PART 2

1.3K 62 8
                                    

Suhasini- lekin naksh beta fir ek saal tak koi mahurat nahi hai aur fir hame ye bhi toh nahi pata ki akshara ji ko kab tak hosh aayega ya aayega bhi ki nahi

All looks at her. Suhasini realises what she spoke.

Suhasini- ji hamara vo matlab nahi tha...ham toh bas.....

Naksh interrupts- aapki baat ko beech me kaatne ke liye sorry lekin ek saal to kya agar zindagi bhar bhi mumma ka wait karna padega to main karunga lekin meri shadi mumma ke bina nhi hogi

Manish tries to handle the situation- maa ka matlab vo nahi tha beta...unhe chinta hai...jo hua usse vaise hi pareshan hai upar se log kya kahenge jab beti sagai ke baad bhi ghar par baithi hai....

Naitik interrupts- log toh tab bhi kahenge manish ji jab bete ki shadi me maa hote huye bhi nahi thi...naira aur kartik ki shadi me toh aap logo ne dekh hi liya hoga
kitni baatein bani thi

Naitik then looks at rajshri- maa aapko kya lagta hai...kya naksh ki shadi akshara ke bagair hona sahi hoga

Rajshri looks at vishambhar then naitik.

Rajshri hesitantly- ab main kya kahu jamai sa...akshara ka hona toh chahiye tha faisla par vo nahi hai...uske baad cheeku se sabse kareeb ka rishta aap hi ka hai...aap pita hai uske...aap hi ko faisla lena chahiye...main toh bas akshara ki diary ko yaad kar rahi
thi jisme usne......

Naitik interrupts- apni saari wishes likh di...jo vo pura karna chahti thi...unke man ki saari baatein...iccha jo unhone aaj tak aapse ya mujhse nahi kahi...maine bhi padi hai vo diary maa...shayad aap sahi keh rahi
hai...akshara ne apni diary me apne sapne likhe the...naksh ki shadi...gayu aur naira ki shadi...unhone toh tum sab ke baccho ki bhi planning kar rakhi hai...naira ki shadi maine bilkul vaise karwayi jaise akshara chahti thi...papa ki princess ko uske prince ke sath palace me vida kiya kyoki vo majburi thi lekin naksh ke sath aisa nahi hoga...main naksh ke faisle ke sath hu...agar naksh chahta hai ki uski shadi me uski mumma ho toh yahi hoga

Suhasini- par mahurat bhi to dekhna hota hai

Naksh- dadi jab meri shadi ke din mumma mere sath hogi na vahi best mahurat hoga

Naitik- bilkul naksh lekin shadi tumhari akele ki nahi hai...keerti ki bhi hai

Naitik walks towards keerti and keeps his hand on her head.

Naitik- keerti beta...tum na to apni dadi ki baat suno naa hi naksh ki...apni aankhein band karke mujhe ye batao ki tum kya chahti ho

Keerti closes her eyes and then opens it- honestly mujhe bhi thoda waqt chahiye ek naye relation me jane se pehle...main bhi naksh ki baat se sehmat hu

Naksh smiles. Suhasini gets angry at keerti. Manish is happy to see everyone respecting keerti and her opinions. Since keerti agreed to delay the wedding he too has no issues.

Manish- thik hai...sab isi baat par raazi ho gaye toh fir aur kya chahiye hame

Rajshekhar- bilkul sahi kaha manish beta

Suddenly they see naira running to her room crying and kartik following her. They all follow them but naira closes the door before he could enter. The family too reach.

Naksh- kya hua kartik...naira aise ro kyo rahi hai...kya hua hai...sab thik hai na tum dono ke beech...kuch toh bolo kartik

Kartik sees naksh and immediately hugs him and cries. Naksh gets shocked and hugs him back. Naksh consoles kartik.

Naitik- kartik kya baat ho gayi jo naira is tarah rote huye aayi...kuch toh bolo

Gayu bangs naira's room door- naira...darwaza khol...naira...kya hua

Suhasini- hey bhagwan koi toh kuch batao chal kya rha hai...kittu kya baat hai batao hame

Naksh still hugging kartik as he was not breaking the hug- kartik kya hua hai...kuch bol mere bhai...mujhe problem bata...main sab thik kar dunga...i promise

Kartik crying breaks the hug- tum kyo mera sath doge...tum bhi naira ki tarah mujhse nafrat karoge...in fact aap sab mujhse nafrat karoge...sab meri galti hai...sab meri galti hai...mujhe usi din sabko ye baat bata deni chahiye thi...sab meri galti hai

Kartik falls on the floor. Naksh sits along with him and consoles him.

Naksh- kartik please batao hua kya hai

Kartik- tum bhi mujhse nafrat karoge naksh...sab nafrat karenge mujhse

Naksh- koi nafrat nahi karega tumse kartik...baat batao...kya hua hai

Naira who was listening everything opens the door and comes out- main batati hu bhai

Naksh stands to face naira while keerti comes to kartik's side and holds him.

Naira angrily with tears in her eyes- bhai mumma ke accident ka zimmedar koi aur nahi balki mansi hai...kartik ki behen

Yrkkh ffWhere stories live. Discover now