CHAPTER : 4

3.1K 315 21
                                    

CHANDIGARH

Shehnaaz's grandparents decided to have a talk with her about getting married.It was after having dinner, Shehnaaz enters their room with two glasses of milk and their medicines.She makes them eat their medicines and sits on their bed as they already asked her to come to their room as they wanted to have a talk with her.
Sana : Dadaji Dadiji aap kuch baat karne waale they mujhse.
Dadiji : Haanji puttarji idher aa mere paas. She makes Sana sit beside her and holds her hand.
Dadaji : Puttarji tujhe toh pata hi hai ki ab hamari umr ho chuki hai aur main toh hamesha hi beemar rehta hoon. Humein teri badi fikr hai agar kal ko humey kuch ho gaya toh tu toh akeli hi reh jayegi.
Sana : Aap aisa kyun keh rahe hain dadaji.Aap donon ko kuch nahin hoga aap hamesha mere saath rahengey.
Dadiji : Humein pata hai beta ki tu humse bahut pyar karti hai aur humein chodkar kahin nahin jaana chahti lekin puttarji iss jeevan(life) ka bhi toh koi bharosa nahin hai na aur isliye hum chahte hain ki hum teri shaadi kar dein taaki hamare jaane ke baad bhi tera apna ek parivaar ho jo tujhe bahut pyaar kare.
Sana : Par dadaji Shaadi? Woh bhi itni jaldi.Abhi toh maine sirf barahvi (12th) hi paas ki hai.Main toh bachchon ko tutions dekar kam se kam graduation karna chahti thi kyunki hum wohi afford kar sakte hain warna aapko bhi pata hai ki main toh doctor banna chahti thi lekin uski fees toh hum afford nahin kar sakte na.
Dadaji : Puttarji agar rabji ne chaha toh tera yeh doctor banne ka sapna bhi poora ho jayega agar tere sasural waale tujhe padhane ko tayyar huye toh aur mujhe toh lagta hai ki woh hongey kyunki jab woh teri padhaai ke prati lagan dekhengey toh teri padhaai zaroor karwayengey.
Sana : kya aisa sach mein ho sakta hai dadaji?
Dadaji : Haan bilkul kyunki jis ghar mein hum tera rishta karne ki soch rahe hain woh log bahut hi achche hain aur ladkiyon ki padhaai ke prati behad hi jaagruk.Kai ladkiyon ko apne NGOs ke zariye padhne ke liye tayyar karte hain woh log.Aur inka bada beta toh khud ek hospital ka maalik hai.
Sana : Theek hai Dadaji phir main unlogon se milne ke liye tayyar hoon.
Dadaji : puttarji tujhe uss ladke ke baare mein nahin janna?
Sana : Nahin dadaji mujhe pata hai aapne mere liye kuch achcha hi socha hoga aur jissey bhi mere liye chuna hoga woh mere liye best hi hoga.
Dadaji : Jeeti reh puttar humein khushi hai ki tu humpe itna bharosa karti hai aur yakeen maan mujhe toh lagta hai yehi woh ladka hai jo teri kismat mein likha hai.
Dadiji : Puttarji agle hafte ladka aur uski maa tujhse milne aa rahe hain.Apne man ko ussey milne ke liye tayyar kar le.Jo bhi kuch ussey puchna chahe puch lena akhri faisla tera hi hoga.Agar tujhe woh pasand na aaye toh hum rishte ki baat aagey nahin badhayengey.
Sana : Ji Dadiji.Ab main jahan.
Dadiji : Haan puttar ja so ja ab.
And Sana starts leaving the room but Dadi calls her.
Dadiji : Arrey puttarji ek baat batana toh main bhool hi gayi.Ladke ka photo tere kamre mein teri padhai ki table par rakha hai.Ek baar dekh zaroor lena.
Sana : Ji Dadiji.
Dadiji : Aur Haan ladke ka naam hai Sidharth.
And Sana leaves the room closing the door; saying
Sana : "Sidharth",with a blushing smile on her face and heads towards her room to have a glimpse of her would be husband.

Author's Note :
Hey peeps,
What's this yaar itne saare log meri story padh rahe hain lekin likes and comments itne kam.Is wajah se mera bhi likhne ka mood nahin hota. I know ye thoda boring chapter hai but sidnaaz ke bina toh biggboss bhi boring hai na agle chapters bahut zyada cute & interesting hone waale hain.Please follow kar lo yaar.
Love,
SWATI

Arranged Marriage : A Path to our dreamsWhere stories live. Discover now