PART 6

1K 48 3
                                    

In hall

Everyone were sitting and talking. Naksh also joined them. The youngsters were having fun.

Bhabhi maa comes in the hall- munna

Naitik- ji bhabhi ma

Bhabhi maa happily- rama behenji ka phone aaya tha...unhone gayu ke liye rishta dekha hai...vo kal aa rahi hai ladke walo ke sath

Singhanias are shocked. Naitik and naksh looks at gayu who got tensed hearing bhabhi maa.

Rajshekhar- ye toh acchi baat hai bhabhi maa

Vishambhar- ji bilkul...gayu bitiya ki bhi toh umar ho gayi hai shadi ki

Devyani- haa aur naira ki shadi ho gayi hai...naksh ki hone wali hai...gayu ki bhi jaldi ho jaye toh sab accha ho jayega...kyo naitik

Naitik smiles- ji choti maa...par ye sawal hame gayu se puchna chahiye

Naksh- correct...(turns to gayu) gayu tu milna chahti hai us ladke se...tujhe nahi milna toh bata de...koi force nahi karega i promise

Naitik keeps his hand on her head. Gayu immediately hugs him.

Gayu murmurs- mujhe dar lag rha hai mamaji

Naitik caress her hair- i know doll...agar tum nahi milna chahti toh thik hai koi force nahi karega lekin agar tum dar ki wajah se mana kar rahi ho toh ye galat hai...main nahi chahta meri beti kisi bhi cheez se dare...specially rishto se toh bilkul bhi nahi...meri beti bohot strong hai...hai na

Gayu breaks the hug and nods. Naksh smiles and hugs gayu.

Gayu softly says looking at naitik- aap jo kahenge main vahi karungi...main room me jau please

Naitik nods. Gayu leaves.

Naitik- bhabhi maa mujhe nahi lagta ki gayu tayyar hai in sab ke liye abhi

Bhabhi maa- beta vo abhi zimmedari se dar rahi hai lekin jab zimmedari sar par aati hai toh sab sambhal jata hai...gayu ke sath bhi aisa hi hoga

Suhasini- haa aur vaise bhi naira choti hai fir bhi uski shadi gayu se pehle ho gayi...log baatein karne lage hai...aap sabhi ko gayu ki shadi bhi karwa hi deni chahiye

Naksh leaves from there. All youngsters follow him.

Suhasini- hamne kuch galat kaha jo naksh ji aise chale gaye

Rajshri- nahi nahi suhasini ji...vo cheeku gayu se bohot pyaar karta hai...uski kaafi chinta hai use...isliye vo gaya

Suhasini nods.

In naksh's room

Naksh was sitting upset. Kartik naira and keerti come there.

Kartik- i am sorry naksh...dadi ne jo kaha

Naksh interrupts- gayu ki shadi logo ki baato ki wajah se main kabhi nahi hone dunga...vo tab shadi karegi jab uska man hoga

Naira- haa bhai...par dadi ka matlab sirf ye tha ki gayu di kisi se pyaar nahi karti toh arranged marriage se koi problem thode hi hai...ek try toh kar sakte hai na...unki marzi nahi hui toh mana kar denge

Naksh stood up- itna aasan nahi hai naira...ham dono ko shadi par bharosa hai kyoki hamne hamare mumma papa ko dekha hai...unki shadi ko dekha hai...tu soch naira gayu ne bhi toh dekhi hai rashmi bua ki shadi...gayu bohot choti thi jab rashmi bua ka divorce hua tha...use pata hai ki divorce kyo hua tha...kis wajah se hua tha...vo bharosa kaise kare (turns to keerti) keerti ji ye baat aap acche se samajh sakti hai...ham dono ko bhi toh is rishte se chot aur dard mila hai...kya dobara bharosa karna itna aasan hai...frankly speaking mere liye nahi hai

Keerti- aap sahi keh rahe hai naksh...jab vishwas toot jata hai toh use dobara jodna aasan nahi hai...par gayu bohot lucky hai jo use itni acchi family mili jo uski khushiyo ka itna dhyaan rakhte hai...use apne faisle lene dete hai

Naira- bhai aap aaj bhi tara didi ko yaad....

