angry nandani angry manik pareshan sab

2.1K 206 28
                                    

Part 34

#Mr_mrs_malhotra

Aalia dhurav ka raj sabke samne aana ab aage.

Nandani nyu dadi se pochh kar office aati hai sab nandani ko office main dekh kar khush hote hai aur ose wish karte hue jate hai nandani smile pass karte hue Mr malhotra ke cabin main knok karti hai aur.
.
Mr malhotra _ yes come in.
Nandani aalia aur dhurav ke sath office main enter karti hai.aur samne Mr malhotra ke sath manik ko betha dekh oski jaan throt main hi a tak jati hai ki aaj to gayi nandani tu ye to samne hi betha hsi monster kahin ka.
Mr malhotra _ nandani ye dono kyu aaye hai yahan par tumhare sath inse kaho abhi isi waqt mairi najro ke samne se hat jaye mughe inki shakal nahi dekhni hai.
Nandani _ papa plese gussa chhode aur maf karde dono ko plese.
Dhurav _ plese papa galti hogayi humse plese forgive us last time aage kuchh bhi galti kare aap maf mat karna Hume plese hamari pehli galti hai maf karde.
Aalia _ uncel dhurav se jyada main qasor war hon mughe saza de le par dhurav ko maf karde plese.
Mr malhotra _ mafi mangne se tumhari galti kam nahi ho jati hai dhurav aalia dhurav ne mairi parwarish par sawal khade kar diye hsi mairi upbringing itni kamjor kaise hui samgh nahi aaya mughe.
Manik _ papa aap jyada stress na le plese tabiyat kharab ho jayegi aapki dhurav aalia tum jaao yahan se abhi isi waqt.
Nandani _ kyu jaye mafi mangne aaye hai dono aap kyu jane ka bol rahe hai papa bole agar bolna hai to aap nahi samghe aap.
Manik gusse main nandani ko dekhta hai aur.
Manik _ tumhe aaye abhi char din nahi hue ghar par itna jyada papa ke mamle main bolne ki jaror at nahi hai samghi tum woh kitna hurt hue hai tumhe kya pata sab kuchh apne hisab se thik ho jayega aisa souchna thik nahi hai Mrs malhotra aur na harwaqt aapki baat mani jaye ye bhi jarori nahi hota hai na sunna sikhe har waqt han sunne ko milega ye jarori nahi hota hai so just go away plese in ko maf karenge ya nahi papa ka personal matter hai tum isse dor raho samghi tum najar otha kar nandani ko dekhta hai jo shoked si aankho main aanson liye khadi hoti hai aur.
Nandani _sahi kaha aapne Mr malhotra mughe aaya char din hue hai iss ghar main abhi ye maira ghar nahi hai papa aapke hai maire nahi mughe onke mamle msin bolne ka Sach main koi haq nahi hai galti hogayi jo maine sab ko apna samgh kar kuchh sahi karne ki koshish ki papa ki marji maf kare na kare main koun hoti ho bolne wali aur ghar ke liye achha souch ne wale I am sorry papa agar aapko maira yahan dhurav aalia ke sath aana acha nahi laga ho to  sorry again aur sidha gate khol kar bahar aati hai aur bina idhar odhar dekhe nikalti chali jati hai office ke bahar.

Aur idhar .
Mr malhotra _ how disgusting manik hamesha bolta hon tumhe apne gusse par apni jaban par control rakha karo par nahi tumhe samgh kaha aata hai bas moqa Milta hai aur tum start ho jate ho ye nahi dekhte kisko kya bol rahe ho bas bolne se matlab hota hai tumhe tumne kya bola hsi nandani se iska jara bhi ehsas hai tumhe woh bachchi ghar ki izzat ke liye itna souchti hai tumhe najar nahi aaya char din ki bahu itna dimag nahi lagati ghar ki izzat ke liye jitna nandani ne lagaya hai osi ki sister hai navya osko itna involve dekha tumne nahi na par tumhe kya tumhe to bas bolne se matlab hai ab dekho jakar kaha hai woh jaise khud ho wesi hi wife mili hai tumhe dekho jakar kaha gayi hai woh mafi mango Osse jakar ke.
Manik _but papa maira intention ose hurt karne ka bilkul bhi nahi na.
Mr malhotra _ achha jo kaha Osse woh khush hokar gayi hai hsi na shame on you manik ab bhi khade ho yahan par gaye nahi ose dekhne ke liye.
Manik _jaa raha hon dad.
Mr malhotra _ aur dhurav kyu lekar aaye ose apne sath jante nahi the kya ye pagal bhi betha hoga maire pass kitna poseciv hai maire liye.
Dhurav _ sorry dad maine soucha bhai bhabhi ke samne chup ho jayenge par pata nahi tha dono ki fight ho jayegi sorry dad.
Aalia _ plese papa maf karde Hume.
Mr malhotra _ abhi ghar jao dono aata hon main ghar aur jakar call karo batao nandani ghar pahunchi ya nahi.
Dhurav _ Ji dad

