Part 9

1.8K 82 28
                                    

Hey guys since the vote target was completed quick as promised here's the next part.....Happy Reading 🤗💕

CONTINUATION

'Aapko patah hai uss din hi raat ko hum dono Nikhil ke saath dispensary mai the, Nikhil ko stomach pain ho raha tha kyuki usne zyada chocolates khaali thi. Toh mai uske pass ruka tha aur Monami jaane hi waala thi jab Nikhil ne Monami ko bhi rok liya. Toh hum dono waha hi rukh gaye. Unjaane mai hi Nikhil ne mera haath Monami ke haath ke upar rakh diya. Aur patah nahi kab meri aankh lag gayi. Lekin sach batau uss dinn mujhe pehele baar koi nightmare nahi aaye. Itne salo mai peheli baar mujhe sukoon ki neend mili wohbhi Monami ke wajah se. Monami ne meri zindagi mai wapas sukoon laaya tha.' Karan said.

'Aur uss dinn ke baad dheere dheere mai Monami ke pass jaane unjaane khicta chala gaya. Lekin mai Monami ke liye meri feelings ko lekar denial mai tha. Jitna mai chahta tha ki mai Monami se durr rahu utna hi mai uske aur pass jaane laga. I had started to fall for her. Lekin yeh baat mujhe New Year party ke dinn tak realise nhi hui.'

'Aesa kya hua tha New Year party ke din?' Barkha asked inquisitively.

'Arrey Bhabhi hum jitna Karan ko jaante hai usse jab patah chala Monami party mai nahi hai inka toh pura mood hi kharab hogaya.' Faizi said having known Karan for years he wasn't big on parties but it seemed like he had put an extra effort for dressing himself up for the NYE's party.

'Achha Isliye jab Karan sir ne Monu ke baare mai pucha and I said woh apne kisi friend ke wedding ko attend karne gayi hai, unka reaction was shocked unhone toh yeh bhi pucha Monami party mai nahi. I knew something was going on but maine kabhi pucha nahi.' Sid informed them remembering how Karan's mood and face had changed when he said that Monami wouldn't be attending the NYE's party.

'Lekin phir Monami shayad wapas aagayi. Yeh baat mujhe Faizi ne batai kyuki mujhe har jagah sirf Monami hi dikhai de rahi thi. Isliye jab maine Rani Saheba ko baaki sab ke saath dance karte huye dekha mujhe laga ki I was just hallucinating her.' Karan said coyly.

'Janabji ka toh chehra dekhne layak tha jab humne kaha ki Monami wakai mai party mai thi.' Faizi said laughing at his best friend's reaction.

'Jab hum dance kar rahe the mujhe kisika message aaya toh woh message padhne mai side mai aagai. Kisine toh mujhe ek shayari bheji thi.' Monami said and Karan, Sid, Faizi and Sanju's face turned sour and angsty remembering who was behind all those poetries.

'Aur jab Monami apne phone mai busy thi, tab mera dhyaan uske upar joh ek chandelier tha uspe gaya. Saare log party enjoy karne mai busy the Isliye shayad unka dhyaan nahi gaya uss chandelier pai.Woh chandelier jiss rope se bandhi hui thi woh tootne waala thi. It was a frayed rope on the verge on breaking.' Karan said he still got chills thinking about how things would have changed drastically, Barkha gasped in horror listening 'Mera dhyaan sirf woh rassi aur Monami pai tha, bhaiya ke saath bitaye huye uss mission pai aakhri moments, bhaiya ko woh goli lagne ki aawaz mere dimaag mai gunj rahi thi. Aur mai Monami ke taraf bhag pada aur maine uss chandelier ke neeche se kheech liya.' Karan said those events still sent him chills down the spine.

'Mujhe honestly patah nhi tha ki kya ho raha hai uss moment, mujhe sirf do cheeze sunai di Karan ne joh chillake mera naam liya aur ek crash. Mai darr ke maare aankhe bandh kar li thi jab aankhein kholi toh Karan ka chehra dikhai diya. Karan ke aankhon mai mujhe darr, pyaar, fikr sab dikhai de raha tha. Jab Karan ne mujhe pucha ki kya mai theek hu meri himmat hi nahi hui usse jawab dene, I could hear the fear and vulnerability in his life.' Monami said softly.

'Bhagwaan ka shukriya ki Karan ne samaya rehte woh chandelier ko girte dekh liya nahito tumhe bohot severe injuries ho sakti thi.' Param said letting out an exasperated sigh.

Per Aspera Ad AstraWhere stories live. Discover now