PART 23

680 53 6
                                    

In akshara naitik's room

Naitik comes and sees akshara waiting.

Akshara- thankyou naitik...duggu ko samajhne ke liye

Naitik- mera beta hai vo aur aap hi toh kehti hai mere jaisa hai

Akshara nods- itne pyaar se main bhi use kabhi nahi samjha pati...mere teeno bacche bohot lucky hai ki unke papa aap hai...thankyou so much naitik

Naitik smiles wholeheartedly. They both sleep.

Next day

They all go for dinner at goenkas who greet them and make them sit.

Suhasini- ji bohot accha laga ki aap sab aaye...naksh ji aur keerti ki shadi ki tayyari bhi ho jayegi aur isi bahane ham sab ek sath kuch waqt bita payenge

Bhabhima- ji bilkul

Swarna comes near akshara.

Swarna- ab tumhari tabiyat kaisi hai akshara

Akshara looks at her.

Akshara smiles- main thik hu...tum kaisi ho arpita

Swarna looks at her. Akshara realises.

Akshara- sorry swarna...naitik ne bataya mujhe

Swarna smiles- koi baat nahi

Akshara- bohot saal baad mil rahi ho...itne saal contact tak nahi kiya

Swarna- majboori thi...vo chodo...tumhari shadi ke baare me bhi nahi suna kabhi...varsha ke baare me bhi nahi pata tha

Akshara- tumhare college chodne ke baad varsha ki shadi mere dadu se ho gayi aur kuch dino baad meri naitik se

Swarna- naitik ji sach me bohot acche hai...tum lucky ho akshara...jitna dhyaan unhone rakha hai tumhara is ek saal me maine kisi aur pati ko apni patni ka itna dhyaan rakhte nahi dekha...naitik ji tumse bohot pyaar karte hai

Akshara smiles a little- main janti hu

Just then naksh comes near them.

Naksh- mumma varsha mami ka phone aaya tha mere paas...aap unke call nahi utha rahe...kuch hua hai kya

Akshara- kuch nahi...tumhari mami ka dimaag kharab ho gaya hai

Naksh and swarna smiles.

Naksh- aap dono bhi na...ab toh main aur ananya di bhi nahi ladte

Akshara makes a bad face. Naksh leaves.

Manish and naitik were talking.

Manish- ab aapko acche lag raha hoga...akshara ji thik jo ho gayi hai...main dekh sakta hu ki aap sab kitne khush hai

Naitik nods- hamare ghar ki khushiya vapis aa gayi hai

Manish- naitik ji i am really sorry...shayad mansi ko bachane ke chakkar me mujhe ehsaas hi nahi hua ki aap sab par kya beet rahi hai

Najtik- koi baat nahi manish ji galti baccho se hoti hai...hamara farz hai ki un galtiyo ko ham sudhaare...mansi se hame koi shikayat nahi hai

Swarna and akshara comes.

Swarna- manish ji

Manish and naitik looks at them.

Manish- akshara ji i am sorry...mansi ki taraf se....

Akshara interrupts- uski zaroorat nahi hai...naitik ne bataya mujhe...mansi ko apni galti ka ehsaas hai...isse zyada mujhe kuch aur nahi chahiye...aap please maafi mat maangiye

Manish smiles- vaise main dekh raha hu swarna tum kaafi khush ho apni dost se milkar

Swarna- khush kyo nahi hongi...do hi toh dost the mere...akshara aur varsha...saalo baad mil rahi hu unse

All smiles.

Akshara- tum chahti toh in saalo me bhi ham mil sakte the...lekin tum toh achanak gayab ho gayi aur ab pata chal raha hai kyo gayab huyi thi...shadi jo karni thi tujhe

Swarna- bataya toh tune bhi nahi...invite bhi nahi kiya shadi me...varna maa mujhe batati toh

Naitik looks at akshara- aapne invite nahi kiya tha

Akshara looks at naitik- daddaji aur bauji ne mana jo kiya tha ki hamare college ke dost nahi aayenge...mohit ji ke alawa

Manish- varsha ji bhi nahi aayi thi

Akshara- tab tak vo meri bhabhi ban chuki thi...use toh aana hi tha

Suhasini calls them for dinner. They all have dinner. After dinner all sit for discussing about the wedding festivities.

