3.

1.5K 150 14
                                    

Same day,
After composing herself a lot she reached her office and then immediately got the file of anubhav's case..

HM: hum pata laga ke rahenge ki anu ke saath kua hua hai aisa.. I don't think ki woh criminal hai.. My instincts never lie.. (She seriously went through that file when she read a name) Karishma singh.. Yeh naam kahin toh suna hai... (Tried to remember) shayad yeh naam yahan ke thaano ke staff mai hai... Karishma singh anu ki behen hai..(she immediately took out that staff file) mahila police thana...

She quickly takes the keys and called a constable..

C: ji ma'am..

HM: hum sab thaano pe round pe jaana hai... Arrange kijiye abhi.. (Ordered)

She retired from office to MPT immediately.. As she reached there she found a chaotic situation and got a little smile on her face but in order to maintain decorum she said loudly...

HM: jai hind....

All: aap kon.. (Looked at each other and gave a nervous look)

HM: lucknow ki nayi SP Haseena malik.. (Proudly)

PS: aaa.. Jai hind maddam... (Loudly)

HM: woh sab baad mai... Yahan ke SHO aur SI kahan hai aur yeh kya maahol tha yahan pe.. (Seriously)

SS: maddam woh pushpaji na karishma maddam ke baare mai bol rahi thi.. Ki kal unhone jaan boojh ke daal jalaai taaki rehan sir unhe dinner pe le jaayen.. (Innocently)

CC: uff yeh maasoomiyat.. (In his style)

PS: santuuu... Chup.. (Reprimanded)

HM: (smiled a little but turned serious) apne seniors ko bulaiye...

PS: ji ma'am..

They called karishma and rehan... They came and saluted her..

KS and RS: jai hind ma'am..

HM: jai hind... Aap logon se request hai apne thane ka thoda dhyaan rakha kariye.. Kitna indiscipline tha yahan.. (Professionally)

RS: ji ma'am..

HM: karishma singh.. Chaliye hamare saath kuch kaam hai.. Aapko raaste mai batate hai...

KS: (nervous) maa... Mam hum.. Ai.. Aise ka hua..

HM: (smiled)kuch badi baat nahi hai..Hume lucknow ki bhaukaal queen se dosti karni hai.. Banengi hamari dost.. (Low tone) shayab nanad bhi.. (Blushed but corrected herself)

KS: ji.. Hum.. Aapke dost..? (Shocked)

HM: kyun.. Hum dosti ke laayak nahi hai.. (Smiled teasingly)

KS: nahi Matlab uu.. Aap aise.. (Smiled nervously)

HM: chaliye..

Kareena left from there and reached a park.. Haseena got out leaving her cap and asked her to leave hers also.. They went and sat on a bench..

KS: bataiye na mam kya baat hai.. (Little scared)

HM: dekhiye hum ek dost ki haisiyat se pochhna chahte hai.. Aur shayad aapko bura bhi lage hamara poochhna.. par phir bhi..

KS: aisi ka baat hai.. Matlab aisa ka poochhna hai aapko.. (Nervous)

HM: (sighed) anu aapka bhai hai na...

KS: (stood up in shock) kaaa... Aa.. Anu.. Aap lagti kon hai unki aur aise aap..

HM: (stood up also) dekhiye.. Hum unse jail mai mile jab round pe gaya toh.. Hume unka naam Anu hi pata tha.. Aaj hi pura naam pata chala ki woh anubhav hai... (Sternly)

KS: par aap humse ka poochhne waali hai unke baare mai.. (Confused)

HM: (sighed) dekhiye yeh baat humne pehli baar kisise ki hai.. Aur bahut personal matter hai aapka bhi aur hamara bhi.. Lekin hum yeh sab isiliye jaan na chahte hai kyunki... (Took a long deep breath) Hume Anu se pyaar ho gaya hai... Love at first sight.. (Nervously)

KS: (again shocked) ka... Nahi Matlab usse us criminal se pyaar.. (Disgustingly) woh kisi ke laayak nahi hai.. Ek no. Ke ghatiya insaan hai.. Apne sage chacha ko maar diya us insaan ne.. (Fuming in anger)

HM: (angry) aap jhooth bol rahi hai... Ya jo kuch bhi aapko yaad hai woh sab galat hai.. Anu aise nahi hai.. Humne unki aankhon Mai sacchai dekhi hai.. Ek ajeeb sa gussa dekha hai.. Hum bas yeh poochhna chahte the ki kahin hamare anu ke saath kuch galat toh nahi hua.. Lekin aapne bhi ek police officer hoke sahi se chhaan been nahi ki.. Hum karenge unhe begunaah proof.. Chahe aath saal purana case open karna pade..

