4.

1.5K 159 15
                                    

Continuation from last part,
Anuseena sat on slab and anubhav was looking how can someone love me.. He asked amusingly..

AS: policewaali.. (Doubtfully)

HM: haan... (Looked up smiling)

AS: tumhe sach me mujhse pyaar hai.. ? (Amazed)

HM: haan.. (Stubbornly) Hum na bilkul un ladkiyon ki tarah nahi hai ki apni baat bolne mai sharmae.. (Cnfidently)Hum bachpan se apne ammi abbu ki eklauti laadli hai.. (Smiled) isiliye unhone bas dil ki baat bolna sikhaya hai... Aur hum bina kisi hichak ke bol dete hai ji hamare man mai hai... (Frankly)

AS: hmm.. Dikhta hai woh toh.. (Blankly)

HM: tumhe pata hai.. Hamara ek interview tha college mai part-time job karni thi hume.. Toh wahan na sab log hume dekh rahe the.. Hum itne bhole the ki humne unse seedha pooch liya.. (Innocently) kya hum bahut zyada sunder lag rahe hai.. (Chuckled) sab log hume dekhne lage aur yeh sunke ladkiyan hasne lagi.. Woh boss ne bhi yeh sun kiya tha na.. Aur hume job pe rakh liya sense if humour dekh ke.. (Started laughing)

AS: (chuckled after a long time) tum pagal ho policewaali.. (Still smiling)

HM: (kissed his cheek and he stopped actio) sorry.. (Looked down for a second) tum na haste hue bahut achhe lagte ho.. Hansa karo please.. Agar tum galat bhi ho na.. Waise toh yeh possible nahi hai.. Par agar aisa hai bhi to bahar tumhari maa sabse zyada intezaar kar rahi hongi.. (Smiled)

AS: (got up and walked to bars) hamari maa nahi hai.. Hamare baap ne apni kartuton se unhe maar diya.. (Hatefully)

HM: (shocked and calmly tapped him) anuu.. I am so sorry.. (Teary eyes)

AS: (laughed mockingly) tum kyun sorry bol rahi ho.. Galati hamare baap ki hai.. (Gritted teeth)

HM: kya hua tha anu.. (Softly)

AS: hum kabhi akele na rahe aur unki business image pe koi farak na pade isiliye unhone humare liye ek aaya rakhdi.. Hum na unse bahut zyada pyaar karte the.. Bahut zyada dhyaan rakhti thi hamara.. (Smiled remincising those moments)

HM: wow.. Toh woh kar rahi hongi na intezaar.. (Hopefully)

AS: nahi.. Jab hum atthara saale ke the..

FLASHBACK
An eighteen years old anubhav returns home very happy as he won a competition.. As he entered her nanny's room he found his uncle trying to molest his nanny..

AS: chaachu.. What are you doing..? (Shouted)

N: Tu ja anu yahan se.. Yeh insaan tujhe bhi.. (And he opened her pallu) please chhod do mujhe..

Chacha: anu bahar jaa na.. (Smirking) bahut kuch karna hai abhi.. (Laughing evilly)

N: aahh.. (She took a vase and hit him hard)

She corrected herself but as anu checked he was dead... He looked at her and she was horrified... He took the vase and his dad entered.. He though he killed him..

RS: anu... Apne chacha ko maar diya..

He shouted many things and finally police came and arrested anu... He was very sure that his dad being a biggest businessman with save him... But, he didn't saved him and he was jailed..
FLASHBACK ENDS

AS: (tears flowing) market mai apni image up rakhne ke liye unhone ek lawyer ko bhi hier nahi kiya... Public prosecutor ne hume galat prove kar diya... Hume laga ki papa mai itni se insaaniyat to hogi par sach jaanne ke bawajood bhi hume jail hone di... Kuch mahine mai pata chala ki nanny bhi chal basi...

He was very much broken and was about to fall but haseena held him... He hugged her tightly and cried like a baby.. She was not able to bear such condition of her love... She made him sit on her chair constable arranged and herself kneeled in front of him...

HM: (controlling her tears) anuu.. I am sorry.. Hum is department se hai aur is department ne itni badi nainsaafi ki... Hum waada karte hai ki aapko begunaah saabit karenge.. Hume aapse kiye pyaar ki kasam...

She hugged him again trying to make her calm.. But, he was still crying hastily... She finally cupped his face and placed her lips on his.. He was still not understanding what   is happening.... He just held her but not respond... She still kissed him one Sidedly and he was now calm.... She breathlessly kissed his forehead and said lovingly..

HM: humpe bharosa karna tumhari marzi.. Chaho to karo ya na karo.. But, I promise agle hafte tak Tumhe yeh case reopen hone ki news milegi... Bas hume aapki poori family ki information chahiye... Trust me once... (Hopefully looking in his eyes)

AS: hmm.. (He nodded and she smiled)

HM: aur haan... Kal se hum tumse roz milne aayenge, kabhi visitor banke toh kabhi officially... Tum bas bina kisi sawaal ke batana shuru kar dena ki tumhari family mai kon hai aur kya karta hai... Hum hamare bhai se baat karte hai... Woh na lucknow ke best lawyer hai hum case zaroor jeetenge... (Again gets on her knees) I love you Mr. Anubhav singh... Hum aapko kabhi dukhi nahi hone denge.. Aur Kal se aap us sooraj ki jagah kuch waqt chaand ko dekhiye.. Aapko achha lagega..

AS: tum itni bada kadam utha rahi ho.. Dar nahi lag raha.. Agar hum galat process hue toh tumhari wardi chali jaayegi.. (Trying to find something in her eyes)

HM: humne wardi desh ki seva ke liye pehni hai... Agar rk begunaah ki begunaahi saabit karne mai yeh chali gayi toh koi baat nahi.. Hum aur kisi tarah se desh ki seva mat leneg.. Matlab toh deshbhakti se hai na.. (Self proud moment)

AS: ab tumhe jaana chahiye policewaali.. Kisi aur ne tumhe hamare kareeb dekh liya to galata hoga.. (Again rude)

HM: hmm... Waise tumne us din konsa competition jeeta tha.. (Try to lighten mood)

AS: jaisa ki hamare dad ke liye unki image kab kuch hai.. Unhone usi ke liye hume jabardasti MBA ke liye force kiya.. Hum toh painter banna chahte the... Usi mai prize jeeta tha.. (Looked down smiling)

HM: (thought for sometime) hamari painting banaoge... (Raised eyebrows cutely)

AS: kyaa.. (Suprised) matlab bana denge lekin yahan lockup Mai kaise... (Confused)

HM: jab pen, pencil nahi the na tab bhi log paining karte the.. Raat bhar socho kaise banaoge hamari painting.. Hum kal special model ki tarah taiyar hoke aayenge.. (Dramatically caressed her face)

He laughed on her cute antics and she got her everything... He was now smiling..

HM: toh abhi almost shaam ho gayi hai.. Hum chalte hai kal milenge.. Bas ab khud ko dard dene ki jagah sochna ki bahar nikal ke sabse pehle kya karoge..

She gave a assuring smile and left from there... He was finally at a little peace..

UPCOMING
Their POVs
Stay tuned....
Bye... 👋👋

MURDER'S LOVE.. 👿🔪Where stories live. Discover now