Kahi pyar Kahi darar

661 76 17
                                    

Continue The Previous Part ...
Bondita is about to step out the door . But suddenly Binoy comes To Front of her ...

Binoy - Bondita bahu ... Aise saman aur Anu ko lekar kaha ja rhi ho ... Maa ke ghar 😎😄 jao jao kitne din se mili nhi tum unse ...

Again tears rolling from her eyes 😭

Binoy - kya hua ro kyu rahi ho ... 😟 Kuch hai kya batao... Anirudh ne jhagda kiya tumse ... Ha batao mujhe is ladke ki khair nhi ...

Bon- Aapki bahu bhot dur ja rhi hai baba ...

Binoy - kya 😟 ye kya keh rhi to tum... He comes inside ... Ho kya rha hai yahan koi batayega mujhe...

Som comes to him... Baba ... Baba please boudi ko rok lijiye ... Dekhiye na vo hamein chod kar ja rhi hain ...

Binoy - kya par kyun... Hua kya hai bataoge kuch mujhe...

Som - baba vo .. he tells him everything... Binoy shocked 😢 kya ...
He holds Bondita's hand and makes her stand in front of Anirudh. And gives Anirudh a hard slap.👋😡

Everyone shocked 😳😳😳

Binoy - Dekh ise kon hai ye ... Ye sirf teri patni nhi hai teri zindagi... Teri aatma ... Teri jeene ki wajah sab hai ye aur tu iski jagah kisi aur ko dena chahta hai ... Kyun ... Kyun kar rha hai aisa ... Tune aisa socha bhi kaise ... 😡
Aise Devi jaise patni chodkar tujhe dusri shadi karni hai... Nalayak Aise hi vishwas ghat karna sikhaya tha tujhe ... Ha Dekh ise kya halat kar di tune iski aakhein dekh aansu ruk nhi rhe iske... Kyu kar rha hai iske sath aisa ... Bhot pyar karti hai ye tujhse aur main janta hu tu bhi karta hai .. par abhi kisi ki baton mein aakr behak gya hai ... Looks directly Dida 😡... Kisi ki mat sun tu bas apne dil ki sun ... Dekh Ye teri beti tum dono ke pyar ki nishani hai.. Aur isi ki wajah se tum dono fir karib aaoge... Bhul kisne kya kaha ... Tu sirf in dono ko dekh ... Apni patni ke sath baith ... Baat kar usse apne sare man mutav Mita ... Mat jane de ise ... Nhi jee payega tu iske bina...

Ani- baba aapko Main galat lagta hu ... Aap mujhe samjha rhe hai .. ise samjhaiye na ki sirf kam karna iska farz nhi hai ... Pati ka dhyan rakhna bhi iska farz hai ... Main bhi chahta hu ki do pal apni patni ke sath baithu baat karu ... Vakt bitau ... Use pyar Karu par nhi ye bas apni mein vyast rehti hai ... To kya karun main aise mein aadmi ka man to uth hi jayega na uski patni se ... Mera bhi uth gya ab agr main kisi aur se shadi karna chahta hu to isme galat kya hai ... Aap ise samjhaiye maine nhi kaha ise ki ye ghar chod kar jaye ... Ye khud ja rhi hai .... To kya karu main ... Main dusri shadi karunga bas ye mera aakhiri faisla hai.... 😤

Bondita lost her last Hope ...

Ani thinks - kitna dukh pahucha rha hai na ye tumhara patibabu bondita... Tumhe itne galat shabd kehne ke liye bhagwan bhi kabhi mujhe maaf nhi karega ... Par kya karu main aur koi rasta nhi hai ...

Bon- rehne dijiye baba ab ye vo nhi rhe jinse maine pyar kiya tha .. ye badal gye ek hi jhatke mein... Mujhe Khushi Hui ki aapne mera sath diya... Bas ab jane dijiye mujhe...

Binoy - kahi nhi ja rhi ho tum bahu suna tumne ... Yahi rahogi tum ye tumhara Ghar hai... Is ghar ko ghar tumne banaya hai... Nhi to ye banjar makan tha ... Jisme sirf mard rehte tumne jab apne shubh kadam is ghar mein rakhe to mandir ban gya ye ghar beta aur tum ye ghar chod kar jana chahti ho... 😢

Bon- par baba ab is ghar mein rehkar kya karu main jab yaha mera koi astitva hi nhi hai.. yaha koi khush nhi hai mujhse .. na Dida , na patibabu , aur ab to meri behn se bhi pyari devrani bhi mujhe pasand nhi karti ...
To kaise main yaha reh sakti hu ...

Binoy - beta tum ek dam sahi ho... Par phir bhi main tumse yahi kahunga ki mat jao ... Dekho tum kisi ke bare mein mat socho bas apne aur Anu ke bare mein socho ... Tum kaise akele bahar ki duniya ka samna kar paogi ..

Barrister Babu :  Sacha Pyar ❤️❤️Where stories live. Discover now