Chapter 24

367 36 53
                                    

Imran : Navi, pregnancy mein itna kaam nahi karna chahiye, kitni baar batau?

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Imran : Navi, pregnancy mein itna kaam nahi karna chahiye, kitni baar batau?

Navi : Ghar mein shadi hai, kaise kaam na karu? Aur mujhe kuch nahi hoga. Tum apna kaam karo.

Navi apna kaam karne chali jati hai.

Yunus : Oye uncle! Meri Dhanno ko chhod do!

Bavarchi : Lekin madam ne toh bola unke yaha se koi bhi murgi ko uthake bana lene ko.

Yunus uss aadmi ke hath se Dhanno ko chinn leta hai.

Yunus : Yeh koi aam murgi nahi hai. Meri Dhanno hai, Dhanno! Vo 5 baccho ki maa hai!

Bavarchi : *in mind* Kya ajeeb log hai iss ghar mein?!

Bavarchi pakane ke liye dusri murgi lane jata hai.

Anushka : Tehrim! Meri pyaari behen!

Tehrim : Itna maska mat laga. Kya kaam hai jaldi bata, mujhe yeh phool chhat pe leke jaane hai. Jaldi bata varna der ho jayegi.

Anushka : Teri toh setting haina ladko ke side mein?

Tehrim : Koi shak?

Anushka : Nahi, nahi! Koi shak nahi hai. Tu ek kaam kar de na, apni pyaari choti behen ke liye...

Tehrim : Tameez se toh baat tu karti nahi kabhi mujhse. Aur abh ehsaan chahiye?

Anushka Tehrim ka hath pakadke bolti hai.

Anushka : Bhai, setting kara de! Vo Zayan hai na, bohot hot banda hai! Setting kara de meri bhi! Teri toh ho gayi hai.

Tehrim : Yeh tujhe marriage bureau lagta hai? Agar accha lagta hai toh abbu ko jake bol, vo baat karenge Aman uncle se. Phir kar lena shadi.

Anushka : Abba nahi manenge! Aur tune bhi kaunsa abbu ko bataya hai Teri setting ke bare mein? Tujhe nahi karni shadi?

Tehrim : Dekh Anu, tu abhi choti hai. Tu nahi samjhegi. Main aur Huzaif sirf best friends hai. Hum vaise nahi hai jaise tu soch rahi hai. Yeh setting vo setting nahi hai jo tu chahti hai.

Anushka : Phir bhi karwa do na! Badle mein meri vo Golden color ki lehenga teri!

Tehrim ki aankhein badi ho jati hai.

Tehrim : Sacchi?!

Anushka : Mucchi!

Tehrim : Dekhti hoon main, kya kar sakti hoon.

Anushka khush hoke use dher sare flying kiss deti hai. Tehrim phir phool ke basket ke sath vaha se uthke Huzaif ko dhundne chali jati hai.

 Tehrim phir phool ke basket ke sath vaha se uthke Huzaif ko dhundne chali jati hai

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.
Bhool Bhulaiya || CompleteWhere stories live. Discover now