Chapter 31

374 44 91
                                    

Kaif ke abbu : Kaif?! Tu vaha shadi ke jode mein kyu hai?!

Kaif ke abbu aggressively uski taraf badhte hai use marne ke liye.

Kaif ke abbu : College abhi khatam hua nahi, aur nawabzade ko shadi karni hai?!

Vo Kaif ko pitne lagte hai.

Kaif : Abbu! Abbu! Meri baat toh suniye!

Kaif ki ammi aur Bahar unhe rok leti hai.

Kaif ki ammi : Aree aap itna ghussa kyu kar rahe hai? Uski baat toh sun lijhiye pehle!

Kaif : Yeh sab Naman bhai ka idea tha!

Vo Naman ki taraf ishara karta hai aur sabka dhyaan Naman pe jata hai.

Naman : K-kya m-mera idea hai?!

Babu : Yeh sab kya chal raha hai? Koi ek thik se batao!

Phir un sabko sab kuch detail mein explain karna padta hai. Salim aur Yushma unke sath jo hua vo dobara explain karte hai. Baki ke log nakli dulha dulhan ka kissa explain karte hai.

Yunus : Hum toh shanti se wapas asli dulha dulhan ki adla badli karne wale the. Aur kisiko kuch pata bhi nahi chalta. Lekin Jija ji ne pure plan pe pani pher diya!

Badi dadi : Ya Allah! Iss umar mein aake kya kya dekhna pad raha hai?! Aisa kahani na kabhi dekha hai aur na suna hai!

Suraiya : Dadi, shant ho jaiye.

Johnny : Jija ji, dekha aapne? Maine bola tha in baccho mein kuch golmal chalta rehta hai hamesha.

Soumya : Abbu, hum sharminda hai. Lekin humare paas koi aur chara bhi nahi tha. Agar kisiko pata chalta toh khandan mein humari badnami ho jati na.

Babu : Tum logo ki kartoot se main.... Bilkul bhi ghussa nahi hoon!

Sab unhe shock ke sath dekhte hai.

Zaina : Abbu?

Johnny : Jija ji?

Babu : Aree maine apni zindagi mein isse bhi bade bade kand kiye hai. Tum logo ne saabit kar diya ki tum meri hi aulad ho. I'm proud of you!

Sab khush ho jate hai.

Mithun : Chalo anth bhala toh sab bhala. Abh jab sab thik ho hi gaya hai toh nikah shuru kare? Salim, jake apne kapde pehen lo. Kaif, tum uski sherwani use wapas dedo.

Kaif aur Salim ke jane wale hote hai tabhi Aman Junaid se kehte hai.

Aman : Zohra ji, mujhe pata nahi tha aap itni chuperustav niklengi. Aap bhi inke sath shamil thi? Kamal hai aap!

Farida : Ek minute, Junaid kaha hai?

Junaid ghabra jata hai.

Junaid : Abhi mujhe jana chahiye.

Aman : Aree aap aise kaise jaa sakti hai? Shadi khatam hone ke baad jaiye.

Junaid : Nahi, mere ghar pe deadline hai.

Vo shadiyon mein stand fans nahi hote? Jo ghumte rehte hai aur sabko hawa karte rehte hai? Toh vaise ek fan se Junaid ke upar ek hawa ka jhauka aata hai aur uska wig ud jata hai. Junaid apna sar hath se dhak leta hai. Aman jab yeh dekhte hai unhe heart attack aata hai.

Aman : Junaid?!

*heartbroken music*

Aman ke samne Zohra ke sath bitaye hue sare pal yaad aate hai. Aur phir jab vo sochte hai ki vo Junaid tha toh unhe ghinn aane lagta hai.

Junaid : A-abbu-

Junaid ke sare bhai Aman ko sambhalne jate hai. Aman emotionless hoke bas khade rehte hai.

Naman : Abbu?

Huzaif : Abbu?

