PART 1

1.4K 59 34
                                    

Ambala sheher me stit prestigious Kanchenjunga Military Academy ke baare me hai ye kahani .

KMA "Shakti Aur Samman" ke liye jaana jaata hai.

KMA ka naya saal shuru ho raha tha aur naye cadets anewale tha.

Ye naya subah ek naya daur laa raha tha.

Dusri taraf hamari faculty mess me apna naashta enjoy kar rahe the.

Abhi: Nandini aaj to khane dijiye na, aap janti hai na name kitni pasand hai Ghevar, please!

Nandini: No Abhi , tumhe isse jyada khane se reactions hote hai and already tum apna aj ka kota khatam kar chuke ho .

Naveen: Isliye kehta tha Abhi mat kar shaadi, fas Jayega! Dekha ab tu apna man ka kuch nahi kar sakta

Abhi: Naveen ab to hame bhi lagta hai ki hame apki baat man leni chahiye tha. Kehte hai na akal experience se hi aati hai, vahi hua hai hamare Saath.

Nav: Hahaha right Abhi! Me to itni jaldi bilkul ye galti nahi karnewala

Nan: Naveen tum bhool rahe ho ki mai bhi yahi khadi hu and sabse important baat ye hai ki tumhari honewali biwi bhi tumhare saari baate sun rahi hai. Aur tumhari halat Abhi se bhi buri karegi vo.

Naveen then noticed Shalini standing there and he feared hard

Nav: Nandu tum to sabki bandhu ho na , tum aise kaise kar sakti ho mere saath, me toh hamesha tumhare saath hu, me to tumhara long lost boyfriend hu na, Shalu samjhao na, saari galti is Abhi ki hai

Abhi: Naveen ye kya keh rahe hai aap ?

Nav: Chup kar, tera to nayya doob chuki hai, mera bhi dubane pe tule huye ho. Nandu please tum..

Shalini: Nandu ko maska lagane ki jarurat nahi hai captain Ahluwalia. Ab to tumhari khair nahi.

( Shalini & Nandini leaves )

Nav: Hogaya syappa !!

Abhi: Sab apki vajah se

Nav: Dekh Abhi mana me ne shuru kiya tha lekin tune bhi to mera saath diya tha. So galti dono ki barabar huyi. Ab to hame ek hi Insaan bacha sakta hai.

Abhi: Raj! Lekin hai kaha vo?

Nav: Hoga apni dream girl ki khayalome! Chal! Laate hai use uski sapno ki duniya se bahar

( Abhi & Naveen moves towards Raj's room )

VISHWAS KI DORI SE BANDHE DO AJNABI DILWhere stories live. Discover now