PART 3

1.2K 61 2
                                    

Everyone were shocked. Naitik stumbles and shaurya holds him. Rajshri feels dizzy and holds vishambhar's hand tightly. Varsha cries listening naira but holds herself strong for gayu who was crying hysterically. Naksh
gets shocked as how does she got to know. Bhabhi ma devyani and rajshekhar also were shocked and crying. Goenkas were also shocked. Akhilesh and manish look
at each other with guilty eyes. Swarna notice that and understands they did something wrong. Surekha starts
crying and holds akhilesh who consoles her. Mansi gets shocked and terrified. She runs away from there.

Naira angrily- suna aapne bhai...hamari mumma ka accident mansi ne kiya hai...usne hamse hamari mumma ko cheen liya...unhe itni takleef di...puri family ko dukh diya aur ham sab se ye baat chupayi
bhi bhai (cries and hugs naksh) kartik ko ye baat pata thi bhai usne dhoka diya mujhe...ham sabko (shakes naksh and cries) aap sun rahe ho na bhai mumma ka
accident mansi ne kiya hai...kartik ki behen ne kiya hai

Naksh with a blank look- exactly naira...mumma ka accident kartik ki behen ne kiya hai kartik ne nahi

Naira and everyone gets surprised hearing him. Naira breaks the hug and looks at him. Naitik too looks at him.

Naira- aap ye kehna chahte ho kartik ki koi galti nahi hai...puri family ki koi galti nahi hai

Naksh looking in naira's eyes- nahi hai

Naitik- naksh

Naksh looks at naitik and then at everyone. He sees kartik still fallen on floor looking at naksh with little hope. Naksh makes kartik stand.

Naksh- in sab me kartik ki koi galti nahi...dhoka tere sath nahi naira kartik ke sath hua hai...kartik ko ye sach tere aur uske shadi wale din pata chal gaya tha...kartik
tujhe batane hi aane wala tha lekin ham sab ne use rok diya...jab finally usne tumse milne ka raasta nikala tab akhilesh chachu ne kartik se ye keh diya ki unhone tujhe sab confess kar diya aur tune use maaf kar
diya...aur in sab me manish uncle ne chachu ka sath diya...kartik ki agar galti hai to sirf itni ki usne apne chachu par aankh band karke bharosa kar liya..baaki kartik ki koi galti nahi naira

Naksh looks at naitik and rajshri- mujhe ye baat gangaur ke din pata chali thi...main janta hu sabse pehle ye baat jaanne ka haq aap dono rakhte hai lekin mujhe khud ko sambhalne me waqt lag gaya aur fir goenkas ka achanak yaha aana...mujhe kuch samajh hi nahi aaya...nanu aapko yaad hai na maine aapko message kiya tha ki mujhe aapse kuch bohot important baat karni thi (vishambhar nods) vo yahi
baat thi...mujhe laga tha ki main aapko bata du aur fir aap papa se baat kar lenge...main papa se ye nahi keh pata (joins his hands) i am sorry...please mujhe maaf kar dijiye

Naitik holds naksh's hands and hugs him. Naksh gets shocked but still understanding the situation naksh hugged him back and consoles him.

Naitik- tumhe sorry kehne ki zaroorat nahi hai naksh...tumne koi galti nahi ki...tumne toh bohot samajhdari se situation ko handle kiya...i am proud of you

Kartik bowing his head- i am sorry papa mujhe aapko bhi batana chahiye tha par mujhe laga naira ko pata hai toh vo uska decision hoga aap sab ko batane ka

Naksh- kartik ye sab ek misunderstanding thi jo aaj clear hui...tum tension mat lo

Naira- bhai aapne bhi mujhe nahi bataya...aapne galat kiya...agar aapne mujhe bata diya hota to main kuch kar sakti thi...koi faisla leti

Naksh- kuch galat nahi kiya maine naira...mumma ke liye agar faisle lene ka koi haq rakhta hai toh vo hum dono nahi hai naira...vo haq papa aur nani nanu ka hai...tera ya mera nahi...maine tujhe nahi bataya kyoki main janta tha tu isi tarah react karti...kartik ko zimmedar manti...isliye nahi bataya...aur tu vahi galti dobara kar rahi hai jo tune 8 saal pehle ki thi...tu mumma ko galat samajhkar ghar se bhaag gayi aur aaj
tu vahi galti kartik ke sath kar rahi hai

Naitik- tumhara bhai bilkul sahi keh rha hai
naira...samjho beta...kartik ki galti nahi hai...galti kisi aur ki hai...kartik se naaraz hone ka koi haq nahi hame

Manish- naitik ji i am sorry...us waqt mujhe sirf kartik aur naira ki shadi ki chinta thi isliye maine akhilesh se kehkar....

Naitik interrupts firmly- aapko jo karna tha aapne kar diya manish ji...ab jo karna hai vo main kar lunga...us waqt aapko apne bete ki chinta thi aur is waqt mujhe sirf meri patni ki chinta hai

Swarna- main manti hu ki ham aapke dukh ko kam nahi kar sakte lekin fir bhi ham aap sab se maafi mangte hai...hamare ghar ki beti ne jo kiya us ki wajah se.....

Rajshri interrupts angrily- meri beti ki hasti khelti zindagi barbaad ho gayi...mujhe nahi pata main apni beti ki aawaz kabhi sun bhi paungi ya nahi lekin mujhe ye pata hai ki meri bacchi ke bacche apni maa ke liye roz taras rahe hai...cheeku apne aansu nahi
dikhata...sab kuch akele sambhal rha hai...jab bhi gayu akshara ke kamre me jati hai aankho me aansoo lekar hi vapis aati hai...naira ko toh maa hi ab mili thi...aap bataiye kya aap in teeno baccho ki maa vapis de sakti hai...jamai sa ka dil roz toot te huye dekha hai maine...jis umar me bahu apni saas ka dhyaan rakhti hai us umar me bhabhi ma apni bahu ka dhyaan rakh rahi hai...mansi ne sirf meri beti ki zindagi daav par nahi lagayi balki is ghar ki khushiyan daav par laga di...aap......

Varsha holds rajshri- maa sambhaliye khud ko...(looks at swarna) arpita please is waqt apni family ko yaha se le ja...sach jaan ne ka toh mauka aapne hamse cheen liya kam se kam khud ko sambhalne ka mauka to dijiye

Kartik to goenkas- aap log please inhe aur pareshan mat kijiye...chaliye yaha se

Kartik looks at naira. Naira also looks at him with guilty eyes. Naitik comes forward and takes naira's hand and gives it in kartik's hand.

Naitik- kartik mujhe tumse koi shikayat nahi hai aur naa hi mansi se...mansi ne ye galti se kiya lekin us galti ko badhava kisi aur ne diya...galti us insaan ki hi hai...main janta hu tumne hamesha yahi maanga hai ki akshara thik ho jaye aur jis insaan ne unki salamati
ki duaa mangi ho vo unke sath bura kaise kar sakta hai...hame sab kuch samajhne ka waqt do...sab thik ho jayega...mujhe mansi ke khilaaf koi case bhi nahi karna...vo puri tarah se safe hai...tum chinta mat karna aur naira ka dhyaan rakhna

Kartik nods and hugs naitik and murmurs a thankyou. Naira also hugs them. She holds her ears in front of naksh who slaps her lightly and hugs her. She and kartik along with goenkas leave. Naksh goes to rajshri who was crying hugging varsha. He sits in front of her and keeps his head on her lap.

Naksh- nani i am sorry

Rajshri breaks down and hugs naksh. She cries badly. Naksh also gets tears. Gayu cries seeing them and runs to akshara's room. She sits beside akshara and holds her hand and cries. Everyone console each other. After sometime maheshwaris leave while singhanias went in their rooms. Nobody had dinner.

Naitik was sitting in the garden staring at sky. Naksh who came to have a walk in garden looked at naitik. He pauses in his steps and turns to go back but remembers what happened today and goes and sits
beside naitik.

Naksh- aap yaha kya kar rahe hai...mumma ke paas kaun hai

Naitik looks at naksh- gayu hai kamre me...tum yaha kya kar rahe ho

Naksh- sawal pehle maine pucha tha

Naitik- par jawab main tumse maang rha hu

Naksh irritated- kamaal hai...aap kabhi meri seedhi baat ka seedha jawab kyo nahi dete

Naitik sighs- accha baba...mujhe neend nahi aa rahi thi...jo hua vahi dimaag me ghum rha tha...ab tum batao

Naksh- same

Naksh looks at naitik then hesitantly- aapko bura laga maine aapse baat chupai

Naitik looks at naksh- nahi...kyoki mujhe pata hai ki tumne vo jaanbujhkar nahi kiya...samajhta hu aisi baat itni jaldi kisi ke samajh nahi aati...jab pata chala hoga to bohot complicated lag rha hoga...bohot saare sawaal the man me...aur ye bhi ki agar mansi ko saza dete ho toh vo saza ham sab ko milti

Naksh shockingly- aapko kaise pata

Naitik smiles- maine vo kiya jo tum nahi kar paate

Naksh frowns- vo kya hai

Naitik- khud ko kisi aur ki jagah rakhna...maine tumhari jagah khud ko rakha aur mujhe pata chal gaya tumne kyo nhi bataya

Naksh- aapne aise kaise kar liya

Naitik- ye experience se aata hai naksh...meri life me aisi bohot saari situations aayi hai jab mujhe samajh hi nahi aata ki kya karu tab maine ye trick use ki aur mera kaam ban gaya

Naksh- ye har situation me kaam aata hai

Naitik- mere sath toh 100% kaam kiya hai...tumhe koi problem hai

Naksh immediately- haa vo meri shadi (pauses realising what he was about to speak) kuch nahi...good night

Naksh gets up and leaves but stops hearing naitik.

Naitik- i know ki main tumhe kabhi nahi samajh sakta par ek koshish kar sakte hai...isi trick ko dusri tarah use kar sakte hai...tum mujhe apni problem batao aur main tumhe bataunga ki main agar tumhari jagah hota toh kya karta...try toh karo...tumhari mumma jitna tumhe nahi janta par bete toh tum mere bhi ho aur vaise bhi sab kehte hai ki tum bilkul mujh par gaye ho...soch lo...offer hamesha ke liye khula hai vo bhi bina kisi return ke

Naksh listens him and then thinks for some time and then leaves.

Naitik shakes his head- nautanki

Naitik also leaves to his room. He sees gayu there. He asks her to leave.

Gayu- mamaji aaj main yaha ruk jati hu...aap naksh bhaiya ke paas chale jaiye...unhe bhi aapki zaroorat hogi

Naitik- main usi se milkar aa raha hu gayu aur abhi tum jao aur aaram karo...tum kal office ja rahi ho...main toh ghar par hi hu

Gayu nods and leaves. Naitik sits beside akshara and holds her hand.

Naitik- pata nahi akshara aapne kaise sambhala tha sab jab main coma me tha...mujhse toh kuch bhi nahi sambhal raha...mujhe aapki zaroorat hai...hamare
baccho ko aapki zaroorat hai...plz jaldi uth jaiye

Yrkkh ffWhere stories live. Discover now