The Vashmay Truth 🤞

307 20 191
                                    

Hey guys! I am back with the next part, but before that I would like to tell you guys something!

We ff writers spend a lot of time in writing these ff's and trust me it takes a lot of hardwork and it really hurt and demotivates us when we don't get reviews from you guys! After posting a part, we really open the app with a spark and a hope that we will get reviews, but it breaks our heart when there are really less reviews or even none! So please it's a request, we write for you guys, so please don't leave without giving reviews and comments! It really motivates us!

So now I will start with today's part!

Vashma was sitting in the room and praying to her allah for her loved ones welfare and safe return and even Uday was still standing there itself, not moving a bit. He was continuously looking at Vashma and tears used to form in his eyes time to time. He had mixed emotions for Vashma at that time!

Uday's POV
Tu kya hai Vashma? Kya chal raha hai tere dil aur dimag mein?! Bachpan se tujhe sirf ek dost ki tarah Dekha tha Maine tujhe. Teri saun, kabhi maltab kabhi apni zindagi mein nahi socha tha ki tujhse mujhe is qadar pyar ho jayega ki tere door Jane se main khud ko hi kho dunga. Main tujhe sirf ek dost manta tha, yeh baat tu bhi bohot acche se janti thi, par fir bhi tune majboor kar diya mujhe. Majboor kar diya ki main tujhe dil aur jaan se pyaar karun. Mere sapno ko samja tune, jab laga ki bas ab nahi hoga, tab tune honsla diya mujhe aur  bharosa dilaya ki main mehnat karu aur apne sapno ke liye ladun toh sab haasil kar sakta hun 🥺. Teri wahi dosti, mere liye teri woh fikr, mere liye, mere sapne ke liye itna ladna, yeh sab cheezo ne majboor kar diya mujhe tujhe pyaar karne ke liye. Pata nahi chala par tujhe dil aur jaan se pyaar karne laga main. Yeh nahi janta tha ki kitna pyar karta hun tujhse, par itna zaroor janta tha ki agar ab tujhse door hua na, toh bas, jee nahi paunga 🥺😭. Tere saath apna bhavishya dekhta tha main. Lekin, jab tune mujhse kaha na ki tu ab mere saath aur nahi rehna chahti, tab aisa laga jaise kisi ne mere dil ke itne tukde kar diye hi jo fir kabhi nahi jud sakte 🥺🥺. Aisa laga jaise mujhse mera sab kuch chin gaya ho 🙂. Jeene ki iccha khatam hi rhi hai. Lekin pata hai jab tune kaha na ki tere ghum mein Maine hockey khelna chod diya, tab laga, bass! Bohot hua! Tere liye apni zindagi barbaad nahi kar sakta hai! Tere liye apne sapno ki Bali nahi chada sakta aur woh bhi kiske liye? Jisne mujhe chodne se pehle do baar nahi socha 🤧. Lekin ek cheez mujhe ab ja ke samaj aa rahi hai! Ki waha camp mein maine jitni mehnat ki, usme mere sapno ko poora ka jazba toh tha, par tujhe meri kamyabi dikhana bhi utna hi zaroori tha. Mujhse door ja chuki thi tu, mera dil tod ke, fir bhi mujhe itna hi affect karti thi tu. Chahe main kitna bhi keh lun ki mujhe Vashma se koi lena dena nahi hai, main nafrat karta hun usse, par mera dil janta hai, ki sach yahi rahega ki chah ke bhi, yeh Uday Kishore Sahani apni Vashma Baig se kabhi nafrat nahi payega. Bas bolne ki baat hai woh! Lekin man mein itna than zaroor liye tha ki tujhe ab kabhi bhi, kisi bhi tarah se mujhe affect nahi karne dunga. Lekin tune for aisa kuch kar diya ki main tera haath pakad ke apne saath lane ke liye majboor ho gaya. Oye, nafrat karti thi na tu mujhse? Fir kyun? Kyun apne hi bhai se lad gayi mere liye? Kyun meri jaan bachane ke apne bhai ke saamne talwar taan ke khadi ho gayi? Ab kya farq padta hai tujhe ki main jeeyu ya marun? Aur ab bhi mere gharwalo ki salamati ke liye, ghanto se yaha baithi hai. Kyun Vashma? Kya chahti hai tu? Kyun kar rahi hai yeh sab? Chod se mujhe Vashma ab, itna mat tadpa mujhe, baar baar wahi harkatein mat kar jo mujhe teri taraf aane ke liye majboor kar de. Aur dhokha nahi seh paunga main 😭.
Uday's POV ends.

JEETE HAI CHAL ☺Where stories live. Discover now