Lekin Aman ka koi jawab nahi aata. Achanak Aman phut phut ke rone lag jate hai. Aur unke bete unhe sambhalte hai.

Badi dadi : Abh iss Amrut ko kya hua?!

Bahar : Abh lagta hai yeh baat chupane ka bhi koi fayda nahi hai. Uss din jab MLA ke bete aaye the toh Junaid bhai ladki banke Zaina ki help karne gaye the. Raste pe hum unke abbu se takra gaye the aur phir maine kaha ki vo meri friend hai. Aur kaka tabh se baar baar unse milna chahte the aur mujhe pareshan karte the. Toh Junaid bhai unse baar baar Zohra banke milte rahe.

Babu aur Mithun Aman ko sambhalne jate hai.

Babu : Dekh, Aman, jo hua use hum badal nahi sakte. Aur main janta hoon tujhe bura laga hai. Lekin ise ek chota sa mazak samajhke bhul jaa.

Mithun : Babu sahi keh raha hai. Vaise iss mein thodi si galti teri bhi thi. Aaj tere bete ki shadi hai, toh mood thik karle.

Aman ko bohot samjhane ke baad  vo finally normal ho jate hai.

Aur phir program wapas normally chalne lagta hai. Salim aur Yushma stage pe baithe hai aur quazi nikah padha rahe hai. Aur sab log apne setting ke sath khade hai.

Junaid aakhir mein himmat jutake Zaina se keh hi deta hai.

Junaid : Zaina ji?

Zaina : Hmm?

Junaid : Bohot dino se ek baat aapse kehna chahta tha. Lekin himmat nahi juta paya.

Zaina : Aap mujhse 10 crore rupaye mangne wale ho kya? Nahi na? Toh daro mat kehdo!

Junaid apne kapdo se ek bada sa dil nikalke kehta hai.

Junaid : Jiss din maine aapko pehli baar dekha tha tabhi se mujhe aapse pyaar ho gaya hai

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Junaid : Jiss din maine aapko pehli baar dekha tha tabhi se mujhe aapse pyaar ho gaya hai. Bohot baar aapse kehne ki koshish ki lekin nahi keh paya. I love you.

Junaid gaali aur thappad ka intezaar karta hai. Lekin jab nahi padta tabh aankhein kholke uski taraf dekhta hai.

Zaina : I love you too.

Junaid : Sach mein?!

Zaina : Haan. Hume accha laga ki aapne yeh baat aake direct bataya. Varna kuch log toh muh chupake phone pe gandi gandi shayariyan sunake flirt karte hai. Hua tha humare sath bhi aisa recently. Ek baar vo aadmi mere hath lag jaye. Chhodungi nahi use main.

Junaid : *gulps* Zaina ji, vo aadmi bhi main hi tha. Lekin Huzaif bhai ka idea tha vo! Mera nahi!

Zaina hasne lagti hai aur haste haste Junaid ke kandhe pe jake girti hai. Aur launda humara sharma jata hai.

Taemoor, jo Twinkle ke baju mein khada tha, apna phone nikalke apne instagram le kuch post karta hai aur phone wapas pocket mein rakh deta hai.

Tabhi Twinkle ke phone mein ek notification aata hai. Twinkle notification open karke dekhti hai ki Taemoor ne uske sath apni ek selfie post ki hai with caption, "Will you be my girlfriend?"

Twinkle Taemoor ki taraf badi badi aankhon se dekhti hai. Lekin Taemoor uski taraf nahi dekhta. Twinkle bhi apne phone mein kuch karke phone band kar deti hai.

Phir Taemoor ko notification aata hai.
"Haan, lekin tumhare popularity ka pura fayda uthaungi." Taemoor apna phone wapas pocket mein rakh deta hai. Dono ek dusre ki taraf bina dekhe smile karte hai aur ek dusre ke hath pakadte hai.

Bhool Bhulaiya || CompleteWhere stories live. Discover now