Naksh interrupts- vo meri zindagi ka hissa reh chuki hai naira...aur main chah kar bhi uski yaado ko nahi mita sakta kyoki un yaado me kahi na kahi tum sab bhi shaamil ho (turns his back to them) pehle use yaad karke pyaar aata tha aur ab sirf takleef...us ladki ne jo mere sath kiya uska afsos nahi...har kisi ko apne life decisions lene ka hak hai lekin usne jo meri family ke sath kiya vo main kabhi nahi bhulunga...vo chahti toh aaj ham dono ki zindagiya bohot alag hoti par aaj jo hamare haalaat hai vo usi ke chune huye hai...maine toh bas uski choice accept ki (turns to keerti) aakhiri baar...ab uska meri zindagi par koi hak nahi

Keerti- main janti hu yaadein mitana aasan nahi hota khaskar us insan ki jiske sath ham  future me sath rehne ke sapne dekhte hai...khush hokar

Naksh- i am sorry main aapko wo sab yaad nahi dilana chahta tha

Keerti interrupts- its ok naksh...dil sirf mera nahi toota tha...aapka bhi toota tha...agar mujhe apna dukh share karne ka hak hai toh aapko bhi hai...mujhe bura nahi lagega

Naira and kartik smile seeing them.

Kartik- guys ek baat kahu...aaj mujhe lag raha hai ki keerti ke liye tum perfect ho naksh...ye toh mujhe hamesha se hi pata tha ki tum bohot acche insaan ho par aaj tumne proof kar diya ki tum meri behen ko bohot khush rakhoge aur use vo izzat doge jo vo deserve karti hai...thankyou naksh

Naksh smiles at him- ab tum mujhe thankyou bologe...itne bade aadmi nahi ho tum mr goenka

Kartik chuckles- yes sir

Naksh also chuckles. Keerti and naira smile.

Kartik- vaise rahi baat gayu ki na toh i am sure agar ladka accha nahi laga toh tum pakka use bhaga doge...jaise mujhe dhamki di thi tumne

Naira and keerti get confused hearing him.

Naira- kaisi dhamki

Keerti- don't tell me naksh aap ne kartik ko naira ki wajah se dhamki di thi

Kartik- bilkul sahi kaha tumne keerti

Naksh- haa toh...jab dekho ye ghar me aa jata tha aur hamesha meri behen ko dekhta rehta tha...door se...paas se...uske kareeb jane ki koshish karta tha...har bhai ka first reaction toh vaisa hi hoga na...aur vaise bhi ye tab hua tha jab ye pipe se naira ke room me aane ki koshish kar raha tha...vo bhi tab jab in dono ke beech kuch nahi tha

Keerti and naira laugh while kartik blushes.

Kartik- ok fine...ab toh naira meri biwi hai (he pulls naira closer to him)

Naksh- abhi bhi dhamka sakta hu tumhe main...mere samne meri behen ko aise kheechte huye sharam nahi aati tumhe

Kartik immediately leaves naira and in a scared voice- are yaar ab toh mat daato...pure reeti riwaaz ke sath shadi kari hai maine...biwi hai ab ye meri

Keerti- kartik apne chehre ko dekho...kitna dare huye lag rahe ho tum

Kartik- pyaar kitna bhi ho...jab ladki ka bhai dhamki deta hai na toh dar toh lagta hi hai...by the way naksh dhamki to main bhi de sakta hu...tum bhi toh meri behen se shadi kar rahe ho

Naksh- exactly...shadi kar raha hu...aur tum bina kisi rishte ke meri behen ke paas aane ki koshish karte the...aur vaise bhi main sabke samne aisi besharmi bhi nahi karta hu

Kartik smiles sheepishly- vo bhi hai

Keerti- ab tumhara ho gaya ho kartik toh chale...sab wait kr rahe honge

They go to hall and see all elders are sitting.

Rajshri sees them- lo bacche aa gaye

Suhasini- ji ab ham sab bhi chalte hai...aaj yaha pooja me aakar bohot accha laga

Bhabhi ma- ji hame bhi bohot accha laga aap sab aaye

Goenkas leave.

Vishambhar- ji ab hame bhi chalna chahiye

Rajshri- bhabhi ma kal ke liye agar koi bhi kaam ho toh aap hame zaroor bataiye ga

Bhabhi ma- ji bilkul

Maheshwaris also leave.

Naksh- main gayu se milkar aata hu

Naksh leaves to gayu's room.

Yrkkh ffWhere stories live. Discover now