Part-8

3.3K 187 23
                                    

Inside akshara's room.

Abhi: chalo ab tum chup chap rest kro. Aajke liye tumne bohat bol liya. Ab aapne gale ko rest do aur so jao chup chap.

Akshu: abhi mujhe nahi Sona mai 2 din se bas so hi Rahi hun.

Abhi: akshu baba rest tho karna padega na. Dekho agar rest nahi karogi tho theek kaise hogi aur agar theek nahi hogi tho mai tumhe iss hospital se bahar nahi nikalne dunga aur hospitals ka Khana khilaunga soch lo

Akshu (Making a pouting face): nahi na abhi please mujhe vo khana nahi khana. Accha hua tumne yaad dila diya mai tumse gussa hun.

Abhi: kyun Bhai maine kya kiya jo aap mujhse gussa hai.

Akshu: tumhari vajah se mujhe vo Ganda sa soup peena pada. Buami ne mereko meri favourite kachori nahi banai khane ke liye. Tho tumhe uski punishment milegi.

Abhi: akshu baba abhi tum solid food nahi kha sakti thi tumhare gale ke liye theek nahi hai isliye mana kiya maine. Ek baar theek ho jao mai khud tumhare liye kachori le ke aaunga pakka. Accha batao kya punishment milegi mujhe.

Akshu: tumhari punishment ye hai ki tumhe mere liye gana gana padega.

Abhi gets shocked and akshu laughs looking at his face.

Abhi: akshu mujhe gana sunna pasand hai gana nahi aata. Agar maine gaya na tho hospital ke log meri besuri aawaj sunke behosh ho jayenge aur saare patient bhag jayenge. Fir kya hoga. Music therapist tum ho gana tum hi gao mai nahi.

Akshu laughs. Abhi just admires her looking at her laughing after so long that to because of him.

Akshu: nahi nahi tum rehne do. Mai koi aur punishment sochungi.

Abhi: Haan tum aaram se soch lena mujhe saari punishment manjoor hai par abhi rest karo chalo.

Akshu (a little seriously): abhi vo vo

Abhi: kya hua akshu koi problem hai kya.

Akshu: abhi tumhari shaadi aarohi se hume sabko jaldi sab batana hoga. Mai ye shaadi nahi hone de sakti. Abhi tumhe kisi aur ka hote nahi dekh paungi.

Abhi: shh akshu pareshan mat ho ye shaadi nahi hogi. Maine already maa se baat kar li hai unko inform kar diya. Jaldi hi mai tumhare ghar valo se bhi baat kar lunga. Mai shaadi srif tumse karunga aur kisi se nahi. Tho tum pareshan mat ho. Chalo ab rest karo.

Akshu finally sleeps back and abhi is just sitting beside her looking at her holding her hand. Naksh came inside after sometime and looking at akshu sleeping sits on other side.

Abhi: thank you so much sir. Agar aap nahi hote tho pata nahi kya hota. Akshu shaayad kabhi apni feelings accept nahi karti. Thank you for everything.

Naksh: akshu ne kabhi aapni feeling ki parwah nahi ki dusro ki khushi ke aage aur uski issi aadat ka logo ne bohat fayda uthaya hai. Mai nahi chahta ki meri bacchi apni khushiyan kisi ke liye bhi chode isliye mai jo kar sakta hun vo karunga. Akhir ye meri behan ki aakhri nishani hai mere pass. Usse tho nahi bacha paya lekin isse mai kuch nahi hone dunga. Chahe mujhe puri duniya se ladna pade. Aur itni formality mat karo ab tho akshu ne bhi apne dil ki baat keh di hai tho tum mujhe uski tarah mamu bula sakte ho kyunki tum bhi iss family ka hissa banne vale ho. Thoda jaldi bol raha hun but Welcome to the family abhimanyu.

Abhi smiles a little and says thanks.

After sometime a nurse comes in room and says sir aapka ek patient aaya hai unki tabiyat thodi kharab hai aapki jaroorat hai hume vahan.

Abhi: aap unko mere cabin mein le jaiye mai aata hun. (Then looking at naksh) mamu mai aata hun patient ko attend karke. Agar Akshu uthti hai aur usko koi bhi dikkat ho tho please mujhe bula lijiyega.

Abhira SS - The Accident TrackWhere stories live. Discover now