Panne jazbaaton ke- 3

464 54 25
                                    

5 years after YUDKBH

Aaj 5 saal ho gaye Ashi ko, Randeep ki vajah se hum sabse judaa hue. Aaj 5 saal ho gaye Ashi Singh ko Anamika bane hue. Aaj woh Amsterdam mein rehkar Naina ki tarah lekhika bani hui hain.
In 5 saalon mein bahut kuch badal gaya. Hum Roz toh baat nahi kar paate par jab baat karte hain toh ghanton tak chalti hain.

Jisse door ek pal na reh paati thi
Jisse gale mile bina ek pal bhi nahi kaat paati thi
Aaj 5 saal ho gaye
Uske sparsh ko mehsoos kiye
Yaad teri har pal sataye
Lautke aaja, mera dil ye pukare

Ashi ke jaane ke baad iss Ayesha ka Jaise vajood hi mit gaya! Roz uski bahut Yaad aati hain.

Kyun Randeep? Kyun toda uska dil? Sameer ne jitna dukh Naina ko diya, usse kai zyaada tumne Ashi ko diya. Kyun samaj nahi paaye uske pyaar ko? Aaj tum bhi uske liye tadap rahe ho. Jaanti hoon, tum bhi usse bahut pyaar karte ho. Mere mana karne par bhi tum baar baar uss tak pahunchne ki koshish karte ho. Jaanti hoon ki sacchi mein tumhe pachtava hain.
Tumhe maine maaf bhi kardiya tha kabka kyunki Ashi ko khushi sirf tum de sakte ho.
Aaj paanch saalon ke baad bhi, tumse door hokar bhi, tumhari rejection ke baad bhi, woh aaj bhi sirf tumse pyaar karti hain. Maine use nahi bataya ki tum pachta rahe ho, kyunki mujhe use koi bhi jhooti ummeed nahi deni thi. Woh doosri baar heartbreak bardaasht nahi kar payegi.

Main bhi chahti ho ki tum Ashi tak pahuncho par khud se. Agar tumhaara pyaar saccha hain, toh apne pyaar tak, bina meri madat ke, tum pahunch hi jaoge!

Aakhri din tha
Yudkbh ki poori cast ke saath hone ka
Raftaar se chalti iss duniya ka kya bharosa
Phir milna hota ya na hota

Bichadne ka gum tha
Par pyaar ki honewali  jeet marham tha
Par kabhi yeh socha na tha
Usko pyaar ki marham ke badle dil pe chot khaani padegi

Woh royi bahut
Phir ek phaisla kiya
Door jayegi sabse woh
Ab yahan rehna, uske liye, namumkin tha

Bahut samjhane ki koshish ki
Par woh apne phaisle pe adi rahi
Mujhe aakhir mein haar maanni padi
Aur dil pe patthar rakhkar, maine use jaane diya

Ashi ne jaane se pehle apna number badal diya tha aur apne purana phone mere paas chod gayi. Uske jaane ke baad, jab maine uske phone pe Randeep ke 30 missed calls aur bahut saare messages dekhe, mera paara chad gaya. Maine ek lambi saas li aur call back ki.

Usne jhat se phone utali aur main kuch bol paati, isse pehle hi sawal pe sawal poochta gaya. Jab use kuch jawab nahi mila, ekdum se woh shaant ho gaya aur dheeme se Ashi ka naam liya.

Maine use apni pehchaan batayi aur apna saara gussa uspe nikala! Aakhir aisa kyun kiya Randeep, maine poocha. Main lagatar uspe gussa karti gayi aur woh chup chaap sunta raha. Main tabhi samaj gayi ki use pachtava hain, par Ashi ko jitna dard hua, Randeep ko iss baat ka ehsaas dilana zaroori tha aur isiliye maine use kabhi yeh nahi bataya ki maine use maaf kar diya hain.

Bas har din yahi dua karti hoon ki Ashi aur Randeep, jo ek doosre ke liye hi bane hain, woh mil jaaye.

Lots of love
Pratyu

Twin Flames ( Collection)✓Where stories live. Discover now