dulhan to mil gayi mughe. Pov end.

morning scene.

nandani house

Mr malhotra__nandani kab tak niklo gi beta  tumhare boss ke sath conference ke liye
nandani _papa bas abhi nikal rahi hon 10 baje nikalenge hum 
satish _beta sab dekh liya hai na tumne achhe se waha kya kya karna hai.
nandani _Ji chachu befikar rahe sab dekh liya hai
Mrs malhotra__ tiffin pack karke lati hai lo beta ye raste ke liye maine khana pack kar diya hai kha lena ok
nandani _Ji maa ab chalti ho
blessing lekar nikal jati hai

idhar manik bhi tayyar hokar niche aata hai.

dadi _ manik kab tak aao ge beta
manik _rat tak aa jaonga jyada der ka kaam nahi hai bas at end ki conference aur nikal jayenge hum.

dadi _phir bhi dekh kar gadi chala na ladki sath jaa rahi hai tumhare
manik _han to kya hua jaa rahi hai to main kya gadi chana nahi janta hon kya.
dadi _har bat ka olta matlab na nikalal kar.
tab hi Mr malhotra aate hai.
Mr malhotra _manik apna tampr lose mat karna waha par aaram se conference at end karna nahi to jo sath jaa rahi hai woh tumse jyada gusse main rehti hai kahi office ki tarha scene create na ho jaye.
manik _plese papa not again main pagal lagta hon kya aap ko jo aise bol rahe hai woh koi kami hai kya jo aap aisa keh rahe hai.
dadi ye sab sun rahi hoti hai phir
dadi _are raj beta koun si ladki hai jo ise takkar de rahi hai main bhi to milo os ladki se jisne iski bolti band kar di.
Mr malhotra aur nyu sun kar hansne lagte hai.
nyu _ maa aap bhi na had karti hai.
manik _han dadi ko to moqa chahiye mairi leg poling ka
Mr malhotra _ are maa abhi aane wali hai yahin par mil lena abhi os se.
manik _time ka kaha tha waqt par aana par nahi aayi laparwahi karti hai har waqt.
Mr malhotra _are beta traffic main a tak gayi hogi aa jayegi
manik _aap to chup hi rahe har waqt oski side lete hai aap to jab se aayi hai pata nahi kya surkhab ke par lage hai osme.
tab hi gate par knock hoti hai aur sab gate par dekhte hai Jahan nandani blue pink long frok suit main hair ki pony tell banaye bag shoulder par liye khadi hoti hai kuchh norvouse norvouse si.
Mr malhotra _ are nandani beta aajao ander waha kyu khadi ho.
nandani thoda huchkichate hue ander aati hai.
dadi jaldi se chair se khadi hokar gor se nandani ko dekhne lagti hai.
dadi pov hai ye to badi sohni hai bilkul gudya ki tarha lag rahi hai choti si aankhe aur palke blink karti hui ye manik ki bend bajai kar rakhti hai office main ajeeb baat hai lagti to nahi hai aisi pyari si hai ye to cute se pov end
manik _ time dekha aap ne miss nandani kya hua hai .
nandani _Ji sir 10 baj gaye hai.
manik _aur Hume nikal na kitne baje tha
nandani _10 baje nikalenge
manik _ab 10 baje nikal sakte hai kya late hone ka bahut shok hai aap ko
nandani _Ji nahi sir bilkul nahi traffic aur road maire isharo par nahi chalte hai jaise chalte hai wese chalte hai jaam laga tha to main kya karti ho gayi lete to ho gayi.
ye sun kar dadi chonk kar kabhi nandani ko kabhi manik ko dekhti hai aur Mr malhotra aur nyu smile kar rahe hote hai.
manik _ ho gaya aap ka to Chale ab ya kuchh aur kehna baki hai.
nandani _Ji nahi chaliye
dadi pov hai ye to pata kha hai manik ko kya jawab diya hai maja aa gaya aaj to pov end.
dadi _are rok pehli baar bachchi ghar par aayi hai aise kaise rok hi phikhi si jayegi nyu jara juse hi le aa bachchi ke liye kitni dor se aayi hai.
nyu _Ji maa laayi.
phir dadi apne pass betha kar nandani ko juce pilati hai aur manik mon bana kar khada rehta hai. phir
manik _ab Chale late ho jayenge.
hum dadi.
dadi _achha achha jaao dekh kar jana aur nandani beta kabhi furs at se aana.
khub bate karenge badi pyari lagi mughe tum.
nandani _ Ji dadi jaror phir dadi ki blessing lene ke liye on ke feet tuch karti hai dadi nihal ho jati hai ye dekh kar
dadi _hai itni sanskari hai sada khush raho beta. oske sar par hath rakh kar khud se laga leti hai. manik khada dekhta rehta hai.
phir nandani manik ke pass jati hai
nandani _ab chaliye face ko to thik kar le kaise phola hua hai gubbare ki tarha se 
.
manik _tumhe kya hai tum chalo ab let par let kiye jaa rahi ho.

phir dono sab ko bay karke nikal jate hai.

dadi _hai raj beta dono sath sath jate hue kitne sohne lag rahe hai kash aisi hi koi ladki bahu ban kar aa jaye iss ghar main.
Mr malhotra _maa ye hi kyu nahi maa achhi ladki hai
dadi _hai tumhare mon main ghee shak kar par main to dono ki shadi judwa beano se hi karongi alg alg se nahi.
nyu _manik manega kya
dadi _oska bap bhi manega.
Mr malhotra _main to tayyar ho nyu tayar hai kya mairi dosri shadi ke liye.
nyu _raj. ..
raj _are maa ki baat ka jawab diya hai yar maine to.
phir sab hansne lagte hai.

Mr and Mrs malhotra. (Complite),जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें