character sketch

225 2 0
                                    

MAJOR MAAN SINGH KHURANA:  25 years old angry young man, full of discipline, Maan ko unlogon sai sakht nafrat hai jo discipline follow nahi kartay, waqt pai apni duties pai report nahi kartay, Maan kai dad ka sapna tha keh Maan Army join karay kyun keh who khud Army mai thai, aur apni jaan apnai mulk ki hifazat mai qurbaan kardi, Maan apnai teens mai hi tha jab uskai parents ki death hogai, parents kai death kai baad Maan ki dadi nai usai aur uskai chotai bhai ko sambhala, Maan hamesha sai larkiyon sai dur rehta tha, khamosh khamosh rehta tha, dadi ma Maan ki jaan hain, Maan ka sab kuch hain, aik din apni duty daitai hue kuch aisa hua jis nai Maan ko badal dia.

SAVIRTI SINGH KHURANA:  Maan ki dadi ma aur Khurana Khandan ki head, apnai husband aur betay bahu ki death kai baad inka aik hi maqsad hai Maan aur Vikram ko har khushi daina, Maan ko uska aur uskai dad ka sapna pura karnai mai madat karna aur Vikram ko Khurana Industries sambhalnai mai help karna, Maan aur Vikram dadi ki puri zindagi hain aur unkai jeenai ki wajha.

VIKRAM SINGH KHURANA: 23 years old, sweet and fun loving boy, but well disciplined, Vikram dadi kai saath family business handle karta hai, aur har qadam pai usai apnai bhai ki fikar hoti hai, kyun keh usnai apnai dad ko bhi Army mai honai ki wajha sai khoya hai aur ab woh apnai bhai ko nahi khona chahta.

DR.GEET SINGHANIA: 24 years old, doctor at Sanjeevni Hospital, she is true bubbly girl, hassi mazak, masti karna, pranks karna Geet ki adat hai, but jab kisi patient ko attend karti hai to apnai kam mai usai zyada serious koi or nahi hosakta, one day she met a boy aur Geet ki zindagi usi ki hogai.

MORE CHARACTER WILL INTROUDUCED LATER IF REQUIRED.

Kaisai Mujhay Tum Mill Gaye (Completed)Where stories live. Discover now