PART #3

1.2K 114 20
                                    

Haseena is holding photo frame of her parents.

HM: Ammi Abu ap humain akela chor k itni dour kyun chalay gay jahan say koi wapis nahi aa sakta, apko pata hai apki beti yahan kitni akeli hai saray rishtay honay k bawajood bhi usay ap dono ki kami satati hai, shukar hai humain Saas ki soorat itni achi or pyari maa mili hai jis ki wajah say humain zindagi jeenay ka hosla milta hai or halat say larnay ki taqar milti hai, warna hum kab ka sab kuch har chukay thy. Aaj humara Janam din hai or Kisi ko bhi yad nahi hai, or humain ab celebrate karnay ki chah bhi nahi hai, kyun k humari iccha or khawahishain toh ap dono poori kiyà kartay thy, bus ap dono jahan bhi hai wahan say hi apni beti k liey Dua karen k Allah usay uskay hissay ki sari khushiyan usay day, uski qismat mei jitni bhi azmaishain or imtehan likhay hai sab par woh poori utray. I love you Ammi I love you Abu hum ap dono ko buhat miss kartay hain bus dua karen hum bhi buhat jald ap dono k pass aa jaen.

Maa is listening all.

Maa: aaj bahu ka janam din hai humain toh Anu nay bataya hi nahi. Lagta hai woh bhi bhool gaya hoga har waqt Kam mei Jo laga rehta hai, isliay bahu udas hai k us Kay pati nay usay Janam din ki badhai Jo nahi di hai, hum us nalaiq ko phone kar k yad dila daytay hain, sham ko woh kuch khas lay k aaey or bahu ko woh kiyà kehtay hain surprise, surprise day bahu ko phir khush ho jaey gi humari bachi bhi. Bus bhagwan humari bachi ko hamesha khush rakhay or usay isi tarha hansta muskurata rakhay yahi dua hai humari.

*******

AS: kiyà hua maa sab theek toh hai kyun phone kiyà ? Apki tabiyat toh theek hai na hum abhi ghar aa rhy hain apko doctor k pass lay jaen gay ap chinta mat karen hum jaldi ghar pohnch jaen gay.

Maa: chup kar bolnay toh day humain kuch. Hum ek dum sewast hain.

AS: toh kiyà Kam hai maa jaldi kahen humain buhat Kam Karna hai abhi.

Maa: bus tujhe Kam k ilawa bhi kuch sojhta hai k nahi tujhe yad bhi hai Kay aaj kiyà hai?

AS: maa aj somwar hai or December ki 15 tareekh.

Maa: bus aur kuch nahi hai aaj pakka?

AS: nahi maa aur aaj kuch nahi hai, behna ka Janam din 9 April ko hai, uski anniversary bhi march mei aati hai, or humari bhi anniversary jahan tak humain yad hai abhi nahi hai, na hi aaj koi Pooja hai ghar par, na hi ap nay humain  kisi rishtay dar k ghar janay ko Kaha tha, na hi aaj bijli Kay bill daynay ki akhiri date hai, na hi apki aaj kisi doctor say appointment hai. Maa ab ap hi bata dyn Kay aaj kiyà hai.

Maa: sach mei tujhe yad nahi hai bata?

AS: maa paheliyan kyun boojh rhi hain ap bata dyn kiyà hai aaj waisay bhi humara Sara Kam adhora para hai.

Maa: nalaiq aaj teri patni teri Jan ka Janam din hai tu bhool kaisay sakta hai yeh.

AS: haseena ka Janam din yeh ap say kis nay Kaha ? Us nay apko bataya hai yeh ?

Maa: nahi woh bhala kyun bataey gi humain hum nay usay apni Ammi Abu ki tasveer say batein kartay Sunna hai keh rhi thi k aaj uska Janam din hai kisi ko bhi yad nahi hai, humain laga hi tha k tu bhi bhool gaya hoga usay bhadhai dayna, ap sab kam chor jaldi ghar aa ja bahu k liey koi surprise plan kar ya usay koi achi so movie dekhanay lay ja wapsi par kisi usay restaurant bhi lay jana.

AS: ji maa hum samay par ghar aa jaen gay. Ap phone rakhtay hain.

Disconnected...

AS throw pen 🖋️ on file in frustration " ajeeb musibat hai Janam din, na maa ko mana Kar saktay hain na hi usay Sath lay ja saktay hain hum Karen toh kiyà Karen, tumhain maaf bhi nahi Kar saktay hain kyun k tum nay sirf humara hi nahi Sath Sath buhat say logon ka dil dukhaya hai, apnay apnon ka bhi khayal nahi kiyà rondh dala sab ki izzat ko apnay khawahish talay, ek bar tum yeh sab Karnay say pehlay humain bata dayti toh shaid hum tumhain maaf kar daytay or tumhain sab ki izzat dao par laganay nahi daytay, par nahi tum nay humain batana bhi zaroori nahi samjha"

Hate Or LoveOù les histoires vivent. Découvrez maintenant