PART #5

1.2K 110 20
                                    

AS: maa kiyà hua ap pareshan kyun hain sab theek toh hai na.

Maa: pareshan na hun toh aur kiyà karen; tehwar sar par hai kitnay Kam paray hain or tum dono ko fursat hi nahi hai apnay apnay Kam say.

HM: maa aaisi baat nahi hai, ap bus humain hukum dyn hum saray Kam yun chuki Baja k Kar dyn gay. Bus saafai Kahan say shru karni hai bataein.

Maa: aray hum Diwali ki saaf safai ki baat nahi kar rhy, woh toh hum Shanta  say bhi karwa sakti hain, hum Diwali k liey uphar ki baat kar rhy hain, tum dono time nikal k zara market say sab k liey uphar lay aao na

AS: maa ap inhain kyun pareshan Kar rhi hain hum lay aaen gay na sab k liey, or Haseena ghar k Kamoon mei apki madad Kar day gi.

HM: ha maa yeh Sahi keh rhy hain.

Maa: tu chup kar hum achi tarha say jantay hain iski pasand, pichli bar Kashi k liay chooriyan or damad ji k liay jootay lay aaya tha uphar k toar par, or is nay toh had kar di thi Kashi ki Saas k liey crop top lay aaya tha. Bhala woh is umar mei yeh pehnay gi kiyà, abhi bhi woh saray uphar humari almari mei paray hain.

AS: maa hum nay kiyà ghalat kiyà tha, Pushpa ji hi toh hamesha kehti hain Kashi say k thora ban sanwar k raha karo, chooriyan kangan pehan k rakha Karo hamesha toh humain laga k un k pass yeh nahi hai toh hum lay aaey, or jija Shree unkay Sath jab hum market gay thy tohunki chappal ka sole nikal gae thi or jab dosri bar humaray ghar aaey toh unki Sandle hi toot gae thi, toh hum nay socha k un k liey is say acha uphar kiyà ho sakta hai, or pushpa ji toh khud hi kehti hain k unki umar hi Kiya hai hum bhi agar aaj crop top pehan k bahir nikal jaen toh hazaron larkay fida ho jaen gay toh hum bus check Karna chahtay thy kitni sachai hai unki baton mei.

Haseena is smiling his innocence.

AS: tumhain buhat hansi aa rhi hai, hum toh bus sab ki zarooraton k lehaz say uphar liey thy phir bhi agar kisi ko pasand nahi aaey toh hum kiya Karen.

HM: sorry hum ap par nahi hans rhy hain hum toh be a yeh sooch rahay hain k ap kitnay innocent hai. Itna bhi nahi jantay.

AS: waqai hum buhat masoom hain Jabhi toh aksar dhoka kha jatay hain masoom chehron say.

Maa: Anu deekh kuch bhi ho is bar tum dono Sath mei ja Kay shopping karo gay bus...

AS: maa hum soch rhy hain k hum dono hi kyun? Kyun na hum teeno mil k shopping par jaen.
Kiya kehti hain ap.

Maa: hum kiyà Karen gay tum dono k beech kabab mei haddi ban Kay tum dono shopping karo candle light dinner par jao enjoy karo.

HM: maa kabhi kabhi kisi rishtay ko jornay k liey haddi bhi zaroori hoti hai, aur ap toh ek phair hain Jis say hum dono juray hain agar ap k bina hum kuch nahi hai, isliay ap bhi aaen gi humaray Sath, warna aaisa na ho k yeh senior ban k wahan hum par hukam chalen or hum waisay hi uphar lay aaen.

AS: ha maa haseena Sahi keh rhi hain.

Maa: acha theek hai toh aaj chalen phir.

HM: maa Kal chalen?

Maa: kyun aaj kyun nahi?

HM: maa woh hum aaj leave application day dyn gay toh Kal hum ja saktay hain phir.

Maa: toh abhi day day tere samnay hi toh hai mana thori na karay ga kyun Anu?

AS: nahi maa har cheez ka ek protocol hota hai aaisay kaisay hum manzoori day dyn.

Hate Or LoveWhere stories live. Discover now