PART #4

1.2K 103 14
                                    

"Haseena ruk ja Kahan ja rhi hai tu", Ammi called her.

Ammi hum aaj buhat buhat buhat zayda khush hain janti hain kyun? Haseena said.

Ammi: jab tu bataey gi toh tab humain pata chalay ga na k tu itni khush kyun hai?

HM: Ammi ap guess Karen phir hum bataein gay.

Ammi: oh toh Kal tera Janam din hai isliay tu khush hai kyun?

HM: aray nahi Ammi woh baat nahi hai humain yad hai humara Kal Janam din hai or ap nay or Abu nay humaray liey zaroor koi surprise plan kiyà hoga

Ammi: tujhe kaisay pata hum nay koi surprise plan kiyà hai.

HM: Ammi yeh koi humara pehla Janam din toh hai nahi or waisay bhi har saal ap or Abu humaray birthday 🎉 par kych special hi kartay ho , ab bataein bhala yeh bhi koi surprise raha ab.

Ammi: acha toh ab humari betiya bore ho gae hai surprises say, par yad rakhna humaray bad tu yahi sab yad kar k dukhi hogi.

HM: phir wahi sab batein shru kar di ap nay Ammi, humara acha khasa mood kharab kar diya ap nay jaen hum apko nahi bata rhy k hum khush kyun hain.

Ammi: acha ab hum kuch nahi bolain gay ab bata bhi baat kiyà hai.

HM: toh sunnain hum nay Police mei naukari k liey Jo exam diya tha us mei hum pass ho gay hain bus ek exam aur phir hum SHO ban jaen gay.

Ammi: wah Masha Allah jeeti raho khush raho.

Haseena wipes her tears and puts her parents pictures in the side table and turn to see her husband who is sleeping peacefully on the other side.

" Apko zara bhi humari chinta nahi hai Anubhav, ap humain akela wahan chor aaey yeh bhi nahi socha k itni raat hum akelay ghar kaisay aaen gay"

Ammi Abu ap dono itni jaldi humara Sath kyun chor gay, agar ap hotay toh koi humari parwarish par koi ungaliyun nahi uthata. Ap dono hotay toh hum kabhi aaisay tanha nahi hotay, yahan koi humain humaray dard ko nahi samjhta, humain koi pyar nahi karta, sab k liay hum ek boojh k siwa kuch nahi hain, apko pata tha Saad jisay ap nay humaray liey pasand kiyà tha, woh bhi humain hi doshi samjhta hai, usay bhi lagta hai k mei nay yeh sab Jan boojh k kiya hai jab k haqeeqat kuch aur hi hai. Mama ji nay bhi humain hi ghalat samjha tha unhain bhi lagta tha k esha k ghar humari wajah say barbad hua hai, bus humari sachai hum jantay hain or woh or humara Allah, humari baton par koi yaqeen nahi karay ga or woh sach bolay gi nahi bus ek Allah hi ka Sahara hai humain wahi aazmaish k bad aasani laey ga, hum pooray maan k sath apnay shohar ki Seva kar rhy hain bina kisi gharz k, or hamesha usi k ho k rehna chahtay hain chahay woh humain jitnay bhi dard day.

She puts her hand on his head and starts combing his hairs his peacefull sleep disturbed by her touch.

Anubhav agar apki zindagi woh sab say bura din tha toh humaray liey bhi woh ek daronay sapnay say Kam nahi tha, us din agar ap ka dil toota tha toh humain bhi takleef hui thi Anubhav.

She closed her eyes and thinking about that day.

FLASH BACK 1:

Pandit: ab var Vadhu pheeray k liey kharay ho jaen.

AS: haseena kyun kiyà tha ap nay aaisa, humara chorain Kam say kam apnay mama ji k baray mei socha hota , apni bari behan k sath aaisa kartay huay ap ko dukh nahi hua tha.

Hate Or Loveحيث تعيش القصص. اكتشف الآن