PART 24

837 55 52
                                    




Raj: kon tha vo shaks Nia.....?

Naina: with a great amount of proud in her voice & a drop of tear in her eyes, she said

"Major Rudra Pratap Ranawat"

Vo mujhe BDA me mile the....

Mere mentor, mere inspiration, mere support system, everything the vo............!!!!!!!!!!

Vo sirf mere liye nahi balki sabke liye aisa hi karte the....

He was the perfect gentleman anybody could ever see on the earth....

Veer tumhe pata hai vo na hum sab cadets ke saath bilkul ek dost ki tarah rehte the...!!

Aisa lagta hi nahi tha ki vo hamare teacher hai...

Hame toh lagta tha ki vo hamare dost hai Jinse hum kabhi bhi kuch bhi bol sakte hai  bina kisi jijhak ke, bina kuch soche samjhe....

Rudra sir hamare liye matlab mere aur Alekh ke liye toh academy me sabse bad kar the...

Matlab kisi farishte ki tarah....

Tum jaante ho Veer vo na kabhi  hame mentor ki tarah daante toh kabhi dost ki tarah saath milkar shararat karte....

Kabhi bade bhai ki tarah hamari  care karte toh kabhi Maa-Baap ki tarah hame sabse protect karte....

Hamari galtiyonse, hamari shaitaniyon se sab logon se hame bachate the par khud toh bohut daante the.....

Hamari galtiyon se seekh de kar hame sudhar te the.....

Pata hai jab tumne hamari pehli class li thi na Veer, mujhe toh bilkul aisa hi laga ki jaise hamare Rudra sir hamare class le rahe hai....

Vo bilkul tumhari hi tarah bohut friendly way me class lete the....

Veer hum na unke saath bohut khush the.....

Par ek din achanak Badal gaya aur ek hi jhatke me.....

Aur humne hamare Rudra Sir ko kho diya hamesha ke liye......

By this time Naina was crying hysterically holding Raj......

Raj was supporting her, soothing her pain......

Raj: phir kya hua Nia.....??

She was still crying....

Boldly Nia ....

Aaj saari man ki baate boldo.....

Tumhara man halki ho jayega......

Nia: Veer sir na ekdum perfect the par unse na ek galti ho gayi aur vo hai pyaar......

Unke pyaar ne unki zindagi ko barbaad kar diya.....

Us pyaar ne unhe desh ke shaheed ke jagah gaddar bana diya.....

Isliye pyaar kabhi nahi karni chahiye Veer....

Kyunki pyaar insaan ko kamzor bana deta hai.....

She couldn't continue further & she choked

Raj: phir....

Naina: Veer us din Republic Day tha & hum sab cadets bade hi dhoom-dhaam se Republic Day mana rahe the.....

Par suddenly kuch military officers aye aur Rudra sir ko hamare hi saamne kheech ke leke gaye the.....

Vo drishya aaj bhi mere aankho me aisa hi hai....

Hum vahi khade the, sir ko le jaate huye dekh rahe the....

Lekin kuch nahi kar paaye bus helpless hokar chupchaap apne saamne nyay ko kuchalta hua aur anyay ko jeet ta hua dekh rahe the....

VISHWAS KI DORI SE BANDHE DO AJNABI DILTempat cerita menjadi hidup. Temukan sekarang