Ehsaas ft. Manasvi🥀

206 19 7
                                    

This part does not contain Agnima so People may skip 

This is just my POV


Mansvi's POV

Hamari Kahani #Agnima ki tarah nhi thi par #Vikrima ki tarah thi.Don't get him wrong usne mujhe dhokha nhi nhi na hi kuch galat kiya. Saari galati meri thi kabhi himmat hi nhi hui usse batane ki ya wo mere veiled hints ko samajh hi nhi paaya aur yeh kahaani Hamari Adhuri Kahani bann gyi🥀


Kya khel khela tha Qismat ne 8th standard ke first day studious ladki ko love at first sight ho gya tha. Sab kuch bilkul ek fairy tale ki tarah tha uska slow motion mein class mein enter krna uske baalon ka hawa me lehrna,Mere aage waali seat occupy krna, Apne aap ko introduce krne ke baahane mujhse pen udhaar lene kal hi ki baat lagti hai na koun kahega iss baat ko 5 saal ho chuke hai.

Jaise jaise time badhta gya uska rang mujh par padne lga but I wasn't that beautiful. He was never interested in me infact usne mujhe kabhi notice bhi nhi kiya tha uske liye I was just an acquaintance but mere liye he was much more. Woh daily mujhse stationary ka samaan maangta mai daily usse saaman lend krti. usse samaan deti time uski aankhon mei kho jaati. Meri bestfriend ne mujhe warn bhi kiya -"Yaar Manasvi samajh ja gadhi mat bann iske aas pass to mele lagte rehte hain yeh tere saath fling kr rha hai" but mai hi bewakoof thi ignore kr diya . Pyaar mein girti gyi. Jab 8th class ka end aya to bhagwaan se bass ek hi wish maangi ki bass Vikram mere class ho.

But destiny ka plan kuch aur hi tha wp 9th A mein aur mai 9th B. Mujhe bohot bura laga . Bura lagne se zyada mujhe gussa aaya mai pyaar se hi nafrat krne lagi. Log kehte hai na pyaar mein bohot taakat hoti hai toh yeh taakat mere pyaar mein kyun nhi thi shayad meri bestie sahi kehti thi yeh pyaar tha hi nhi. Shayad mai bhul gyi thi pyaar to dur rehna bhi sikhaata hai. 

Pyaar se itni nafrat ho gyi ki 9th mein jisne bhi mujhe propose kiya usse hi galat samajha aur chup chup rehne lagi. I was never against love but was against the pain it gives. Aaj samjah aata hai kitni buddhu thi main. shayad ussi nafrat ne mujhe itni khoobsurati di haan 8th ke classmates mujhe 9th mein pehchaan nhi paate kehte hai ki tu itni badal gyi kitni sundar lgti h (Aur agar woh mujhe ab dekh le to shayad behosh ho jaayenge) 9th mein maine aapne aap ko itna pamper kiya ki mere marks bhi acche aane lage house captain bann gyi. 

Vikram school band mein tha iss baat se anjaan maine apne aap ko choir group mein enroll kr liya. Iss baar apne aap ko itna strong kar liya ki usse dekh kr react nhi kiya. Usne mujhe dekha hi nhi. Next day maine apna slot hi change kr liya taaki phir weak padne ki gunjaish hi naa ho.Issi tarah usse bhaagte bhaaget 9th bhi guzar gya.

10th ke darr ki wajah se 9th ke 2nd term mein hi apni locality ki best coaching join kr li thi. Destiny ko shyad meri life roller coaster bannani thi isiliye usne bhi meri coaching join kr li. Ek mahine tak maine bhi usse ignore kiya aur usne bhi koi baat nhi ki. Phir ik dinn mai tuition thoda pehle chali gyi thi , wo latecomer uss din sabse pehle aa gya. Usne mujhe wave kiya aur humare introduction hua. Ussne mujhe baat isliye nhi ki thi kyunki usse mai newcomer lagi thi. Iss comment ke baad mujhe apne transformation pe proud feel ho rha tha.

Dheere Dheere hamari dosti gehri hoti gyi. EK dinn maine soch liya ki aaj Apni feeling confess kr lungi but uss din extra class arrange ho gyi. Wahan par raat ho gyi aur mera mood already off ho gya. Next day hum sab free period mein truth and dare khel rhe the mai thaan li ki aaj to bata hi dungi suddenly pen ka cap usse point kr rha tha. Usne Dare liye ,usse kisi ko propose krne ka dare mila tha.

He looked at me and said Mannu I love you as a friend. I was really happy though as a friend but I was happy. I wanted to propose Him but himmat hi nahi hui  bohot try kiya but I lost.

I sang a song looking at him "Tenu na bol pawan" thinking ki wo samajh jaayega but wo samjha hi nhi. Usse messages bhej kr unsend kr diya but kabhi confess nhi kiya aur aaj hum itne door hain Kaash mujhme thodi himmat aur hoti.


Beautiful wasn't the part Beautiful?

This was just your  writer's love story actually not a love story as this story is without love.Trust me I've not even added a single lie this is my real story. I literally cried writing this and can still feel the pain in my chest. I just  want to tell him how much I love him but it's too late he's no more in India. He has shifted abroad Maybe he'll be happier away from me but I'll never forget my first love. He'll  always have a special place in my heart maybe just in the corner but he'll reside and dwell there till my last breath.

My pen name is manasvi. Usse ek imaginary naam de rhi hoon Vikram because uska naam leke usse Badnaam Nahi krna chahti hoon.

This was important to write about him to tell about him wrna woh mujhme hi marr jaata aur mere katron ko bhi maar deta . Aapse bass yeh kehna chahti hoon ki apne katron ko marne mat do himmat rkho aur apne pyaar ka izhaar kro wrna bohot der ho jaati hai sabke pass bohot samay nahi hota hai. 

Kuch aisi hi thi hamari Vikrima ki kahani Garima bhula nhi payegi usse bhale hi agni ke saath move on kr Liya tha

Comment down and let me know about this part👇🏻.If you ppl didn't like this part I may delete it. Also let me know if you need more such content of mine

Signing Off

~Manasvi🥀


Agnima-One ShotWhere stories live. Discover now