LAST PART: (a):

1K 92 10
                                    

HM: kiyà hua Anubhav gari kyun rok di ap nay?

AS: Jan tum yahan intezar karo hum 5 minute mei aaey.

HM: Kahan ja rhy hain ap?

AS: aa k batatay hain Kahan gay thy.

HM: aa k bataein gay hum abhi poch rhy hain jawab ap bad mei dyn gay, bhala yeh bhi koi baat hui.

AS: sabar karen Jan.

He left her alone in the car and goes across the street and bring a ice cream cone for himself.

HM: ice cream 🍦 woh bhi ek.

AS: ha Jan actually humara ice cream khanay ka buhat maan kar rha tha toh hum lay aaey.

HM; or humari ice cream Kahan hai.

AS: Jan sardiyun ka mosam hai ap nay agar ice cream khai or ap ko agar thand lad gae toh, nahi hum apko khilana afford nahi Kar saktay hain abhi.

HM: par humara bhi maan kar rha hai ice cream khanay ka jaen humaray liey bhi lay k aaen.

AS: nahi apko nahi milay gi.

HM (irritated): ajeeb zabardasti hai Jo khanay ka maan nahi hai wahi khila rhy hain Jo hum hum khana Chahtay hain usi say mana Kar rhy hain.

AS: hum Jo bhi kar rhy hain ap k bhalay k liey kar rhy hain.

HM: acha ji toh phir humain apni cone say hi thora sa taste karwa dyn.

AS: no....

HM: 🥺 please.

AS: acha thora sa taste kar lyn zayda nahi khana hai.

She takes and eating all in one go.

AS: haseena yeh kiyà hai? Hum nay toh bus apko taste karnay di thi ap nay poori kha li.

HM: toh ap bhi toh humain dekha dekha Kay kha rhy thy.

AS: dekhain agar ap bemar par gaen toh kiyà hoga?

HM: nahi paren gay bemar hum.

AS: acha ji ap itnay vishwas say kaisay keh sakti hain.

HM: jaisay ap ko vishwas hai k hum thand mei ice cream kha k bemar ho jaen gay.

AS: ap ghar chalen ya do char aur khani hai ap nay Ice cream 🍨.

HM: Humain lagta hai ap do aur lay aaen ek humaray liey or humaray Anubhav k liay.

AS: dhanewad yeh yad rakhnay k liay hum nay Jo apnay liey li thi woh ap nay kha li.

HM: hum is Anubhav ki nahi hum junior Anubhav ki baat kar rhy hain.

AS: haseena...

HM: sorry sorry hum mazaq kar rhy hain ap kha lyn.

AS: nahi ab humara maan nahi hai.

HM: Anubhav.

AS: ha kaho.

HM: Humain chat bhi khani hai or gold gappy bhi woh bhi buhat sari khatai k Sath.

AS: par apko toh yeh sab pasand nahi thy na?

HM: ha nahi thy par apko toh hain yeh pasand , hum jab bhi patrolling k liay jatay hain aksar dekhtay hain apko golf gappay k thailay k pass , kabhi golf gappy kha rhy hotay hain toh kabhi chat, yeh bhi bilkul apnay baba par gaya hai.

AS: toh ap kay kehnay ka tatparey yeh hai k humari santan hum par gae hai, khud k khanay ka dil hai toh ilzam us par laga rhi hain ap.

HM: aray hum nay kiyà kiyà hai, humain yeh sab un hygienic cheezain khanay ka shoq nahi tha, par jab say yeh apki Santan humaray bhetar pal rhi hai jab say hi us chathoray ko bhi ap jaisay shoq paida ho rhy hain.

Hate Or LoveWhere stories live. Discover now