She said angrily and left from there... Here, karishma was standing at the same place fearing he would hurt this girl also..

KS: hum nahi jaante kahe par haseena maddam se hume ajeeb sa judaaw mehsus hua hai... Aur agar us insaan ne unhe bhi chot pahunchaya toh..

Here, haseena drove in a fast speed to lucknow jail... She was only thinking how to justify her love and intutions... She reached there and immediately went to his cell... A constable came there and asked..

C: SP maddam aa yahan.. Kuch kam tha kya.. (Professionally)

HM: is cell ke kaidi anubhav ko bulaiye.. Aur jab tak hum na chahen is gallery mai koi nahi aayega.. Na kisi cell mai kaidi aur na checking ke liye koi officer... Is that clear.. (Ordered stiffly)

C: ji maddam..

He went and called anubhav there... As anubhav came there he was shocked to see haseena..

AS: policewaali tum.. (Rudely) yahan kya kar rahi ho.. (Angrily)

HM: hamari marzi... (Said sternly but gets calm)

AS: toh hume kyun bulaya hai..? (Same rude tone)

HM: anuu.. (Softly)

AS: tumne anu bulaya..? (Surprised)

HM: hum tumhara case reopen karna chahte hai.. I think tum criminal nahi ho.. Sacchai hai tumhari aankhon mai.. (Looking in his eyes deeply)

AS: kyuu.. (Calmly but rigid voice) kyun lagta hai tumhe ki hum criminal nahi hai.. Aur yeh case reopen karke tumhe kya milega.. (Confused)

HM: sukoon.. (Walking near her removing her cap) hum tumse pyaar karte hai.. I love you.. (Held his hands) tum nahi karte humse pyaar.. Lekin tab bhi tumhe begunah saabit karke hamare dil ko sukoon milega ki hamara pyaar galat nahi hi sakta.. (Sweetly) aur tumhari gehri aankhon ki saccha dekhke hi tumse pyaar hua hai hume.. Jo dard tum sooraj ko ghoorke apni in aankhon ko dete ho usse hazaar guna dard hume hua tha.. (Cupped his cheek lightly) Kal jab pyaar nahi tha tab bhi aur aaj jab pyaar hai tab bhi... Tum chahe toh humse kabhi mat milna par ek baar sacchai bata do ki kiska ilzaam apne sar liya hai tumne.. (Pleadingly)Hum waada karte hai use saza nahi hogi bas tumhare sar se yeh kalank hat jaayega.. (A tear escaped her eyez)

AS: (removed her hands and moved away) par tum yeh.. Matlab konsa.. pyar aur humse.. Case.. Sach.. Yeh sab kyun. (Confused)

HM: please batao ki sach kya hai.. (Getting close again and said restlessly) hamare bhai lucknow ke sabse bade lawyer hai woh case ladenge, hum khud investigate karenge ek baar bharosa karke dekho... Har koi itna bura nahi hota... (Hopefully)

AS: (gets some hopes) hum tumhe batane ko taiyar hai... Par hamara bharosa tuta to is baar sachme hum murderer ban jaayenge.. (Warned)

HM: hum waada karte hai.. Chalo.. (Dragged holding his hands and they sat on seats).

AS: _____________________

UPCOMING
Past revealing
Stay tuned.....

On some requests I am trying to upload this story twice or thrice a week... Enjoy the part and wait for next most important chapter as it had past story and new entries..
Bye... 👋👋

MURDER'S LOVE.. 👿🔪Where stories live. Discover now