Idhar manik gadi lekar nandani ko dekhta hua nikalta hsi aur ghar pahunchte hai aur.
Nyu _manik iss waqt kaise aaye beta.
Manik _ aapki ladli bahu aayi hai kya ghar par.
Nyu _koun nandani.
Manik pov ladli ke name se samgh gayi nandani ke bare main bol raha ho tab hi dimag satve aas man par hai madam ke pov.
Manik _Ji wahi nandani ghar par aayi thi kya.
Nyu _nahi ghar nahi aayi woh to kyu kya hua hai.
Manik _ pareshan hokar ghar nahi aayi woh to phir kaha gayi woh.
Nyu _kya matlab hsi tumhara nandani kaha gayi hai ghar kyu nahi aayi woh.
Manik _ nahi kuchh nahi main abhi aata hon.
Aur nikal jata hai  aur dhurav aalia aakar onhe sari baat bata te hai aur.
Dadi _ iss ladke ka main kya karo samgh nahi aata hai mughe kitni mushkil se to woh tayyar hui thi shadi ke liye aur kitne achhe se adjust karne ki koshish kar rahi hsi bachchi par iska gussa hi samgh se pare hai pata nahi hai kya jaisa khud hai wesi hi bivi mili hai ose ab bend to baja yegi chhode gi to nahi . navya o navya
Navya _ Ji dadi.
Dadi _ ghar phone mila jara pochh nandani waha par to nahi gayi na.
Navya _ nandani to office gayi thi na dadi phir ghar kaise jayegi woh.
Dadi _ tera jija hai na oske sath tu tu main main hogayi hai oski to office se nikal aayi gusse main aaya tha ose sarch karta hua manik dekh ghar to nahi chali gayi woh .
Navya pareshan si ghar call karti hai par nandani ghar bhi nahi jati hai aur.
Navya _ nahi dadi nahi hai ghar par bhi abhi gussa hai woh ghar to bilkul nahi jayegi woh na yahan aayegi gussa thand a ho jayega to apne aap aajayegi woh.
Idhar manik ghar par phone karke pata karta hai aur waha bhi nandani ke na hone ka pata chalta hai to ab ose fikar hone lagti hai oski ki kaha chali gayi woh idhar ghar bhi sab oske ghar waps na aane se pareshan hote hai aur odhar manik ose jagha jagha sarch karta hai par woh kahi najar nahi aati hai aur.
Manik _ damit nandani kaha ho yar kaha talash karo main tumhe aise koi jata hai kya double gussa karleti mugh par kahi jane ki kya jaror at thi rat hone ko aayi hsi tumhara kahi pata nahi hai phir waps ghar aata hai to rat ke 10 baj chuke hote hai aur hall main sab pareshan se bethe najar aate hai nandani ke maa papa bhi.
Mr malhotra _ manik kaha chale gaye the phone kyu band kar rakha hai kab se mila rahe hsi hum.
Manik _ woh betray khatam hogayi hai papa issliye nahi othaya pareshan sa sar pakd kar beth jata hai aur.
Manik _papa nandani nahi mili kahi par bhi har jagha dekh liya maine osko ab police ko report likhwa de.

Kyu kya msin kahi bhag gayi hon jo police main report likh wane jaa rahe hai aap.
Manik chonk kar samne dekhta hai aur samne nandani ko khada dekh kar shoked reh jata hai aur nandani waha se sidha apne room main jakar gate Jor se band karleti hai aur.

Ab kya hoga manik ka 😔😔😔😔 any gues

Mr and Mrs malhotra. (Complite),जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें