The Final Rescue

290 16 73
                                    

Sorry guys for the delay but I had my exams and my schedule was really busy due to which I was not able to write the best part!

But finally I am post my next part and I hope you guys will like it! So read it and please make sure to give inline comments 💕

Your comment really boost us, so please please please don't leave without giving comments 🥺 everyone's comments are my motivation 💕

Starting with today's part!

Randheer tied a cloth on her wound to stop the bleeding while she was looking at him lovingly all the while.

R - (looking at her) Chaliye Amrit! Yaha se door!

A - (with a dilemma) Randheer! Ma bauji....................

R - (understood her turmoil and cupped her cheeks lovingly) Aap chinta mat kijiye Amrit. Woh dono theek hai. Baig chacha unka ilaj kar rahe hai. Aur woh dono hi nahi, ghar ke baaki sab log bhi surkashit jagah par pahuch Gaye hai. Aur besabri se apni laadli ka intezaar kar rahe hai.

A - (sighed a relief) Main bata nahi sakti Randheer. Aapki yeh baat sun ke mujhe chain ki saans aayi hai. (teary eyes) Jab Maine dekha ki Farooq ke aadmiyon ne kaise mera ma bauji ko..........(paused due to crying) Aisa laga jaise meri aankhon ke saamne koi mujhse meri duniya, mera rab cheen rahe hai.

Randheer felt bad seeing her crying. He caressed her hairs soothingly and wiped her tears.

R - (lovingly) Please mat roiye Amrit 🥺. Aap janti hai na ki main aapko aise rote hue nahi dekh sakta.

A - (wiped her remaining tears and smiled slightly) Nahi roungi. Lekin Randheer, sab log hai kaha pe? Itne dango mein aisi kaunsi jagah hai jaha sab log surakshit hai aur Baig chacha bhi ma bauji ka ilaaj kar rahe hai?

R - Amrit hai ek jagah, border se thoda hi door. Badi sumsaan si jagah hai woh. Waha dange ho rahe hai par itna bhi nazuk mamla nahi hai waha. Agar aapko yaad ho, toh waha aapke bauji ki ek kothi hai. Sab log wahi hai aur surakshit hai.

A - (shocked and worried) Kya? Border se thodi hi door? Maltab yaha se toh bohot door hai. Baaki sab toh gaadi se gaye the, lekin ma bauji? Randheer, aap unhe kaise le ke Gaye waha tak?

R - (in his mind) Nahi! Main Amrit ko nahi bata sakta ki main unhe kaise le ke gaya. Woh bohot pareshan ho jayegi aur rone lagengi. Kuch bhi ho jaye, main unhe sach kya hai woh nahi bata sakta!

A - (shook him) Kaha kho gaye Randheer? Bataiye na. Itni door tak aap unhe kaise le ke Gaye?

R - (nervously) Chodiye na Amrit. Woh sab baatein baad mein bhi hoti rahengi. Abhi jald se jald yaha se nikalte hai, yaha zyada der rukna surkashit nahi hai.

Randheer tried to divert the topic but Amrit was smart enough to understand that he was hiding something and she can't leave the matter without knowing the truth.

A - (stubbornly) Nahi Randheer. Main yeh baat itni aasani se nahi chodne wali. Mujhe pata hai ki aap zaroor mujhe kuch chupa rahe hai aur woh kya hai, woh aap mujhe abhi aur isi waqt batayenge. Bataiye.

JEETE HAI CHAL ☺Where stories live. Discover now