PART 15

702 44 2
                                    

After having lunch they all were talking with each other.

Suhasini- ji hame aap sab se kuch baat karni thi...ham soch rahe the ki ab naksh ji aur keerti ki shadi karwa de...hamne tareekh bhi dekhi hai...agle mahine ki pehli tareekh bohot shubh hai

All get silent. Naksh looks at akshara who looked upset.

Bhabhi ma- haa ab bahu bhi thik hai toh ab soch sakte hai is baare me...munna tu kya sochta hai

Naitik- bhabhi ma mujhe koi dikkat nahi hai...akshara aapka kya kehna hai

Suhasini- ab akshara ji kya kahegi...unse bade bhi ghar me hai...akshara ji se zyada unka faisla maayne rakhta hai

Naitik- bade toh mujhse bhi hai maaji

Suhasini- ha lekin aap naksh ji ke pita hai

Naitik smiles- akshara bhi naksh ki maa hai...in fact naksh ki life ka har decision lene ka hak akshara ka hai... maaji maa ki zaroorat sirf bacche paida karne ya unhe paalne ke liye nahi hoti...maa toh zindagi ke har mod me hame sambhalti hai...aur mera beta bohot lucky hai ki use akshara jaisi maa mili...akshara ka pura hak banta hai naksh ki zindagi ke faisle lene ka...mujhse bhi zyada

Maheshwaris and singhanias smile as naitik takes a stand for akshara while suhasini gets irritated. Akshara thanks naitik through eyes. Naitik nods in no. Naksh looks thankfully at naitik.

Bhabhi ma- bilkul sahi keh raha hai munna...dard sehkar toh bahu ne paida kiya lalla ko...sabse zyada hak usi ka hai...tu bol bahu

Akshara- bhabhi ma zindagi in dono ko sath bitani hai...puchna in dono se chahiye ki ye sath rehne ke liye tayyar hai

Suhasini- isme  tayyari kaisi...dono ki shadi tay hui hai

Akshara- haa par dono hi apne ateet ko bhula nahi paye hai...unhe thoda waqt toh dijiye

Suhasini- aur kitna waqt...hamara bas chale toh ham abhi inki shadi karwa de...keerti apne ateet ko kabka bhula chuki hai

Akshara irritated- mujhe nahi pata keerti ke baare me aur naa hi jaan na chahti hu...parwah mujhe mere bete ki hai...main janti hu vo apne ateet ko bhula nahi paya hai

Suhasini- us baat ko kaafi saal ho gaye hai...agar keerti kuch mahino me bhul sakti hai toh naksh ji ko kaha ab fark padta hoga

Akshara- padta hai...kyoki keerti ke ateet me buri yaadein thi lekin mere bete ne bohot acchi aur sunehri yaadein banayi thi...aur itna toh aap janti hi hogi ki buri yaad mitana aasan hota hai aur acchi yaadein mitana mushkil...aap sab ko shayad meri baat buri lag rahi hogi par sach yahi hai

Saying this akshara leaves. Naitik goes behind her.

In naitik akshara's room

Akshara was sitting tensed. Naitik enters. Akshara sees him.

Akshara- aapko bhi lagta hai main galat keh rahi hu

Naitik- nahi...kyoki main janta hu aap bilkul sahi hai...mujhe pata hai naksh nahi bhula paya hai tara ko...us ladki ke dhoke ko...aur ab uska dobara naksh ki zindagi me naa aakar bhi aana aur aise me keerti se shadi

Akshara- vahi toh main keh rahi hu naitik...main manti hu mujhe keerti pasand nahi duggu ke liye par main unki shadi ke liye mana nahi kar rahi...bas waqt maang rahi hu

Naitik- main janta hu akshara...aapne pehle bhi tara ko naksh ki khushi ke liye accept kiya tha aur aaj keerti ko bhi naksh ke kehne par accept karne ki koshish kar rahi hai aap...samajhta hu main

Akshara- aapne bhi toh tara ko duggu ke liye apnaya tha

Naitik- baccho ke liye kuch bhi...aur naksh toh vaise bhi special hai

Akshara- sab kehte hai ki aap naira se zyada close hai par main janti hu ki naira se zyada special jagah aapke dil me duggu ke liye hai

Naitik smiles- aapse behtar kaun janega ye baat...naira ke sath zyada waqt isliye bitata tha taki naksh ke time jo miss kiya vo naira ke sath pura karu...iska matlab ye nahi ki naksh mera beta nahi...vo mere liye utna hi maayne rakhta hai jitna ki aapke liye

Akshara nods at him.

