PART #18

1K 102 18
                                    

HM: ji bua ji ap hum say kiyà kehna chahti hain.

Bua: sach bata chori kyun chupavay hai sach tu anu or Shobha say.

HM: Kaun sa sach bua ji hum samjhay nahi.

Bua: kiyà tujhe waqai nahi pata chori k hum kis baray mei tharay say pochay hain?

HM: nahi bua ji hum waqai nahi jantay ap kis baray mei baat kar rhi hain.

Bua: hath aagay kar chori.

HM: ji...

Bua: Sunai nahi dayta tharay ko hum nay Kaha hath aagay kar.

She forwarded her hand and she puts a bangle around her wrist.

Bua: yeh hamra puchtani kangan hai chori  hamri maa ka,  sambhal k rakhna chori, phir bad mei tujhe yeh apni bahu ko bhi dayna hai.

HM: ji bua ji.

Bua: waisay toh thari Saas ko yeh tujhe dayna chaheay tha par lagta hai usay kuch nahi pata hai.

HM: maa nay humain dikhaya tha or Kaha tha k yeh kangan puchtani hai.

Bua: or bataya nahi tha k kab day gi woh tujhe.

HM: bataya tha.

Bua: toh.. us nay diya kyun nahi?

HM: bua ji ap kehna kiya chahti hain humain samjh nahi aa rha.

Bua: dekh chori yeh baal hum nay dhoop mei safaid nahi kiey hain. Ek aurat k chal dhal say sab samjh jatay hain. She holds her wrist and checks her eyes.  Garvwati hai na tu.

HM: ji ?? Yeh ap kiyà keh rhi hain bua ji.

Bua: jhoot mat bol tu Shobha say chupa sakti hai par maray say nahi, sach bata ab.

HM: bua ji humain sach mei nahi pata is baray mei.

Bua: chal maan laytay hain tu kuch nahi janti par mahra Anubhav kabhi ghalat nahi hota.

HM: bua ji agar aaisa hai toh hum buhat khush hain. Par bua ji ap is k baray mei maa ko nahi bateay ga kuch, kyun k agar yeh sach nahi hua toh unka dil toot jaey ga. Harmonal dis balanced bhi ho sakta hai.

Bua:  chori tum aaj Kal ki perhi baray borhon say zayda dactaron par vishwas kartay ho toh theek hai karwa lo janch , par yad rakhna humra Kaha kabhi ghalat nahi hota.

HM: ji bua ji.

Bua: hum Shobha ko kuch nahi keh rhy abhi na hi Anu ko kuch keh rhy hain that's pati hai usay kaisay batana hai tu soch, hum toh usi din samjh gay thy chori Jab tu or Kashi kheet say loatay thy, wada kar chori hum say jab tharay dil ki tasali ho jaey toh e khush khabari apni Saas say pehlay tu apni bua ji ko day gi.

HM: ji bua ji hum maa say pehlay ap ko hi bataein gay.

Bua: tharay ko hum nay dekha tha thari shadi par Sundar toh tu thi par ab Jo tujh par yeh alag sa joroop chehrah hai na chori sab isi k kaaran hai, tujhe pata nahi hai hum Kitnay khush hain isliay Shobha say kahey thy k bahu ko naukari chorwa k ghar baitha par buhat bhooli hai woh kuch na samjhay hai. Us say zayda bholi tu hai chori sach mei chori tu nay mara dil jeet liya hai, hum ko laga tha k ghair zaat ki hai pata nahi maa baap nay kaisay sanskar diey hain par ab lagay hai zaat paat kuch bhi ho insan or uska chokha hona chaheay, sach mei Sahi kehti hai Shobha tu Heera hai heera.

HM: bua ji yeh ap... Sach mei ap humaray baray mei yeh sochti hain.

Bua: toh aur kiyà, bhala akelay mei bhi koi jhoot bolay hai kiyà. Bus tu maray Anu ka , Shobha ka or humaray potay ka khayal rakhna.

Hate Or LoveWhere stories live. Discover now