PART #1

3.5K 122 9
                                    

A lovely morning of winter all are enjoying the beautiful weather in the lucknow city, the three members of mahila police thana team enjoying the tea on badnam's tea stall, the one most senior constable Pushpa Singh complaining about the morning tea made by her daughter in law as usual. Now no one taking interest in her talks anymore. A young constable keeps flirting with his one of colleague, but still he can't get any better idea to woo her heart, she is the deadly combination of beauty, Innocence and intelligence she is understanding everything but don't want to express her feeling or may be she has not interest and don't want to hurt him. Their peace and tea were disturb by a noise which is from their SHO cabin , she is shouting on someone they all are worried and run to her cabin. Where she is scolding on her junior SI Karishma Singh.
"Yeh kiyà hai Karishma Singh apki problem kiyà hai , kyun ap humari koi baat nahi manti, hamesha ap apni man mani karti hain or kab tak karti rahen gi, kabhi toh apni personal ego chor k professional ho Kay humari baat mana Karen, hamesha garbar kar dayti hain ap or bad mei sab sambhalna humain parta hai, kyun ap ek team ki tarha humara Sath nahi dayti hain, or akhir kab tak aaisa chalay ga" scolded by SHO Haseena Mallik.

" Personal or professional ki baat ap na hi Karen toh behtar hoga maddam sir, dosron ko dard kaisay dayna hai, kisi ki zindagi kaisay barbad karni hai bhala ap say behtar aur Kaun janta hoga, duniya jis haseena mallik ko chahti hai usay yeh nahi pata k is masoom chehrah k peechay kitna makar chehrah chupa hai" replied by SI karishma Singh.

Pushpa Singh interrupted." Yeh kiyà keh rhi hain ap woh apki senior hain or ap un say is tarha hargiz baat nahi Kar sakti chalen maafi mangain ap maddam sir say, yeh hum ek junior nahi apki Saas honay k hasiyat say keh rhy hain ap maafi mangain"

KS: aaj tak ek senior honay k natay hi toh inki respect kartay aaey hain hum ab aur nahi.

"Acha respect karti aai hain ap maddam sir, kitni ki hai respect ap nay Maddam sir woh hum bhi jantay hain or baqi sab bhi, woh toh maddam sir ka bara pan hai Jo aaj tak apki bari say bari ghalti ko nazar andaz karti aai hain woh, warna ap aaj yahan nahi hoti." Said by pushpa Singh.

KS: bardasht inhon nay humain kiya hai ya hum nay kiyà hai inhain bardasht bus ab aur nahi aaj faisala ho k rahay ga pushpa ji Kay is thanee mei yeh rahen gi ya toh hum. Ek ko aaj is thanee say Jana hoga.

HM: theek hai phir hum transfer lay lyn gay.

KS: ap kyun lyn gi transfer hum jaen gay yahan say, apko toh aadat hai mahaan ban k sab ki hamdardi hasil karnay ki, aaj bhi ap yahi Karna chahti hain

HM: dekhain karishma Singh hum yeh sab kar k kisi ki hamdardi nahi hasil Karna chahtay hum sach mei Jana chahtay hain yahan say ta kay ap thana apnay tarikay say chala saken.

KS: bus kar dyn yeh natak hum achay say jantay hain k apko humari kitni chinta hai yeh jhooti hamdardi dekhana band karen hum nahi aanay walay apki in batoon mei hum aaj hi apnay transfer k liey aarzi day dyn gay DSP sir ko.

PS: yeh kiyà keh rhi hain ap thora thanday demagh say siyam say sochain.

KS: hum nay faisala Kar liya hai pushpa ji or humara faisala koi badal nahi sakta.

HM: karishma Singh pushpa ji Sahi keh rhi hain thora shant ho jaen is tarha jald bazi mei faisala layna nahi chaheay warna humain umar bhar pachtana parta hai.

KS: yeh ap keh rhi hain Maddam sir k jald bazi k faisaly ghalat hotay hain is ka jeeta jagta saboot humaray samnay apki soorat mei khari hain. Dhokaybaz insan.

"Yeh kiyà ho rha hai yahan yeh thana hai ya machali bazar kyun Sara thana sir par utha rakha hai ap logon nay,yeh kaisa shor hai lagta nahi k ap sab police officers hain, jab dekho har samay lartay hi rehtay hain" shouts by DSP when just comes and see the lady dabang and lady jazbat quarrelling on some matters.

Hate Or LoveWhere stories live. Discover now