Woh Raat

523 26 79
                                    

Thank you guys for all the love you have showered on the introduction and I will try my best to keep the story absolutely realistic 🥰. Do give inline comments please.

And here we go with the first part.

Amrit's heart broke into millions of pieces as she saw that her parents were attacked by Farooq's men.

A - (cryingly) Mummy ji! Bauji!

Amrit shouted cryingly and was about to run to them but stopped as Farooq held her and dragged her from there. She cried, cried out of pain seeing her ma bauji in that situation.
Her vision got blurry as a layer of tears formed in her eyes 🥺.
But before disappearing completely into the crowd, she saw her parents falling on the ground lifeless.
She wanted to run and and held them in her arms, hold their hands and promise them that she won't let anything happen to them, but Farooq's grip was way too tight.
She always sat with her bauji and read Ramcharitmanas everyday, but not a single day went by when she didn't pray to God for her parent's welfare. Every single day she would pray to Ram ji to give a long life to her parents and let her be with them whenever they are in any problem or are hurt. But seems like god didn't answer her prayers 😞.

************************************
Amrit : (screaming) Chodo mujhe! Maine kaha mujhe chodo!Mujhe mere ma bauji ke paas jaana hai. Inhe bohkt chot aayi hai Farooq, jaane de mujhe.

Farooq got her into a dark room.
He dragged her forcefully while she was just protesting and crying in her defence. He forcefully made her sit on the chair and tied her hand and legs
with ropes.

A : (screaming and crying) Farooq chod mujhe. Maine teri jaan le leni hai. Randheer tujhe chodenge nahi. Chod mujhe.

She was continuously hitting her hand and legs badly to free herself.
Farooq started laughing madly hearing her.

F : (mocking her) ohhhh....main tohh darr gaya. Main...main haath jodta hun, please mujhe kuch mat karna please.
Saying this with fake fear, he again started laughing madly. He went near and hoped her cheeks angrily, hurting her.

F - (angrily) mujhe maaregi tu?! Han?! Tere jaisi ladki ni dekhi Maine. Rassi jal gayi par bal nahi gaya. Haath pair bandhe hue yaha pe baithi hai, khud ke liye toh kuch kar nahi pa rahi. Aayi badi mujhe marne wali. Tu mera kuch nahi bigad sakti! (emphasizing the words) Kuch Nahi! Aur woh tera ashique, Randheer, woh bhi kuch nahi kar sakta. Woh akela hai aur mera saath mere saare aadmi hai. Woh akela kar kya lega han?! Kya bolta hai woh! Kasam apne pyaar ki na? Toh aaj main bhi kasam khata hun, ki woh Hindustan jayega zaroor, aur par toote hue haath paao ke saath. Use maar dala na toh kuch farq nahi padega, main use tadpana chahta hun! Itna tadpana chahta hun ki woh maut ki bheekh maange. Aur ek baar yeh sab khatam ho jaye na, fir toh tujhse nikah karunga! Aur zindagi bhar tujh tadpaunga. Ek thappad ki keemat tu zindagi bhar chukana. Aayi badi mujhe maarne wali!
Farooq shook her face angrily and tied a cloth on her mouth so that she can't scream for help.
He left from there and locked the door from outside while she sat there cryingly. Tears were continously rolling down her cheeks. She wanted to scream loudly but she was helpless 😩.

Amrit's POV
Randheer! Kaha hai aap 😭😭😭mujhe aapke aur ma bauji ke liye bohot darr lag raha hai. Chahe mujhe kuch ho jaye, mujhe farq nahi padta, lekin agar aap teeno mein se kisi ki ko kuch ho gaya, toh main jeete jee mar jaungi 😭. Mere liye aap teeno hi meri duniya ho, mera rab ho. Agar ma bauji meri zameen hai toh Randheer mere aasman hai. Main inme se kisi ko nahi kho sakti. Kyun? Kyun kiya aapne aisa? Bataiye! Kya kami reh gayi thi meri shraddha mein? Har roz subah uth ke aapka naam leti thi. Har roz porter dil, dimag aur shraddha se Ramcharitmanas padhti thi. Har shubh kaam aapka leke shuru karti thi. Kabhi bhi darr lagta toh hanuman chalisa padhne lagti thi. Kyunki mujhe bharosa tha aap pe, bharosa tha ki chahe kuch bhi ho jaye, aap kabhi kuch galat nahi hone denge. Aur sirf main hi nahi, mere ma bauji aur mere Randheer bhi aapko kitna poojte the, hardam aapka naam lete the, aur aapne kya kiya? Unhe aise jeene marne ki stithi mein la ke khada kar diya? 🥺 Mere Randheer di saun, agar aaj un mein se kisi ko kuch bhi ho gaya na, toh is Amrit Sahani ne aapse kabhi gal ni karni. Kabhi aapko ni poojna. Kabhi Ramcharitmanas ni padhni. He upar wale, bohot bharosa hai mujhe aap pe, lekin aapki saun, mera bharosa hi uth jana hai aapse agar mere jigar ke tukdo ko kuch bhi ho gaya toh 😭.
Amrit's POV ends.

JEETE HAI CHAL ☺Where stories live. Discover now