Bondita's confrontation

882 96 19
                                    

At night,

Bondita was sitting in the room reading a book....

Suddenly there was a knock on the door...

She opened the door and found anirudh....

Ani : andar aau..??

Bon : aapka hi kamra hai puchne ki zarurat nahi hai...

He entered...

He closed the door...she gets confused...

Bon : kuch kaam tha aapko...??

He gets surprised by seeing her straight forward tone....

Ani : woh sorry kehna tha...

Bon : kis baat ke liye...??

Ani : woh subah sampurna ne jo kaha woh aur....

Bon : mere liye koi nayi baat nahi hai....saalo se sunti aa rahi hu ab toh aadat ho gayi hai....

Ani : ma...mat...matlab...??

Bon : jaane dijiye na patibabu...ek maa ki chinta samajhti hu main...bacche ko ek kharoch bhi aati hai toh maa ki dhadkan ruk si jaati hai....didi ke saath bhi wahi hua....unki jagah koi bhi hota toh woh waisa hi karta....koi aur baat hai toh kahiye warna mujhe neend aa rahi hai....

He gets baffled.....bondita was telling him to get out indirectly....

Ani : woh bondita happy ani....

She cuts his words....

Bon : bass...!!! Mujhe kuch nahi sunna good night....

Ani : bondita aise kyu baat kar rahi ho main kuch kehna chahta hoon sunn toh lo....

Bon : main jaanti hu aap kya kehna chahte hai isiliye nahi sunna chahti....

Ani : kyu bondita...aaj subah khud ne mujhe wish kiya aur ab khud....

Her eyes got wide....

Ani : jaag raha tha main aur sab suna maine....kya bakwas kiye jaa rahi thi....kisne kaha tumse ki yeh rishta mere liye bojh hai....tum mere liye bojh ho....yeh rishta main majboori mein nibha raha hu kisne kaha...

Bon : patibabu bohot der ho gayi hai aapko jaana chahiye....

He loses his control and pulls her and clutches her shoulders tightly making her wince in pain....

Bon : patibabu...

Ani : dard ho raha hai na....

She nodded....

Ani : waisa hi dard mujhe bhi hota hai jab tum khud ko mujhse durr kar deti ho....aur yeh aaj se nahi pichle kahi saalo se chal raha hai.....haath pakdu toh chuda deti ho kyu....apna koi bhi kaam lekar mere pass nahi aati... lekin woh kaam tum som ya batuk se kahogi karne ke liye.....agar koi prashna samajh mein nahi aata toh mujhse nahi som se puchti ho....agar kisi kaam se paise chahiye toh kaka ya baba se kahogi par mujhse nahi....KYU...????

Bon : mujhe aapke kisi sawal ka jawab nahi dena jaiye yaha se....

Ani : jawab toh dena padega aur ek minute abhi keh rahi thi na ki aapka kamra hai aur aapko aane ke liye permission ki zarurat nahi hai....

Bon : thik hai aap rahiye apne kamre mein aur mujhe jaane dijiye....

She tried to go but he pulled her again....

Ani : jab tak mere sawalo ka jawab nahi dogi iss kamre se bahar na tum jaogi na main....

Bon : kya sunna chahte hai aap....aur kyu sunna chahte hai....aap keh rahe hai ki maine aapko khud se durr kiya hai....nahi maine nahi aapne khud ko mujhse durr kiya hai....ek baat bataiye harr saal school mein main top karti hu.... school se meri koi shikayat nahi aati.... barrister banne ke itne nazdik hu....toh ab kya problem hai....

Ani : accha.....school...marks... barrister kya yehi humara rishta hai....

