Chapter 19

386 35 56
                                    

MLA : Hum jiss kaam ke liye aaye the, vo ho gaya

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

MLA : Hum jiss kaam ke liye aaye the, vo ho gaya. Babu bhaiya, abh hum chalte hai. Khuda hafiz.

MLA apne sare aadmiyon ko leke chala jata hai.

Hridia : Abbu! Mujhe uss MLA ke ladke se shadi nahi karni!

Soumya : Uss Rocky se shadi karne se accha toh main pankhe se latak jau!

Babu : Beta, teri shadi main bhi nahi karwana chahta. Lekin tune dekha nahi? Vo MLA kaise hume khulle aam dhamki de raha tha. Mere hath bandhe hue the. Lekin main kuch toh jugaad karunga. Tumhari shadi un nalayako se nahi hone dunga main.

Tino ladkiyan udaas hoke apne apne kamre mein chali jati hai. Aur unke piche baki ki ladkiyan bhi jati hai.

 Aur unke piche baki ki ladkiyan bhi jati hai

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

*sad music*

Junaid gala phaadke ro raha hai aur uske bhai use sambhal rahe hai. Junaid apna sar Yasir ke kandhe pe rakhta hai aur kehta hai.

Junaid : Bhai, vo kamina Jackson meri Zaina se shadi kaise kar sakta hai?! Use koi aur nahi mili thi kya?!

Yasir : Vo teri kabhi thi hi nahi. Agar tune pehle himmat karke bol diya hota toh kuch kar sakte the.

Junaid : Vo kamina Jackson mere pasli ke jod ko mujhse nahi chinn sakta!

(At this point, idc if the Hindi of rib bone is right or not)

Taemoor Junaid ko tissue deta hai aur Junaid tissue se apna naak pochta hai.

Taemoor : Kaddu jaisi shakal banake rone se kuch nahi hoga. Isse accha koi idea hi nikal lete shadi ko rokne ka.

Junaid rona band karne ki koshish karta hai lekin phir vo aur zor se rone lag jata hai.

Junaid : Allah! Yeh kaisa insaaf hai?! Yaar, tum dono harmonium aur tabla bajana band karo pehle!

Sabu aur Kaif sad music bajana band karte hai.

Sabbir : Hum toh bas aapko sad vali feeling de rahe the.

Bhool Bhulaiya || CompleteWhere stories live. Discover now