Suhasini- ji ham chahte the ki naksh ji aur keerti ki shadi ham hamari haveli me kare

Bhabhima- ji hame koi dikkat nahi hai

Suhasini- ham agle hafte vaha ke liye nikalne ka soch rahe the...aap sab ko jab suvidha ho aap aa jaiyega...ham tayyari kar lenge tab tak

Rajshekhar- ji yahi thik rahega

Bhabhima- bahu tu kal hi jakar keerti ke liye shadi ka joda khareed lena

Akshara looks at bhabhima and nods.

Devyani- aur gehne bhi akshara...par tum akeli kaise karogi sab

Akshara- choti maa...main varsha ko le jaungi sath

Devyani nods- keerti tum bhi tayyar rehna beta...naksh tum sabko le jayega

Keerti nods while naksh is shocked.

Naksh- dadi agar main shopping par jaunga toh office me kaam kaun dekhega...agar chutti leni hai toh kaam abhi karna padega na...varna main shadi ke din office me milunga

Devyani- hey bhagwan is ladke ko kaam ke alawa kuch dikhta hi nahi...naksh tumhari shadi ho rahi hai...ab ye kaam kaam karna band karo

Naitik- choti maa naksh sahi keh raha hai...agar ham itne din haveli me rahenge toh us waqt koi kaam na aaye iske liye hame sab wrap up karna padega na

Naksh- thank god kisi ne toh meri baat samjhi

Naksh realises what he spoke. He looks at naitik who smiles hearing him. Akshara notices it.

Kartik- main le chalunga na sabko...office mr goenka aur chachu sambhal lenge

Suhasini- ha ye thik rahega...sagai toh dono ki ho hi chuki hai...sangeet mehendi haldi aur phir phere...ye rasmein do din me ho jayengi...hamari taraf se zyada mehmaan nahi honge...bas ham ghar ke log

Naitik- ji hamari taraf se bhi sirf parivaar wale hi honge

Manish- vishambhar ji ka parivaar bhi aayega hi na

Akshara naitik and naksh look at him. Manish realises what he spoke. Kartik shakes his head in disbelief.

Manish explains- mera matlab....

Naitik interrupts- ji vo hamara parivaar hi hai

Akshara- isse pehle koi aur galatfehmi ho...nandini didi ki family bhi hamare parivaar me hi aati hai

All looks at akshara. It was clear from her words that she was hurt.

Naksh- main mere ek dost ko invite karna chahta hu

Naitik- mujhe pata hai tum mishkat ko invite karna chahte ho...maine uska aur uski behen ka naam already include kar liya hai

Naksh looks at him and smiles. Kartik and keerti smiles thankfully at naksh. Goenkas were shocked. Swarna and manish smiles emotionally.

Rajshekhar- ji ab ham sab chalte hai...shadi ki tayyari bhi toh karni hai

Singhanias leave.

Suhasini- manish mishkat hamare ghar ka beta hai...use pura hak hai aane ka lekin vo ladki mere ghar ka hissa nahi hai...mishkat ko samjhao ki use chodkar vapis aa jaye...accha lagta hai samdhi ke yaha naukri karna...un logo ko toh pata bhi nahi ki vo kittu aur keerti ka bada bhai hai

Kartik- aap log ab bhi mishu bro ko galat samajh rahe hai...aapki agar yahi soch rahi toh mishu bro kabhi ghar nahi aayenge

Kartik leaves. Keerti and naira follows him.

Yrkkh ffWhere stories live. Discover now