Bon : aur koi rishta aapne kabhi mehsus hi kaha hone diya....harr waqt yehi toh ehsaas karaya aapne ki main aapki zimmedari hu aur humare beech kuch nahi hai....khud ko aapse durr karke mujhe bhi utni hi takleef hoti hai par jab bhi aapke pass aane ki koshish karti hu aapki koi na koi baat yaad aa jaati hai jo mere kadam rok deti hai aur kehti hai ki apni hadd mein raho.....ab aapke haath pakadti hu toh dil kaanpta hai.....dil kaanpta hai yeh soch kar ki ek din jab aapki zimmedari khatam ho jayegi toh aap yehi haath chod denge....aap par nirbhar nahi rehna chahti taaki agar aapse durr hona pade toh aisa na ho ki jee hi na pau....aur rahi baat paiso ki toh aapse paise lekar aapki zimmedari bane rehne ka bojh apne sarr par aur nahi badha sakti thi....

Ani : aur kisne kaha tumse ki tum mujhse durr jaogi....

Bon : accha....toh kis rishte se rahungi main aapke sath....

Ani : yeh kaisa sawal hua bondita....patni ho tum meri....

Bon : toh aapko yaad hi gaya ki aap mere pati hai....main aapki patni hu.....baanjh...abshagun....daag....aap jaante yeh sab kya hai....main batati hu yeh sab na aapki iss patni ke naam hai jo iss samaj ne usse maan liya hai....

He loses his grip on her....

Bon : kya hua aapko dekh kar aisa lagta hai jaise aapko pata hi nahi hai yeh sab....aur aaj aap apne pati hone ka haq jata rahe hai....kaha tha yeh pati jab gaav wale uski patni ko taane maarte the....tab toh woh kisi ka muh bandh nahi kar paaya....arey woh chod dijiye....main duniya ki pehli patni hongi jisse aaj tak harr puja harr vrat akele karne pade.... isiliye nahi ki uske pati unn sab mein vishwas nahi rakhte balki isiliye ki duniya walo ke saamne unhe yeh batane mein sharam aati hai ki unki patni kon hai....

Ani : bondita yeh kaisi baatein kar rahi ho... mujhe kyu sharam aayegi....balki main toh garv se sabse kehta hu ki meri patni tulsipur ki sabse pehli school jaane wali ladki hai jo barrister banegi....

Bon : accha toh aaj tak aapne kabhi bhi mujhe apne kisi dost se milwaya kyu nahi unke puchne par bhi nahin....kyu...kyuki woh aapka mazak udaa te na....unn sab ka ek accha hasta khelta pariwar aur aap yaha ek unchahi zimmedari ke bojh tale....aaj tak aap jitni bhi parties mein gaye mujhe kabhi nahi le gaye.....mera humesha mann hota tha ki main aapke sath bahar jau hum saath mein waqt bitaye par nahi....aap jaha bhi gaye kabhi mujhe nahi le gaye apne sath..... phir chahe woh koi party ho ya kisi kaam se Kolkata ya kahi aur jaana ho....inn 8 saalo mein kab humne akele mein waqt bitaya hai....kab aapne mujhse meri ichchayein puchi....ab bataiye kyu chup hai....yeh mat kahiye ga ki bondita tum choti thi tum mein itni samajh nahi thi.....

He looked down on so much guilt and shame....

Bon : aaj aap mujhe anniversary wish karne aaye hai....kaun si anniversary....humesha harr anniversary par pura din intezar karti thi aapka ki kam se kam din mein ek baar aap mujhe wish karenge par nahi din khatam hote hote woh wish mere mann mein reh jaati thi......jiss shaadi ko aapne kabhi maana hi nahi aaj uska sahara lekar apni galtiyon ko sudharna chahte hai.... koshish bhi mat kijiye ga patibabu....inn 8 saalo mein ek ek pal aapke saath bitana chahti thi....ek ek pal main apne pati ke pyar ke liye tadpi hu....ek ek pal maine aapka intezaar kiya hai....par ab nahi hota.... aapka ek sorry aur yeh pachtawa mera 8 saalo ka dard kam nahi kar payega.....please patibabu.... mujhe mere haal par chod dijiye....chale jaiye....!!!!

He left heartbroken.....!!!!!

She breaks into tears....!!!!!!

***********************************

The next part will be the last part of this SS....!!!!!

Anidita OS Where stories live. Discover now