On terrace

Youngsters were on terrace while elders were in the hall.

Naira- bhai aap ek baar mumma se baat kijiye na...i am sure aap unhe mana loge

Kartik- par mam ne galat kya kaha...naksh aur keerti dono ko waqt chahiye

Naira- kartik aur kitna waqt...hamne bhi toh aise hi shadi ki thi

Kartik- haa par ham ek dusre ko jante the... ek dusre se pyaar karte hai naira...naksh aur keerti ke beech pyaar nahi hai...filhaal toh nahi

Naira- arranged marriages aisi hi hoti hai kartik...mumma papa ko dekh lo...ab kitna pyaar karte hai dono

Mishkat- bas karo tum dono...jinhe shadi karni hai unse kisi ne nahi pucha...sab apne faisle suna rahe hai...mam ne ek baat bilkul sahi kahi...zindagi in dono ko sath bitani hai...faisla bhi in dono ka hona chahiye...naksh keerti bolo tum dono kya chahte ho

Naksh and keerti look at each other awkwardly. Mishkat cups keerti's face.

Mishkat- keerti tu janti hai na koi tera sath de ya na de main aur kartik hamesha tere sath rahenge...tu jo kahegi vahi hoga...main apne liye bhale hi nahi lada par tujhse vada karta hu ki tere liye puri duniya se lad jaunga

Keerti- mishu bro i don't know main kya karu...dadi chahti hai meri jaldi se shadi ho jaye...akshara aunty mujhe pasand tak nahi karti...main koshish kar rahi hu ki unke dil me apne liye jagah bana saku par nahi ho raha mujhse...shayad sab sach kehte hai...main useless hu...main kisi ko khush nahi rakh paungi...mujh me vo kabiliyat hi nahi hai

Kartik and mishkat get angry as aditya had broke her confidence. Naksh is shocked to hear her.

Mishkat- aisa kuch nahi keerti...dusro ki baato ko dil se mat laga...specially vo log jo tere liye matter hi nahi karte...tu best hai har cheez me bas kami hai toh tere confidence me

Kartik- mishu bro thik keh rahe hai keerti...tujhse zyada perfect koi nahi

Naksh- aap please aisa mat sochiye ki mumma aapko pasand nahi karti...mumma mujhe ek baar toot te huye dekh chuki hai...vo nahi chahti ki aisa kuch dobara ho...pichli baar unhone mujhe sambhal liya tha lekin vo janti hai agar dobara aisa kuch hua toh vo nahi sambhal payegi...na khud ko aur na mujhe...jis tarah aapke dono bhai aapko protect karna chahte hai vaise hi mumma mujhe protect karna chahti hai

Mishkat- naksh mam ka dar main samajhta hu aur tum dono ka bhi (looks at gayu) jis par aap sabse zyada bharosa karte ho aur vo aapko dhoka de tab dil ke sath insan bhi toot jata hai

Gayu looks at him emotionally- zaroori nahi har baar dhoka hi takleef de...kabhi kabhi pyaar bhi utni hi takleef de deta hai ya shayad usse bhi zyada

Mishkat looks at her.

Naksh- mumma se main baat karunga...keerti ji aapko jo thik lage aap vahi faisla lijiye...gharwalo se baat main kar lunga...aapka decision lena important hai

Keerti- shadi toh aapki bhi hai...decision toh aapke liye bhi utna hi important hai

Naksh- meri zindagi utni nahi badlegi jitni aapki badlegi...aap hamare ghar aayengi...naya ghar...naya parivaar...adjust aapko karna hoga...isliye mujhse zyada faisla lene ka hak aapka hai...aur rahi baat meri...mujhe ab apne ateet ko yaad nahi karna...us ladki ko yaad nahi karna jisne na sirf mujhe dhoka diya balki meri puri family ko takleef aur badnaami di...vo ladki meri zindagi ka hissa nahi hai

Saying this naksh goes.

Yrkkh ffWhere stories live. Discover now